• Skip to main content
  • Skip to primary sidebar

E-Home Recording Studio

Build a Studio. Record Your Music.

  • 6 adhyaye
    • 1. Aavshyaktayein
    • 2. Microphones
    • 3. Dhvani Vigyaan
    • 4. Design
    • 5. Recording 101
    • 6. Upgrade

7 Sabse Behtereen Pop Filters Vocal Recording ke liye

sabse behtereen pop filtersYeh ek saral upkaran hai, ek saral kaam ke liye.

Yeh unn asundar ‘plosives’ ko nikaal deta hai aur sangeetkaron ko vocal mic pe thukne se bachata hai.

Aur sirf yahi.

Toh jaayaz hai ki aap soch rahe honge, sabhi pop filters ek jaise hai, hai na?

Par kya sach mein aisa hai?

Kher, aaj ki post mein main 7 sabse behtereen pop filters ki baat karunga jo abhi market mein uplabdh hain…

Aur aap yeh payenge ki kuch filters dusron se behter hain.

Pehle hai…

1. Nady MPF-6

Nady MPF-6 pop filterDuniya mein jitne bhi filters hain…

Nady MPF-6 aasaani se sabse jyada bikne wala aur jaana-maana hai…

Jyadatar aisa hai kyunki yeh bahut sasta hai.

Par yeh poori kahani nahi. Kyunki sekdon dusre pop filters itne hi saste hai aur kuch hi inki tarah itne saare biktein hain.

Jyadatar pop filters iss price-range mein aisa ‘gooseneck’ istemaal kartein hain, jo ek jagah nahi tik pata, aur saste materials ke karan jaldi hi ek hafte mein toot jaate hain.

Inn sab kam kimat ke vikalpon ko dekh kar, aisa lagta hai hi ki Nady MPF-6 inmein se ek hai jo apna vada nibhata hai.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Ab jab Nady MPF-6 ek accha mulya hai iski keemat ke liye, sach hai ki…

Aapko wohi milta hai jiske aap paise detein hain. Toh padhte rahiye, kyunki dusre 6 vikalp isse bhi jyada mehenge hote jayenge, jaise-jaise hum list ke niche chalenge.

Aage dusra…

2. On-Stage Stands ASFSS6GB Dual-Screen

On Stage Stands ASVS6B pop filter

Nady MPF-6 ki takkar mein, On-Stage Stands ASFSS6GB ek khaas cheez se alag hai…

Plosive awaazon ko block karne ke liye EK screen istemaal karne ki bajay, ASFSS6GB DO screens ka istemaal karta hai.

Pehli screen, kisi aur filter ki tarah, hava block karti hai.

Aur inke beech ki jagah phir bachi-kuchi hava ko phela deti hai, taaki jab tak woh second screen tak pahunchti hai blast asaani se nihit ho jaata hai.

Iss theory mein, idea toh awaaz ka hai. Do layers ka matlab do guna suraksha.

Kai logon ko aisa lagta hai ki, do screen ke pop filters bahut jyada high frequency details block karte hain.

Par itne saare layak reviews santusht grahakon dwara dekhkar, aisa lagta hai ki ASFSS6GB mein aisi koi shikayat nahi.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Aage dusra…

3. Stedman Corporation Proscreen XL

Stedman Corporation ProscreenJaisa ki aapne suna hoga, pop filters do standard design mein aate hain:

  • saste “moze” (stockings) jaisi screens, aur…
  • mehenge metal screens

Sabse badi shikayat inn “stockings” jaisi screens ki yeh hai ki yeh:

  • yeh phat sakte hain, aur…
  • inhe asaani se saaf nahi kiya ja sakta.

Aur isiliye jyada daam ke metal pop filters jaise Stedman Corporation Proscreen XL  jyada pasand kiye gaye hai kai logon dwara.

Inke anokhi patented material, Proscreen XL ka ek alag andaaz hai popping ki samasya ke liye.

Sirf blocking hi nahi plosive awaazon ki, Proscreen XL angled slots ka istemaal karta hai fitler mein taaki energy neeche mudd jaye, microphone se dur.

Niji taur pe, main iss model ko quality and daam ka accha mel manata hoon. Jyadatar home studios ke liye main inki sifarish deta hoon kisi bhi aur vikalp se jyada iss list mein se.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Agla hai…

4. Avantone PS-1 PRO-SHIELD

Avantone PS-1 PRO-SHIELDEk standard “hoop” design ko chhodkar…

Yeh Avantone PS-1 ek poore dusre tareeke ki cheez hai.

Bajaay iske ki yeh microphone ke saamne tik sake, jahan ki girne ya tootne ka khatra hota hai…

PS-1 design kiya gaya hai microphone ki grill ke upar, taaki yeh aapke raste mein na aaye.

