• Skip to main content
  • Skip to primary sidebar

E-Home Recording Studio

Build a Studio. Record Your Music.

  • 6 adhyaye
    • 1. Aavshyaktayein
    • 2. Microphones
    • 3. Dhvani Vigyaan
    • 4. Design
    • 5. Recording 101
    • 6. Upgrade

7 Sabse Behtereen Stereo Microphones Multi-Purpose Recording ke liye

sabse-behtereen-stereo microphonesAchhe gear ki kami ho, ya phir sirf aalas…

Hum mein se kai log stereo recording ka utna upyog NAHI karte hain…

Iski khubiyaan pata hone ke bavajood.

Aaj halanki, stereo microphones ke naye trend ki taraf…

Yeh takhneek ka prayog karna aur aasaan ho gaya hai.

Aur jahanki jyadatar log inhe studio recording ke liye aavashyak nahi maanege…

Mobile recording ke liye, yeh ek zaroori upkaran hai.

Aur isiliye, aaj ki post mein, main review karta hoon 7 Sabse Behtereen Stereo Microphones jo abhi market mein uplabdh hain, aur inki tulna kaise ki ja sakti hai.

Pehle hai…

1. Audio-Technica AT2022

Audio Technica AT2022

Jahanki kai brands dheeme hai stereo mics ki nayi maangon ko poora karne ke liye…

Audio-Technica ek aisi company hai jisne ek prabhavshaali line kaafi jald hi tayiyaar kar li hai.

Iss list ke 3 mein se pehle Audio-Technica mic, AT2022 kaafi achha dikhta hai pehli nazar mein…

Jyadatar aisa hai kyunki yeh seedha baith jaata hai woh low-mid price range mein, jismein hum jaise jyadatar log apni shopping shuru karte hai.

Toh yahan dekhiye yeh kya-kya deta hai:

  • battery-powered electret condenser design
  • do cardioid capsules
  • X/Y stereo configuration 90° ya phir 120° par
  • capsules jo chapti fold ki ja sakti hai store karne ke samay, nuksaan se bachati hai
  • 3 pin XLR cable output 1/8″ stereo jack par

Do mehetvapoorn chetavaniyaan iss mic ki:

  1. 48V phantom power istemaal nahi kiya jaana chahiye, aur iss se asal mein nuksaan ho sakta hai.
  2. Kyunki yeh ek unbalanced signal output deta hai, koi aur asaan tareeka nahi stereo ko 2 XLR mein split karne ka.

Aur inn kaaranon se, main studio istemaal ke liye iss mic ki salah NAHI doonga. Field recording ke liye, yeh ek achha vikalp hai, aur isse bahut saare positive reviews mile hai iss kaam ke liye.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– Amazon/eBay

Ab aage…yahan hai aisa mic jo ki ek studio alternative hai AT2022 ka…

2. Rode NT4

Rode NT4 stereo condenser mic

Sambhavna hai, ki aapne pehle Rode ki prathishtha ke baare mein suna hoga, unke high-end mics, madhya-range daamon ke liye.

Kher, Rode NT4 unki line ke kisi bhi aur mic jitna achha hai.

AT2022 ki tulna mein, ismein yeh saari khubiyaan hai:

  • frequency-matched cardioid capsules
  • X/Y stereo configuration 90° par
  • Battery powered operation field recording ke liye
  • 1/8″ stereo output field recording ke liye

BADE antar hai:

  • Yeh 48V phantom power svikaar karta hai studio recording ke liye.
  • Yeh ek 5 pin XLR output istemaal karta hai, aur ek shaamil dual 3 pin XLR Y-cable.

Iska matlab hai ki, AT2022 ke vipareet, yeh ek balanced stereo signal pradaan karta hai, jo ki asaani se studio mein kisi bhi standard mic preamplifier ke saath istemaal ho sakta hai.

Iski bahumukhi pratibha, kiphayati daam, aur Rode quality ke bahut achhe mel ke saath, iss list mein NT4 asaani se meri #1 pasand hai sabse behtereen stereo condenser mic ke liye.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– Amazon

Ab aage…

3. Audio Technica Pro24

audio technica pro24Agar aapko khaaskar sabse sasta daam chahiye…

Tab aapko yeh agla mic zaroor pasand aayega:

Audio Technica Pro24, jismein shaamil hain do phantom-powered mics ek standard X/Y stereo confirguration mein.

Pehli nazar mein, aapko do anoothi cheezein dikhayi dengi iss mic ki:

  1. ON/OFF switch
  2. sthaayi roop se judi hui 6 inch cable 1/8″ jack ke saath

Toh saaf hai, yeh mic banaya gaya hai camera-mouthing ke liye, studio ke liye NAHI.

Aur aapne gaur kiya hoga, Pro24 ke takhneeki aankde itne prabhavshaali nahi. Phir bhi kai reviews iski pushti karte hai ki iss price range mein, iski awaaz iske kisi bhi pratiyogi se behter hai.

