Thakk gaye hai wohi purane condenser mics se?
Aakhirkar hum sab ke saath aisa hota hai.
Jo romance hume apne mic collection se saath tha, woh dheere-dheere kam ho jata hai…
Aur hume bas woh ek naya khilona chahiye cheezon ko aur thoda dilchasp banane ke liye.
Kher, jaise koi bhi engineer aapko bata sakta hai…
Ek chamakta hua naya ribbon mic aapka wohi ek jawaab ban sakta hai, jisse aap khoj rahe hain.
Aur aise ek chunne ki madadd karne ke liye, main iss post mein aapke saath share karunga, meri list:
7 Sarvashreshth Ribbon Mics Home Recording ke liye.
Toh chaliye, shuru karte hain. Pehle hai…
1. Royer 121
Agar aisi ek company hai jiska naam samaanaarthee hai high-end ribbon mics ke saath…
Woh hai Royer Labs.
Haal hi mein inhe 2013 Technical Grammy Award ka sammaan mila, kai dashkon se recording industry mein apne shaandaar yogdaan ke liye.
Inke POORI line mein, Royer 121 beshaq hi inka sabse badhiya microphone hai.
Jo log ribbon mics ke liye naye hai, unhone bhi shayad inka naam suna hoga. Kyunki yeh beshaq sabse mushhoor ribbon mic hai iss puri duniya mein.
Agar aap isse khareed sakte hai, toh isse behter ribbon mic nahi jiski main sifarish karta hoon.
- Naye daam ke liye yahan click karen – (Amazon)
Aapko Royer 122 – (Amazon) bhi dekh lena chahiye, jo ki 121 ka naya active version hai.
Agar yeh mics aapke liye thode mehenge hai, toh yahan dekhiye ek jo aapko jyada pasand aayega:
2. Avantone Audio CR-14
Jyada der nahi lagti yeh samajhne mein…
Ribbon mics BAHUT mehenge hain. Jyadatar Rs. 60,000 se upar hote hai.
Par jinhone kabhi isse istemaal nahi kiya hai…inhe khareedna ek mushkil vikalp hai, hai na?
Humara saubhagya se, Avantone Audio CR-14 hai.
Kuch ribbon mics jo ki Rs. 30,000 se kam ki category mein hain, yeh unmein se ek hi hai jo ki bahut garv kar sakta hai apne lagbhag saare postive reviews ki.
Ribbon mics ke saath aapke pehle parichay ke liye…main inki bahut sifarish karta hoon.
- Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)
Ab CR-14 shayad sabse kiphayati mic hoga passive ribbon mics mein…
Par active category mein, isse behter sauda nahi…
3. Audio Technica AT4081
Pehle jab Royer Labs ne pehla Royer 122 banaya, yeh PEHLA ribbon mic tha active electronics ke saath.
Aur jald hi microphone maahiron ke saath ribbon mics bann gaye ek nayi “cool” cheez.
Samasya hai ki…active wale jyada mehenge hai passive walon se.
Phir bhi…
Audio Technica AT4081 ADHHE se kam daam ka hai ek Royer 122 se, aur yeh sirf ek hi active ribbon mic hai jo ki thoda sa kiphayati hai ek aam aadmi ke liye.
Humare saubhagya se, iske reviews bhi jyadatar positive hi hai.
- Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)
Agla humare paas hai…
4. AEA R84
Ek “bade ribbon mics” ki vishesh subcategory se sambandhit…
AEAR84 ki “golee ki tarah” capsule banavat, ek bade diaphragm ke condenser mic ke jaise dikhta hai.
Aur iske aakaar se aapne andaaza laga hi liya hoga…
Yeh bahut hi mushhoor vocals ka microphone hai…bavajood iske ki yeh bahuprayojanon ke liye banaya gaya tha.
Jyadatar ribbon mics ki tarah, iske paas ek samaanya figure-8 polar pattern hai, jo ki vocals aur khaaskar duet ke liye bahut accha ho sakta hai.
Agar aap ek vishvasniye aur achha sunne wale mic ki talaash mein hain jiski ek classic vintage look bhi ho, toh main iski bahut sifarish karta hoon.
- Naye daam ke liye click yahan karen-(Amazon)
Ab aage iss list mein, humare paas EK nahi, balki DO mics hai..
5. Royer 101 Matched Pair
Agar aap figure-8 mics ke saath parichit hain, tab aapko pata hi hoga…
Inko istemaal karne ka koi behter tareeka nahi…
Blumlein Pair stereo recording se jyada.
Iss tankneek ko istemaal karne ke liye, aapko EK nahi, balki DO figure-8 mics chahiye, jo ki angle kiye jayenge 90 degrees ek dusre se.
Uchit roop se phir…
Aapko lag raha hoga ki sab figure-8 ribbons mics jodon mein aate hai, hai na?
Aur aisa hota hai ki…aam taur pe sirf ek hi mic jo ki bikta hai jodon mein woh hai Royer 101.
Lekin mujhe lagta hai ki, kyunki yeh ek Royer hai…humare liye ek hi vikalp kaafi hai, hai na?
- Naye daam ke liye yahan click karen – (Amazon)
Abhi, aapne kaafi saare Royer Mics dekh liye hai…
Par iss agle chunaav ke liye, main aapke saath sirf EK AUR ki baat karna chahunga…
6. Royer SF-12
Pehchanana ki ribbon mics bahut mushhoor hai stereo recording ke liye…
Royer ne aage jaake, ek krantikaari naya mic design kiya taaki humare liye aur asaan ho jaye.
Yeh anokha Royer SF-12 asal mein mel hai DO mics ka, ek hi body mein!
Har ek mic 90 degree ke angle mein position kiya gaya hai ek dusre ke nazdeek, jo ki bahut achha hai Blumlein Pair ya M/S stereo recording ke liye.
Ab hume do mics ke jhanjhat sambhalne ki zaroot nahi. Sirf SF-12 lagayiye, aur bajana shuru kijye.
- Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)
Iss mic ke active versions ko yahan dekhiye: Royer SF-24 – (Amazon)
Aur aakhirkar, hum iss list ke antim mic tak pahunch gaye…
7. Beyerdynamic M160
Mujhe lagta hai ki aapne pehle se hi dekh liya hoga…
Kisi kaaran se, lagbhag sab ribbon mics ne ek figure-8 polar patterns ka istemaal kiya hua hai.
Par kya hota hai jab ek paristhithi ko figure-8 mic ki zaroorat nahi? Aashcharya se, BAHUT KAM aise vikalp hain.
Saubhagya se, Beyerdynamic M160 humare din bachane ke liye aa gaye.
Yeh shayad EK AKELA ribbon mic hai jo ki ek hypercardioid design pradaan karta hai…jo ki ek matra aisa vikalp hai dheron aisi recording paristithiyon ke liye jahan koi aur market mein uplabdh ribbon mics kaam nahi kar payenge.
Ek bonus ke taur par…jab aap ek samroop Beyerdynamic M130 ke saath isse jodte hain, aapke paas ek bahut achha joda hai ribbon mics ka M/S recording ke liye.
Kisi bhi bahumukhi collection ribbon mics ki…yeh ek ZAROORAT hai.
- Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)