Ismein yeh samasya nahi aati jahan sangeetkar ko baar-baar isko adjust karna padta hai, jisse samay nasht hota hai aur jyada toot phoot hoti hai gooseneck par.

Proscreen XL ke jaise PS-1 mein ek takdi screen hai jo ki bahut tikau hai aur asaani se saaf ki ja sakti hai, unn “stockings” walon filteron se.

Inka ek anokha dava yeh hai ki, koi bhi high frequency detail nahi kho pati…jiski jaanch kai saare reviews mein ki gai hai.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Ab dusra…

5. WindTech PopGuard 2000

WindTech PopGard 2000Ab PS-1 ka ‘wrap-around’ design thodi aur dur leke chalte hain…

Yeh WindTech PopGuard 2000 kade tareeke se aapke microphone par baith jayega…

Par yeh aisa karta hai seedhe grill par baith kar, koi aur ‘gooseneck’ nahi hai usko pakde rakhne ke liye.

Yeh sirf ek aisa pop filter hai iss list mein aise design ke saath, PopGuard 2000 ki yeh ek anokhi khaasiyat hai, jo jyada jagah nahi rokti.

Ek baar isse baitha dene ke baad, aap bhul jayenge ki yeh hai bhi. Yeh iska accha hissa hai…

Iski kamiyaan hai:

  1. Aap screen aur microphone ki doori ko nahi theek kar sakte.
  2. Jab ki yeh JYADATAR bade diaphragm ke condenser mics par sahi baith jaata hai, yeh sabhi pe nahi tik pata aur yeh jyadatar dynamic mics pe nahi baithta, jaise ki SM58 udhahran ke liye.

Sabhi paristhitiyon ke liye nahi. Par kai logon ke liye yeh accha rahega.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Aage dusra…

6. Blue Microphones The Pop

Blue Microphones The PopAgar aap Blue Microphones company se parichit hain, toh aapko pata hoga…

SAB KUCH jo yeh banatein hain, inke high-end tube mics se lekar inke USB mics tak, SABHI bahut shaandaar hai.

Aur inka signature pop filter jiska naam hai “The Pop“, koi alag nahi.

Yeh asaani se sabse khubsoorat aur sabse classy pop filter hai list mein se.

Aur yeh sirf Blue Microphones ke liye hi nahi hai. Kisi bhi aur pop filter ki tarah, iske paas ek ‘gooseneck’ aur ek clip hai jo ki mic stand ke saath joda ja sakta hai.

The Pop ki sabse badi khaasiyat hai ki yeh…

Iske takde metal frame, wire mesh grill aur bahut tikau gooseneck ke saath, iske paas aisi bejod mazbooti hai, jo ab tak humne nahi dekhi.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Ab aage…

7. Pauly Ton Pauly Superscreen

Pauly Ton Pauly SuperscreenAbhi tak, humne kai mehenge pop filters dekhen hain…

Kaiyon ka daam Rs 3,000 tak hain, jo ki ek pop filter ke liye kaafi mehenga hota hai.

Par aisa kuch nahi humare aakhri item ke nazariye mein: Pauly Ton Pauly Superscreen.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Pehli baar jab maine iss pop filter ke baare mein jaana, maine bhi aapki tarah yeh sawaal poocha…

Aap mujhe KITNA bol rahein hai ek pop filter ke liye?

Aur bahut saare comments online isse sehmat hain.

Koi aashcharya nahi, ki bahut kam log itna daam dena chahenge ek pop filter ke liye jab ki Rs. 1,000-Rs.2,000 mein kaafi acche filters mil sakte hain.

Par yeh KUCH log hai. Aur kai log, jinhonein isse khareeda hai aur iske upar reviews likhen hai, unka manana hai ki iski kimat jayez hai.

Aisa lagta hai ki transparency jo ki iski khaas screen se milti hai kaafi prabhavshaali hai.

Kya main isse aapke saamanya home studio ke liye salah doonga? Bilkul nahi.

Par jin logon ko sirf achhe se accha chahiye, aur jo inka daam dene ke liye taiyaar hain…unke liye Pauly Ton Pauly Superscreen ek achha vikalp hai.

Primary Sidebar

Adhyaay 1: Aavashyaktayein

  • 1. Computers/Laptops
  • 2. DAW Software
  • 3. Audio Interfaces
  • 4. Headphones
  • 5. Studio Monitors
  • 6. Microphone Cables
  • 7. Microphone Stands
  • 8. Pop Filters
  • 9. Kaano ki Training
  • <<  Chapters Badale  >>

Copyright © 2021 · Parallax Pro on Genesis Framework · WordPress · Log in