Jabki yeh sirf ek aakarshan ki tarah shuru hue the…
Koi shaq nahi ki aaj, USB microphones ab pehla se jyada mushhoor hain.
Home studios, podcasters, Youtubers aur kai dusron ke saath…
Yeh kaam ka ek standard upkaran ban gaye hai.
Aur jahanki yeh uss professional recording microphones ke stharr par nahi pahunche hai abhi tak…
Har din ke saath yeh uss stharr ke nazdeek pahunch rahe hai.
Toh agar aap aise ek ko apne setup mein daalna chahte hain…
Aaj ki post mein hum 2017 ke sabse behtereen USB mics ko dekhenge aur unki tulna karenge.
Pehle hai…
1. Blue Snowball
Agar aapne pehle kabhi bhi koi microphone nahi khareeda ho…
Sambhavna hai ki aapne phir bhi Blue Snowball ke baare mein suna hoga…kyunki yeh cheez har jagah hai.
Kisi bhi tarah ki vocal recording ke liye, chaahe woh podcasting ho, voiceovers ho, Youtubing ya phir Skype calls ho…
Snowball ek standard mic hai jo ki har kisi ne, kisi na kisi samay iske baare mein vichaar kiya hai.
Toh yeh mic itna mushhoor kyun hai?
Dikhne mein achha hai, bahut aasaan hai isse istemaal karna, jyada jagah nahi rokta aur sunne mein bhi kaafi achha hai. Toh aapko aur kya chahiye?
Kher, inhe yahan dekhiye:
- Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)
DHYAAN DE: Aam Blue Snowball mein ek dual capsule hai jo ki dono cardiod aur omni polar patterns ki ijaazat deta hai. Agar aapko omni pattern nahi chahiye, ya phir aapko pata bhi nahi ki omni pattern hota kya hai…
Snowball ice – (Amazon) ek achha sasta vikalp hai.
Aap ke liye shayad jaanana achha rahega ki Samson Meteor – (Amazon/Flipkart) ek aur badhiya, dekhne layak vikalp hai.
Ab aage…
2. Blue Snowflake
Jabki Blue Snowball bahut hi achha hai desktop recording ke liye…
Mobile recording ke liye, aapko thoda kuch chhota chahiye.
Aur iss wajah se, Blue Microphones ne aage badhkar Blue Snowflake banaya.
Aur jaise ki aap dekh sakte hain, iski ek anokhi casing hai jo ki khul jaati hai ek desktop stand ya phir laptop clip ki tarah, jaise bhi aap isse istemaal karna chahein.
Iss casing ke andar, ek USB cable bhi hai, toh jo bhi aapko chahiye woh sab aap apni jeb mein lekar ghum sakte hai.
Kaafi achha hai, hai na? Inhe yahan dekhiye:
- Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)
Iss samaan ke kuch aur vikalp, yahan dekhen:
Ab aage…
3. CAD U37
Bahari banavat se, CAD u37 iss list ka pehla microphone hai jo ek “sach” ke microphone ki tarah dikhta hai.
Par aisa hai kya?
Kyunki koi bhi recording geek aapko bata sakta hai…CAD ek aisa brand nahi jo apne quality microphones ke liye jaana jaata hai.
Aur niji taur par, maine jab inhe pehli baar dekha, toh mujhe thoda sandeh hua.
Aur yeh sirf sasta dikhta hi nahi…inka daam bhi itna kam hai ki, mushkil hai yeh kalpana karna ki yeh achha bhi ho sakta hai.
Jahanki…
Kabhi kabhi, aap kisi aise upkaran ko dekhte hai jo ki bahar se dikhne mein lagta hai ki yeh achha ho nahi sakta…par phir bhi jaise taise yeh achha hai. Aur CAD u37 iska behter udhaaran hai.
Par aap sirf mera kehna mat maaniye…ispar likhe gaye sekdon positive reviews padhiye:
- CAD U37 – (Amazon)
Dhyaan de: Ek aise hi thode aur mehenge mic ke liye, Audio Technica ATR2500 – (Amazon) ko dekhen.
Ab aage…
4. Floreon BM 800
Yaad hai maine shuruaat mein kaha tha ki USB microphone ki takneek din bhar din sudhar rahi hai?
Kher, Floreon BM 800 iss baat ka ek behter udhaaran hai.
