• Skip to main content
  • Skip to primary sidebar

E-Home Recording Studio

Build a Studio. Record Your Music.

  • 6 adhyaye
    • 1. Aavshyaktayein
    • 2. Microphones
    • 3. Dhvani Vigyaan
    • 4. Design
    • 5. Recording 101
    • 6. Upgrade

7 Sabse Behtereen Studio Monitor Stands Home Recording ke liye

sabse behtereen studio monitor standsJab aapke studio monitors theek se positioned nahi…

Toh awaaz ko haani pahunchti hai…jaisa ki hum sab jaante hai.

Aur jabki kuch studios apne monitors ko sirf apne desk par rakhkar woh “meethhi jagah” pa sakte hai…

Kai log ek achhe studio monitor stand ke jode ka lacheelapan pasand karte hai.

Aur isliye, aaj ki post mein…

Main review aur tulna karta hoon 7 top stands jo abhi market mein upalabdh hai.

Pehle hai…

1. Ultimate Support JSMS70

ultimate support jsms70Beshaq monitor stands udyog ka vartamaan leader…

Ultimate Support quality music equipment bana rahe hai, jabse kisi ko yaad hai.

Unka baseline model, Ultimate Support JSMS70, sabse jyada lokpriya aur kiphayati stand hai market mein.

Aur iss price range ke kai stands mein, yeh unn mein se kuch hai jo sachmuch apna kaam achhe se karta hai.

JSMS70 ki visheshtayon mein shaamil:

  • 32″-44″ height adjustment, 4″ increments mein
  • triangular base tang jagahon mein fit hone ke liye 
  • floor spikes/rubber feet floor isolation ke liye
  • upar rubber pad monitor isolation ke liye

Unn logon ke liye jo tight budget par hai, main INN stands ki sifarish karta hoon.

  • Naye daam ke liye yahan click karen – (Amazon)

DHYAAN DE NOTE:  Tulniye khareedaari se, maine kai dusre stands khoj nikaale jo BILKUL iski tarah hai, dusre utpadakon dwara. Udhaaran ke liye, On Stage Stands SMS6000. Main JSMS70 ki sifarish karta hoon kyunki ismein daam/overall ratings ka sabse badhiya mel hai. 

Ab aage…

2. VideoSecu 2

Videosecu 2Agar pichle stands kaafi saste nahi the aapke liye…

Agle aur bhi saste hain: VideoSecu 2.

Paramparik taur par market kiye gaye the home theatre systems aur computer monitors ke liye…

Aisa lagta hai kai home studios ne bhi inke saath saphalta paayi hai.

Inmein JSM70 ki woh buniyaadi visheshtayein hai, aur kuch khaas extras:

  • 5.5″ – 11″ adjustable top plate  – vibhinn aakaaron ke monitors ko sambhaalne ke liye
  • +/- 10 degree tilt – aapke monitors ko upar ya niche hilane ke liye
  • Cable management – aapki cables ko saafayi ke saath chhupaane ke liye

videosecu 2 topJahanki main BADE monitors ke liye inki sifarish nahi karunga…

Yeh perfect size hai chhote monitors ke liye jo jyadatar home studios mein hote hain.

  • Naye daam ke liye yahan click karen – (Amazon)

Ab jab humne kuch metal stands ko dekh liya hai, aage kuch wooden stands ki oar dekhte hai…

3. DR Pro SMS1BK (36″)

drpro sms1bk

Chhote studios ke liye, DR Pro SMS1BK market mein abhi ka sabse lokpriya vikalp hai.

Abhi tak ke metals stands ki tulna main, inmein kuch mukhya antar hain:

  • yeh metal stands se kam tikau hai
  • yeh jyada jagah rokte hain
  • inki height non-adjustable hai

Aur haan, yeh sab cheezein KHARAAB hain. Par bahut log sehmat hai ki, yeh agli visheshta inn sab kamiyon ko dhakk deti hai…

SMS1BK, mein ek khokhali (hollow) cavity hai, jo jyadatar wooden stands mein hoti hai, jo ki bhari ja sakti hai dhatu ki goliyon (shot) ya ret daalkar density badhane ke liye, aur aapke monitors aur farsh ke beech acoustic isolation badhane ke liye.

Jinhone isse pehle istemaal kiya hai, bata sakte hai ki…inse awaaz mein BAHUT bada pharak padta hai. Isiliye… shayad SMS1BK abhi tak ka sabse achha vikalp hai.

  • Naye daam ke liye yahan click karen – (Amazon)

Iske dusre vikalp ko bhi dekhen  DR Pro Maple Wood version – (Amazon)

Ab aage…

4. Raxxess ERSS

raxxess erss42

Jahanki SMS1BK ek badhiya vikalp hai chhote studios ke liye…

Bade studios ke liye jo bhaari monitors istemaal karte hai, Raxxess ERSS ka tikau frame bahut theek rahega.