Toh kul milakar, yeh phir bhi ek achha sauda hai.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– Amazon/eBay

Ab aage, yahan hai ek sabse achha sasta vikalp, jiski mein studio ke liye sifarish karta hoon:

4. Blue Microphones Yeti

blue microphones yeti stereo

Yeh sirf ek hi USB mic hai list mein…

Blue Microphones Yeti ek bahut asaan samadhaan deta hai stereo recording ke liye…

Woh sabhi gear aur jhanjhat ke begair, jo jyadatar iske saath hote hain…

Iske tri-capsule array ke saath, iss mic ki 4 alag settings hai:

  1. STEREO
  2. cardioid
  3. omni
  4. figure-8

…aur yeh samaanya visheshtayein jo ki USB mics ke saath aam hoti hai, jinmein shaamil:

  • gain control
  • zero latency headphone output
  • onboard preamp/converter

Sadhaaran bedroom studios ke liye, Blue Microphone Yeti ek achha tareeka hai acoustic guitar stereo mein record karna ka…

Sabse saral tareeka jo sambhav hai.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– Amazon/eBay

Aur Yeti PRO ko bhi dekhen, jo ki ek analog XLR connection jodta hai digital USB ke saath-saath.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– Amazon/eBay

Ab aage…

5. Avantone Audio CK-40

avantone audio ck-40

Agar aapko visheshtayein pasand hai, toh iss mic mein SAB kuch hai:

Avantone Audio CK-40 ek HI aisa stereo mic hai jismein do multi-polar pattern capsules hai, har ek 3 basic settings ke saath:

  • cardioid
  • omni
  • figure-8

Yeh mel aapko KISI BHI samaanya stereo takhneek ke saath kaam karne ki anumati deta hai, jismein shaamil:

  • Blumlein
  • Mid/Side
  • X/Y

Ek OPTIMAL stereo image ke liye, mics stack kiye gaye hai seedhe (vertically), jisse unhe point-in-space paryaapt roop se occupy ho sakti hai.  For an OPTIMAL stereo image, the mics are stacked vertically, allowing them to effectively occupy the same point-in-space.

Aur aapke X/Y recordings ki chaudaayi ko fine-tune karne ke liye, top capsule 180 degrees tak rotate ho sakte hain.

Inn sab visheshtayon ke saath, aap behas kar sakte hai (ek tareeke se), ki CK-40, sabse bahumukhi microphone hai sabhi samay ka.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– Amazon

Ab aage…

6. Audio-Technica AT4050ST

audio technica at4050st

Audio-Technica ki prasidhh 40 series ka sadasya…

Aur bahut hi mushhoor AT4050 ka dual-version…

Audio Technica AT4050ST ek “high-end stereo mic” ki paribhasha hai.

Iska anokha internal design dono cardioid aur figure-8 capsules ka mel istemaal karta hai…

Yeh mic saral stereo recording karne ki ijaazat deta hai, inn 3 settings mein:

  • Mid/Side
  • X/Y 90º spread par
  • X/Y 127º spread par

Kher, waise kuch khaas sampann nahi visheshtayon mein, iske bikna ka mukhya kaaran hai iski nirmal sound-quality record karne ki kshamta, premium parts aur manufacturing ke upyog se.

Aur agar yeh aapke budget mein hai, aap AT4050ST ke saath galat nahi ho sakte.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– Amazon

Ab aage…

7. Royer SF-12/Royer SF-24

royer sf-12

Sabse achha (aur sabse mehenga bhi) aakhri ke liye bachaya gaya hai…

Royer SF-12 aur SF-24 bina koi shaq Raja aur Raani hai stereo microphones ke.

Hairaani ki baat hai, ki yeh kewal kuch hi mein se ek stereo-ribbon mics hai jo market mein uplabdh hain…

Bavajoob iske ki ribbon mics ka figure-8 pattern ek mukhya upkaran hai stereo recording ke liye.

Dono models configure kiye jaate hai do mics ke saath, jo ki seedhe (vertically) stacked kiye jaate hai 90°angle mein…jo bahut achha hai Blumlein ya Mid/Side recording ke liye.

Inn do mics ka MEHETVAPOORN antar hai:

  • SF-24 mein active circuitry hai, jo 14dB jyada gain deta hai
  • SF-12 ke passive design ki tulna mein, jo ki thode kam daam ka hai

Aur jahanki dono hi BAHUT mehenga hai ek aam home studio ke liye…

Aur koi bhi pro studio yeh aapko bata sakta hai ki…yeh mics bikul shaandaar hai aur yeh inke daam ke laayak hain, unn logon ke liye jo inhe khareed sakte hain.

  • Royer SF12 – (Amazon)
  • Royer SF24 – (Amazon)

Primary Sidebar

Adhyaay 2: Microphones

1. Mics ke PRAKAAR
  • Condenser Mics
  • Dynamic Mics
  • Ribbon Mics
  • USB Mics
  • Stereo Mics
2. Mics PRAYOJAN se
  • Vocals ke liye Mics
  • Acoustic Guitar ke liye Mics
  • Electric Guitar ke liye Mics
  • Drums ke liye Mics
  • Bass/Kick ke liye Mics
  • <<  Chapters badale  >>

Copyright © 2019 · Parallax Pro on Genesis Framework · WordPress · Log in