Aur aisa nahi kyunki ismein koi anokhi visheshta hai jo ki dusre purane models mein nahi.
Aisa hai kyunki iska DAAM.
Jaise ki computers aur dusre tech gadgets ke saath hota hai, jaise quality upar jaati hai, waise hi daam niche.
Aur agar aapko laga ki CAD U37 sasta tha, toh aapko aashcharya hoga Floren BM800 ka daam jaan kar.
Inhe yahan dekhiye:
- Floreon BM 800 – (Amazon)
Aur itne hi daam ka well-reviewed mic aap yahan dekh sakte hai:
- Fifine USB Mic – (Amazon)
Ab aage…
5. Apogee Mic 96k
Aaj kal, audio recording bahut hi “mobile” ban gayi hai…
Aur pehle se jyada ab mumkin hai recording karna kam upkaranon ke saath.
Sach mein, aapko abhi kisi computer ki bhi zaroorat nahi! Kyunki aap seedhe apne tablet ya smartphone mein recording kar sakte hain.
Beshaq, aisa karne ke liye, aapko kisi khaas tarah ke microphone ki zaroorat padegi.
Aur vartamaan ke upasthith vikalpon mein se, aisa koi aur nahi jo ki itna bharosemand aur reviewed ho, jitna ki Apogee Mic 96k.
Jahanki jyadatar USB mics record karte hai digital audio 16bit-44.1kHz par, yeh record karta hai 24-bit/96kHz par…
Yeh ek aisa high resolution hai jo ki kuch pro studios bhi istemaal karte hain.
Itna bhi bura nahi, hai na? Inhe yahan dekhe:
- Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)
Ab aage…
6. Rode Podcaster
Aapne kabhi dhyaan diya hai ki kisi kaaran 95% ke USB mics condensers hote hain?
Aur vaastav mein yeh itna aashcharya janak nahi jab aap iske baare mein sochte hain…
Kyunki 95% log jo USB mics istemaal karte hai, unke paas bahut kam setup hota hai home studio ke liye, aur lagbhag shunya acoustic treatment.
Aur koi bhi vyakti jo awaaz ko samajhta hai yeh bata sakta hai ki…condenser mics se jyada dynamic mics ke saath BAHUT aasaan hai achhi awaaz paana acoustic treatment ke begair.
Abhi ke jitne dynamic USB mics bazaar mein uplabdh hai, unn sab mein se, main Rode Podcaster ki salah deta hoon.
Inhe yahan dekhe:
- Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)
Aur ek achha mic hone ke atirikt, yeh pehla mic hai iss list par jismein shaamil hai zero-latency headphone jack.
Agar aap iss KHAAS visheshta se parichit nahi toh mujhe samjhaane dijiye…
Jab aap recording kar rahe hai ek microphone ke andar, aap jyadatar sunna chahenge apne aap ko real-time mein headphones ke ek set dwara.
Samasya hai ki…kisi bhi USB mic ke saath, ek time delay hota hai jab audio signal analog se digital mein convert hota hai, aapke computer tak pahunchne ke raaste mein.
Aur aap iss time delay ko vaastav mein sunn sakte hai apne headphones mein se! Aur jaisa ki aap kalpana kar sakte hai…bahut kathhinn hai iss tareeke se record karna.
Par Rode Podcaster ka built-in headphone jack iss samasya ka samadhaan karta hai signal ko seedhe aapke mic se aapke headphone tak bhejkar, bina kisi vilambh.
Aur agar aap apne USB mic ka istemaal karna chahte hai kisi bhi tarah ki music recording ke liye, toh yeh visheshta ek ZAROORAT hai.
DHYAAN DE: Sabhi microphones iss list par yahan se, sab mein headphone jack feature hai.
Aage badhte hue…
7. Audio Technica ATR2100
Jab maine pehle Audio Technica ATR2100 ke baare mein suna, toh main thodi uljhann mein pad gaya…
Bahar se, yeh live performing ke liye ek sadhaaran handheld cardioid dynamic vocal mic ki tarah dikhta hai.
Aur sach mein, ismein woh sab kuch hai.
Par aap soch rahe honge (jaisa ki main soch raha tha)…
Ek USB mic ka kaise istemaal ho sakta hai live performing ke liye? Yeh computer recording ke liye istemaal hote hai, hai na?