Aur jabki yeh milte-julte dikh rahe honge…

ERSS mein ek aisi anokhi khaasiyat hai jo iss list ke kisi dusre stand ko outclass kar sakta hai.

Ek 5″ ki bahut chaudi cavity coloumn ke saath, yeh BAHUT saara vajan sambhaal sakta hai…

Jo inhe kisi bhi acoustic vibrations se laghbhag immune banata hai.

  • Raxxess ERSS – (36″/42″)

Ab aage…

5. K&M 26740

km 26740

Kaafi samay se jaana gaya hai sabhi aakaar-prakaar ke high-end music stands banane ke liye…

K&M ka naam hi quality ke saath samaanarthak hai.

Toh koi aashcharya nahi ki K&M 26740 sabse lokpriya vikalp hai duniya bhar ke pro studios mein.

Pichle metal stands ki standard vishestayon ke saath, yahan dekhiye kya hai jo inhe alag banata hai:

  • ek SUPER-HEAVY round cast-iron base maximum stability ke liye
  • ek extra-wide top plate jo design ki gayi hai bade monitors ke liye
  • kuch monitors ka direct attatchment connector plates dwara 
  • adhiktam wajan rating 77 lbs, jo 2 guna jyada hai kai dusre stands se

Toh, K&M26740 sabse mazboot aur tikau mic hai jo aap khareed sakte hai.

  • Naye daam ke liye yahan click karen – (Amazon)

Ab aage…

6. Ultimate Support MS-90

ultimate support ms90

Aakhirkar, hum pahunch gaye uss mic stand par jisne sab kuch badal diya:

Ultimate Support MS-90.

Jaisa ki humne pehle dekh liya hai:

Metal stands behter hai wooden stands se kyunki yeh bahut tikau hote hai.

Par phir bhi wooden stands behter hai kyunki inmein khokhali coloumns hoti hai.

Par Ms-90 ke krantikarik design ke saath aap dono ke munafe pa sakte hai, plus kuch aur upyogi cheezein.

Iski 36″ coloumn bahut takde 6000 series aluminium se bani hui hai, jinmein 3 alag channels ka shaandaar design hai:

  • ek chhota wala audio cables ke liye
  • ek chhota wala power cables ke liye
  • ek bada wala weighting ke liye

Aur vajan ke atirikt, Ms-90 3 aur features deta hai decoupling ko maximize karne ke liye:

  • 4 rubber pads jo monitor ko stand se decouple karte hai
  • 2 rubber joints jo column ke upari aur neeche ke hisse ko decouple karte hai 
  • 3 tiny rubber feet jo stand ko farsh se decouple karte hai

Ismein daaliye full lifetime warranty, aur aap kahenge ki MS-90 sabse achha monitor stand hai jo kabhi banaya gaya tha.

  • MS90 36″ – (Amazon)
  • MS90 45″ – (Amazon)

Ab iski shaan ke bavajood, MS-90 mein EK samasya hai:

Aap height adjust nahi kar sakte!

Aur isliye, humare list ke aakhri stand ke saath…

Ultimate Support ne ek perfect samadhaan banaya:

7. Ultimate Support MS-100

Ultimate Support MS100 studio monitor stand

Lagbhag waisa hi jaisa ki MS-90…

Ultimate Support MS-100 ek MUKHYA cheez se alag hoti hai:

MS-80 ke monitor isolation pads daalkar…

MS-100 ek samasya ko suljhaata hai jo dusre mic stands ke saath aam hai: Seemit positioning vikalp.

Wooden stands mein iska vikalp nahi hota. Aur jyadatar metal stands mein height adjustable hoti hai, par sirf 4″ ke increments mein…jo itni sateek nahi.

Jahanki MS-100 ke saath…

MS-80 ka fine tuned title adjustment aapko apne monitors ko point karne deta hai BILKUL jahan aapko chahiye wahin.

Iss ek visheshta ko jodiye iski baaki khubiyon ke saath, aur saaf hai ki MS-100 sabse behtereen vikalpon mein se hai.

  • Naye daam ke liye yahan click karen – (Amazon)

Toh Yeh Hua Doston

Toh yeh hua doston: aaj market ke 7 sabse behtereen studio monitor stands.

Mujhe koi shaq nahi ki iss list mein se koi ek aapke studio ke liye shaandaar rahega.

Primary Sidebar

Adhyaay 4: Design/Setup

  • 1. Mixing Desks
  • 2. Studio Kursiyaan
  • 3. Signal Flow
  • 4. Audio Cables
  • 5. Monitor Placement
  • 6. Studio Monitor ke Stands
  • <<  Chapters Badale  >>

Copyright © 2021 · Parallax Pro on Genesis Framework · WordPress · Log in