• Skip to main content
  • Skip to primary sidebar

E-Home Recording Studio

Build a Studio. Record Your Music.

  • 6 adhyaye
    • 1. Aavshyaktayein
    • 2. Microphones
    • 3. Dhvani Vigyaan
    • 4. Design
    • 5. Recording 101
    • 6. Upgrade

Home Recording ke liye Rack Mounts ki Guide

Studio Rack MountsJaise-jaise home studios aur viksit hote jaate hain…

Woh apne budget desktop gear ko badalne ki atal prakriya ki shuruaat karte hai…

Mehenge, par jyadatar unnchi quality ke rackmounted gear ke saath, jo aam taur par pro studios mein dekhe jaate hai.

Apna pehla rack ikathha karna jyadatar lamba aur jatil hota hai…

Aur aise bahut se sawaalon ke saath bhara hota hai, jinhe jawaab chahiye.

Aapko iss poori prakriya mein madadd karne ke liye, aaj ki post mein…

Maine aapke liye ek saral guide banayi hai, jab aap taiyaar hai apne studio ke iss ahem upgrade ko karne ke liye.

Toh chaliye, shuru karte hai. Pehle hai…

Kaunsi Cheezein hoti hai ek Studio Rack mein?

Jab aap apna pehla rack bana rahe hai…sabsi badi chunauti jo nausikhyon ko jhelni padti woh hai ki unhe pata nahi kaunsi cheezein asal mein rack ke andar daali jaati hai.

Toh main aapko dikhaana chahta hoon…

Ek aam home studio rig ke liye, 5 mukhya cheezein jinki aapko aavashyakta hogi.

Woh hain:

  1. ek multi-channel mic preamp 
  2. ek power conditioner
  3. ek headphone amp  
  4. ek monitor management system 
  5. ek audio interface 

Aapko sab kuch ek saath khareedne ki zaroorat nahi, balki…jaise-jaise aapki zarooratein badhti jayengi, aap unhe samay ke saath jodte jayenge

Aur yahan dekhiye yeh jyadatar kaise hota hai:

Aam Kahani Vikaas ki

Jaise-jaise aapko aur studio anubhav hota jayega, ek samay aata hai jab aap kai tracks ek saath record karna chahenge…

  • shayad ek drum kit record karne ke liye, ya…
  • shayad kisi band ko record karne ke liye

Samasya hai ki…nausikhyon ke setups mein shayad hi utne inputs hote hai iss kaam ko niptaane ke liye.

Toh pehla “rack item” jo jyadatar log jodte hai woh ek multi-channel mic preamp, jaise ki iss post mein:

  • Home Recording ke liye 9 Sabse Behtereen Microphone Preamp

Rack khareedne ke baad, agla upgrade jiski aapko TURANT baad zaroorat padegi, woh hai ek power-conditioner…

Kyunki aapke preamp, aur woh baaki gear jo aap baad mein jodenge, unhe chalane ke liye…aapko apne rack ke liye power source ko sanghatit karna padega ek device mein.

Yahan dekhiye kuch achhe vikalp jinki main sifarish karta hoon:

  • Apne Equipment ki Raksha karne ke liye 7 Behtereen Power Conditioners

Iss samay tak, aapke paas ek kaamlaayak rack hai. Aur yahan se aap aur cheezon ko jod sakte hai agar aur jab aapko unki zaroorat pade.

Par jyadatar, agli cheez jiski aapko zaroorat padegi, woh hai ek headphone amp, aur yahan dekhiye kyun:

Ek baar jab aapke paas kai tracks ek saath record karne ki kshamta hai, aap kai sangeetkaaron ko ek saath record karenge. Jis liye, aapko ek tareeka chahiye hoga jisse har koi apne aap ko monitor kar sake headphones par, jab woh record kar rahe ho.

Samasya hai ki…jyadatar audio interfaces mein sirf 1 ya 2 headphone jacks hote hai. Aur agar aapko aur chahiye toh ek headphone amp ek samaanya samadhaan hai. Yahan dekhiye main jinki sifarish karta hoon:

  • Home Recording ke liye 7 Sabse Behtereen Headphone Amps

Ab kabhi-kabaar aap kis audio interface ke saath shuru karte hai, uss par nirbhar karta hai…

Aapko samasya ka saamna karna padta hai agar saare INS/OUTS kaafi nahi aapki nayi maangon ko poora karne ke liye. Iss samay par, sirf ek samadhaan hai ki aap ek behter interface chunne jismein aur jyada INS/OUTS ho.