Kher jawaab hai…ki yeh sach mein design kiya gaya hai DONO ke liye. Kyunki ismein dono USB aur XLR inputs hai, jo ki studio mein ya phir manch par, dono ke liye kaam kar sakta hai.
Aur jaisa ki aap reviews se dekh sakte hai, yeh dono kaam bahut achhe se karta hai. Inhe yahan dekhe:
- Naye daam ke liye yahan click kare– (Amazon)
Ab aage…
8. Blue Spark Digital Lightning
Original aur bahut sampann Blue Microphones Spark par aadhaarit…
Spark Digital Lightning ek siddh studio microphone ki sound quality jodta hai…
USB connectivity ki suvidha ke saath.
AUR…iss mic ki ek visheshta jo isse dusre mics se alag karti hai, woh hai: Focus Button.
Aur yahan dekhiye ki yeh kaise kaam karta hai:
Inke pichhe, ek toggle hai, jo ki aapko normal mode se focus mode mein badalne ki unumati deta hai.
Aur jyada technical hoye begair, yeh button kaam karta hai mic capsule ki “voltage loading” badalkar, jo ki dono frequency and transient response ko badal sakti hai…jiske nateeje se do bikul alag tonalities aati hai.
Jahanki normal mode achhe tarah se upyukt hai sadhaaran recording ke liye, focus mode achha kaam karta hai vishesh roop se vocals par.
Kuch kehte hai ki yeh turant kisi bhi vocal track ko aage la sakta hai ek mix mein. Dusre kehte hai ki yeh vocals ki awaaz ko aur behter banata hai, kamro mein bhi, bina kisi acoustic upkaranon ke.
Dilchasp sunai de raha hai? Inhe yahan dekhe:
- Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)
Ab aage…
9. Blue Microphones Yeti
Sadhaaran voice recording ke liye, koi bhi pichle mics iss list par se achha kaam chalalenge.
Par music recording ke liye, aapko beshaq thoda kuch aur behter chahiye…
Khaaskar jab baat hoti hi acoustic guitar jaise upkaranon ke recording ki.
Ek recording studio mein, upkaran jaise ki yeh jyadatar record hote hai stereo mein, do mics ke saath jo ki configure kiye ja sakte hain kai tareekon se.
Samasya hai ki…aap yeh nahi kar sakte ek USB mic ke saath, jab tak beshaq aapke paas mic Blue Microphones YETI nahi hai.
Aur yahan dekhiye kyun:
Yeti ke andar, ek anokha Tri-Capsule Array hai jo ki aapko STEREO mein record karne ki ijaazat deta hai, aur 3 standard polar patterns:
- Cardioid
- Figure-8
- Omnidirectional
Mujhe lagta hai ki, koi bhi aur USB mic isse jyada bahumukhi nahi. Aur agar aap sirf ek USB mic chahte hai aapke studio ke sabhi music record karne ke liye, toh mein YETI ki bahut sifarish karta hoon, kisi bhi dusre mic iss list mein se.
Aur agar aapko Yeti pasand hai, par aapko isse kisi “paramparik” studio mein istamaal karna hai, ek audio interface ke saath, toh YETI Pro ko dekhe, jismein dono USB aur XLR inputs hain.
Yahan dekhiye dono ko:
Ab aage…
10. Rode NT USB
Ab jaisa ki aapne iss list mein dekha hoga…
USB mics mein thodi “nautanki” hoti hai.
Aur inmein hamesha ek aisi ajeeb visheshta hoti hai jo dusre mics mein nahi.
Aur mujhe galat mat samajhiye…yeh bahut achha hai.
Par phir kya agar aapko nautanki nahi chahiye?
Kya agar aapko sirf studio microphone ki quality chahiye, USB connector ki suvidha ke saath?
Kher…aapko bilkul yahi milega Rode NT USB ke saath.
Ek bahut achhi (begair nautanki) visheshta innmein zikr karne laayak hai, inka mix control headphone jack ke liye.
Knob ke ek aasaan modd ke saath, aap live aur backing tracks ke balance ko fine tune kar sakte hain, jaise aapko chahiye waise.
Aashcharyajanak hai ki sabhi mics mein yeh visheshta nahi hoti…par ismein hai. Inhe yahan dekhen:
DHYAAN DE NOTE: Ek tulniya mic iss price range mein jo ki mix controls bhi deta hai, aise mic ke liye Audio Technica AT2020+ (Amazon) ko dekhen.