Samay ke saath, home studios mein kai saari cables ikattha karne ka tareeka hota hai.
Yeh itne dheere-dheere hota hai, ki aapko pata bhi nahi chalta…
Phir ek din aap dekhte hai ki…
Aapka farsh kaali rekhaon se dakha hua hai, aur aapke rack ke peeche makdi ka jaal bana hua hai.
Iss samay par ek samaanya samadhaan, beshaq hai, ek snake cable…
Par jaisa ki aapne andaaza laga liya hoga…
Apne studio ke liye sahi cable khojna namumkin hai…
Jab tak aapko pata nahi ki yeh kaise banti hai aur yeh kaunsi samasyayon ka samadhaan karne ke liye banayi gayi hai.
Aur isliye, aaj ki post mein, maine ek buniyaadi parichay taiyaar kiya hai, jiska shirshak hai:
Home Recording ke liye Nausikhyon ki Snake Cables Guide.
Pehle hai…
Mool Baatein
Paribhasha ke anusaar, snake cable (urf multi-core cable) kai audio cables ka ek samooh hai jo ek akeli bahari casing ke andar sammilit kiye gaye hai.
Inhe istemaal karne ka mukhya munafa hai ki…
Bade setups ke kai saare channels mein, sirf EK BADI cable ko sambhaalna kahin jyada asaan hai, darjanon chhoti cables sambhaalne se.
Pro studios aur live rigs mein, jinmein kabhi kabhaar sau inputs tak ho sakte hai, aisi ek snake cable ko dekhna aam hai jismein 48 channels ho.
Par home studios ke liye, 8 aur 16 channel snakes sabse jyada aam hai.
Ab aage…
3 Tarah ke Snake Connectors
Snake cable ke dono taraf, aap inn teenon connections mein se kisi ek ko payenge:
- ek Fanout/Breakout – jo snake ko XLR/m, XLR/f, TRS ya TS ke single connectors mein split karta hai.
- ek Junction Box – jo har ek connection ke liye multiple inputs ka ek dibba hai.
- ek Dsub Connector – jisse har ek channel ek akele connector se connect hota hai.
Yahan dekhiye yeh teenon kaise dikhte hai:
Ab yahan dekhiye yeh kis liye istemaal hote hai:
1. Breakouts
Jabki ek home studio mein breakout cables ke anginat upyog hote hai, inka sabse aam istemaal hota hai aapke mic preamp se kai ins/outs ko sanghathit karne mein.
Wahan se, snake aapke live room floor par ja sakta hai, ya phir ek dusre hardware item par aapke rack mein, jaise ki audio interface.
2. Junction Boxes
Agar snake ka uddeshya hai aapke preamp ki inputs ko hatana ek behter jagah par (jaise ki ek live room mein)…
Phir ek junction box connection woh hai jisse aap uske ulte taraf payenge.
Kai kamron ke pro studios mein…
Junction boxes aksar dekhe jaate hai in built-in wall outlet ki tarah, jaisa ki iss tasveer mein dikhaya gaya hai.
3. Dsubs
Kai saare channels ke Pro Tools HD aur dusre unnche-sire ke hardware ke saath…
Dsub connecters istemaal hote hai XLR/TRS connectors ki jagah, kyunki yeh kai saare ins/outs connect hone dete hai ek akele device mein.
Agar aapne inhe kabhi istemaal nahi kiya hai, toh aap shayad uljhe hue the inke saath abhi tak.
Ab aage, main aapko dikhaunga ki yeh theek kaise kaam karte hai:
Dsubs ka Spashtikaran
“Dsub” (D-subminature) connectors ki ek category hai jo apne “D” aakaar ki liye jaane jaate hai.
Jabki Dsub ke kai versions hain…
Pro audio mein, DB-25 sabse aam hai. Toh iss lekh ke liye, hum inhi par dhyaan denge.
Jabki kabhi kabaar digital TDIF signals (Tascam Digital Interconnect Format) ke saath istemaal hote hain…
Studio mein sabse aam istemaal ke liye DB-25 aaj kal 8 balanced analog signals ko ek akele connection mein jodta hai.
Yahan dekhiye yeh kaise kaam karta hai:
Jaisa ki naam batata hai, DB-25 connectors mein kulmilakar 25 pins hote hai. Kyunki har ek balanced analog signal 3 taarein istemaal karta hai:
- Hot (+)
- Cold (-)
- Ground
…isse kulmilkar 8 audio channels milte hai (3 x 8 = 24), aur 25th pin istemaal nahi hota.
Yeh diagram wiring ke baare mein samjhaata hai:
Samajh gaye? Bahut achhe. 🙂
Aage badhte hai…
Snake ke Do Vikalp
Jabki yeh takhneeki roop se snake cables nahi…
Aam taur par istemaal hone wali do digital cables…
Jo kai channels ko ek mein sanghathit karna ka wohi kaam karti hain.
Woh hain:
- ADAT
- Ethernet (Cat5e)
ADAT cables digital audio ke 8 channels bhejti hain 48kHz par (ya 4 channels 96kHz par)…
Aur yeh samanyatah istemaal hoti hai ek multi-channel mic preamp se digital audio bhejti hai aapke audio interface ke input tak.
Cat5e cables (w/ RJ45 connectors) ADAT se bhi jyada channels ke saath connect kar sakti hain…
Aur iske ilaava, yeh:
- bahut lambi doori tak taani ja sakti hai
- receiving device ko bijli de sakte hai
Inn suvidhaayon ka mel inhe mushhoor banata hai advanced headphone distribution systems ke saath, kai audio channels ko har sangeetkaar ke personal mixers tak bhej kar.
Ab aage…
3 Snakes Aapki Shuruaat mein Maddad Karne ke liye
Ab jab aapko saari buniyaadi cheezein pata hain…
Sirf ek cheez baaki hai, woh hai aapke setup anusaar perfect snake paane ki.
Jabki jyadatar live-snakes bahut bade hote hai ghar mein istemaal ke liye..
Yahan hai 3 chhote wale jinki main sifarish karta hoon kisi bhi chhote project studio ke liye:
- Hosa Little Bro 8 channel – (Amazon)
- Seismic Audio 12 channel – (Amazon)
- Seismic Audio 16 channel – (Amazon)
Agar ek din aapko kuch aur sophisticated chahiye, yahan dekhiye meri agli sifarish…
Custom Snake Utpaadak
Jaise-jaise aapka studio aur viksit hota jayega…
Aap apne setup mein kitne tarah ke snakes daalenge, woh lagbhag anginat hai.
Agar aur jab samay aayega kisi khaas kaam ke liye ek snake design karne ka…
Yahan dekhiye do behtereen utpaadak jinki main sifarish karta hoon, jo kai tarah ke snakes utpaadan karte hai kai udyogon ke liye, aur custom bhi bana sakte hain aapke khud ke vishesh nirdesh anusaar:
- Pro Co Sound – (snakes/custom shop)
- Whirlwind USA – (snakes/custom shop)