Aur iss lekh mein, main kai suitable upgrades ki sifarish karta hoon:

  • Audio Interfaces ki Sarvottam Guide 2017

Aur aakhirkar…

Kisi ek sthal par aa kar, kai log apne kaam ki dobara jaanch karne lag jaate hai kai saare playback devices par bajakar, multiple mixes ko multiple monitors par route kar.

Aur ek baar jab yeh kaam aapki workflow ka hissa ban jaate hai, monitor management systems ek asaan tareeka hai alag sources ko alag outputs ke saath mix aur match karne ka, ek button dabakar.

Aur iss lekh mein, main kai achhe vikalpon ki sifarish karta hoon:

  • Home Recording ke liye 6 Sabse Behtereen Monitor Management Systems

Ab aage…

Sahi aakaar chunna

Ab jab aapke paas ek chitra hai, ki aapka rack ek-din kaise dikhega…agla sawaal jo aapko khud se poochna chahiye, woh hai:

Mujhe kitni jagah chahiye hogi?

Aur yahan dekhiye jinn cheezon ko aapko dhyaan mein rakhna chahiye:

Jabki aapke rack mein 5 se jyada cheezein nahi hongi, unmein se kuch cheezein ek se jyada jagah rok sakti hain.

Aur, aapko phir bhi kuch jagah khaali chahiye hogi, air venting, storage drawers aur bhavishya mein viksaar ki sambhavna ke liye.

Toh yeh maante hue ki aapka rack waisa hoga jaise ki iss lekh ke pehle hisse mein bataya gaya hai…6-12 ek achhi range hai shuruaat ke liye…8 sabse theek ginti hai jyadatar kisson mein.

Extra Spaces ke saath Kya Kare

Rack AccessoriesPehli baar jab aap apne aadhe-adhoore rack par nazar daalte hai…

Main guarantee karta hoon…ki woh khaali khuli jagahein aapko bahut pareshaan karengi.

Par bina matlab ke gear par paise barbaad karne se achha, aap apne rack ko hi theek se rakhiye…

Ek behter samadhaan unn jagahon ko cover karne ka hai blank panels – (1U/2U), yeh shaandaar dikhte hai, aur aapke gear ke liye achhi cooling bhi dete hai.

Ek dusra vikalp hai ki aap unn jagahon ka istemaal kar sakte hain ek drawer – (1U/2U) ke liye, apne dusre kuch tools ko store karne ke liye.

Aur ek aakhri accessory jiski main sifarish karta hoon woh hai rack screws ka ek dibba – (25 count/100 count) kyunki jab aapko inki zaroorat hoti hai yeh kabhi kaafi nahi hote.

Ab aage…

3 Basic Rack Styles

Studio Rack Vikalp

Iss samay tak, humne yojna ke sabhi mahetvapoorn sawaalon ko cover kar liya hai…

Toh ek sahi rack khareedne ki hi ek cheez bachi hai.

Kai vikalpon ki tulna karne ke baad, aap paayenge ki saare racks inn teen categories mein se kisi ek mein fit hote hai:

  1. Basic Studio Racks – jo sabse saste hai, aur jyadatar home studios ke liye achhe hai.
  2. Portable Racks – jinka daam thoda aur jyada hota hai, par yeh tikau hai aur mobile studios ke liye behter hai.
  3. Premium Studio Racks – jo mehenge hai, par taapmaan niyantran, aur noise isolation jaisi visheshtayein dete hai aur jyadatar pro studios ke liye achhe hain.

Yahan dekhiye har category ke top vikalp:

1. Basic Studio Racks

Raxxess 10 Space Slant Rack

Mere anubhav mein, top 3 utpadak jo kiphayati racks banate hai home recording ke liye, woh hai:

  • Raxxess
  • Middle Atlantic
  • Odyssey

Aur sach hai ki, bahut jyada antar nahi ek brand se dusre brand tak.

Inn sabhi ko lagatar achhe reviews milte hai, aur yeh sabhi achha kaam karte hain…

Aur kewal vaastavic antar hai aap kis brand ki aakriti pasand karte hai.

Raxxess ke liye, yahan dekhiye meri sifarish:

  • Amazon – (4U/6U/8U/12U)
  • GuitarCenter – (multiple sizes)
  • MusiciansFriend – (multiple sizes)

Middle Atlantic ke liye:

  • Amazon – (4U/6U/8U/12U)
  • GuitarCenter – (4U//8U/12U/16U)
  • MusiciansFriend – (4U/8U/12U/16U)

Odyssey ke liye :

  • Amazon – (4U/6U/8U/12U)
  • GuitarCenter – (multiple sizes)
  • MusiciansFriend – (multiple sizes)

Jaisa ki aapne dhyaan diya hoga, Odyssey racks thode jyada “mazboot” hai dusre do ki tulna mein.

Aur aisa hai kyunki yeh ek “hybrid” hai studio rack aur iss agli category mein…

2. Portable Racks

SKB 4U Shallow X Rack

Agar aap sangeetkaar hai, aur aap live perform karte hai, tab aapko SKB aur Gator ke kisi parichay ki zaroorat nahi.

Kyunki ab kai dashkon se, yeh live music mein ek industry standard ban gaye hain.

Agar aapne kabhi aise aadmi se mulaqaat ki hai, jo SKB pasand nahi karta…

Aap lagbhag guarantee kar sakte hai woh Gator ka wafadaar hai. Aur iske vipareet bhi sach hai.

SKB ke liye, yahan dekhiye main kya sifarish karta hoon:

  • Amazon – (4U/6U/8U/12U)

Aur yahan dekhiye Gator ke liye:

  • Amazon – (4U/6U/8U/12U)
  • GuitarCenter – (multiple sizes)
  • MusiciansFriend – (multiple sizes)

Ab aage…

3. Premium Studio Racks

IsoBox Rack

Jabki main inhe home studios ke liye sifarish nahi karta hoon…

Agar aapko sach mein behtereen se behtereen chahiye…

Kai saare high-end vikalp jaise Isobox, shaandaar samadhaan dete hai studio rackmounting ki aam samasyaon ko suljhaane ka.

Pehle hai shor mein kami (yaani, noise reduction)…

Udhaaran ke liye, Isobox mein, ek soundproof ghera hai, jo aapke gear se 30dB tak ke shor sthal ko kam karta hai. Aur kuch mein aapke computer ke liye tray bhi hai.

Saste racks yeh nahi dete, kyunki soundproofing airflow ka bandhan karti hai, jisse aapka gear jyada garam hota hai. Jahanki…

Isobox iss samasya ko sambhaalta hai shaant exhaust fans ke saath, jisse aapka gear thanda rehta hai bina koi aur awaaz.

Durbhaagya se, racks jaise ki yeh aksar kai lakhon rupaye tak ke hote hai. Aur agar aap kisi ek ko abhi nahi khareed sakte, jaankar rakhne ke liye achha hai, agar aur jab aap ek khareed sakte ho baad mein.

Jodne ke liye aur Kya Bacha hai?

Pro Studio RackEk baar jab aapne ek rack taiyaar kar liya hai unn 5 mukhya cheezon ke saath…

Iss samay par, aap usse lagbhag “sampoorn” keh sakte hai.

Par jaisa ki humne anginat online tasveeron par dekha hai…

Pro studios askar sekdon rackspaces istemaal karte hai, jo har tarah ke fancy gear ke saath bhara hota hai.

Aur jabki aapka studio uss sthar tak shayad hi pahunche, aisi kai cheezein hai jo aap jod sakte hai…agar aap chaahein.

Cheezein jaise ki:

  1. ek high-end digital converter – jaisa ki kuch log kehte hai, yeh jyada achhi sound quality dete hai aapke interface ke “stock” converters se.
  2. ek world clock – jo aur bhi behter sound quality de sakte hai aapke interface ki digital clock ki tulna mein.
  3. vibhinn analog hardware – jo kai engineers kehenge, unn dheron software plugins se kahin behter hai jo abhi market mein upalabdh hai.

Ab main inn sab upgrades ki sifarish nahi karunga, jyadatar home studios ke liye…sirf kyunki aapke paas paise hain kharach karne ke liye…kyunki keemat mein bade chadhaav naamaatra munafe ke laayak nahi.

Par chinta mat kijiye…kyunki aapko phir bhi inn sab fancy cheezon ki zaroorat nahi. 🙂

Primary Sidebar

Adhyaay 6: Upgrades

  • 1. Studio Rack Mounts
  • 2. Power Conditioners
  • 3. Microphone Preamps
  • 4. Headphone Amps
  • 5. Monitor Management
  • 6. MIDI Controllers
  • 7. Electronic Drum Kits
  • 8. Control Surfaces
  • 9. Software/Plugins
  • 10. Snake Cables
  • 11. Abaadhit Vidyut Aapoorti
  • 12. Direct Boxes
  • <<  Adhyaay Badalein  >>

Copyright © 2021 · Parallax Pro on Genesis Framework · WordPress · Log in