Yeh ITNA mazedaar sunayi de raha hai, hai na?
Koi mehenge studio monitors nahi…
Koi bada control room nahi, koi fancy acoustic treatment nahi.
Bas aap, aapke headphones aur tracks jo aapke agle masterpiece ban jaayenge.
Magar headphones par mixing karna thoda jatil hai, hai na?
Jabki ismein kaafi saari khoobiyaan HAI, iske saath kuch samasyaien bhi ho sakti hai.
Aur isliye, apne headphones se sabse jyada phayeda uthaane ke liye…
Hum inke baare mein thodi aur baat karenge aaj ki post mein…jiska shirshak hai:
Headphones par Mixing: Nausikhyon ki Sarvottam Guide.
Pehle hai…
5 Bade Phayede
Kuch log kehte hai ki aapko headphones par mixing KABHI NAHI karni chahiye. Aur phir bhi woh shayad aisa karte hai kabhi-kabhaar.
Kyunki sach hai ki…sahi paristhithiyon mein, ismein phayede hain.
Iske 5 BADE phayedon mein shaamil:
1. Shaanti se Kaam karne ki Azaadi
Jyadatar home studios mein, shor ek lagatar jang hai.
Padosiyon ka shorgul AAPKO tang karta hai din bhar. Aur raat ko jab woh so rahe hote hai aap UNHE pareshaan karte hain.
Headphones ke saath, SABKO shaanti milti hai.
2. Ekaant
Jitna hume pasand nahi yeh svikaar karna, hum mein se kai log sankochi hai apne sangeet ke baare mein.
Khaaskar jab….
- Jab AAP baja ya gaa rahe hai, aur…
- Aapko pata hai ki yeh utna achha sunayi nahi de raha.
Yeh jaante hue ki dusre usse sunn rahe hai ek badi badha ho sakti hai aapki uttejana ko khatam karne ke liye.
Par headphones ke saath…koi isse nahi sun sakta, AAPKE sivaay.
3. Location ki azaadi
Studio monitors ke saath, aapka kaam ek jagah seemit hota hai.
Aur aam taur par yeh theek hai…par kabhi-kabhaar NAHI.
- Shayad aap raste mein hai.
- Shayad aapko apne studio se break chahiye.
- Ya phir aapke paas abhi studio bhi nahi hai
Headphones ke saath, aap kaam kar sakte hai jahan bhi, kabhi bhi, jab bhi aap chahe…
Aur aapko acoustic treatment ke baare mein chinta karne ki bhi zaroorat nahi.
4. Aapki Jeb mein Jyada Paise
Aisa nahi ki headphones saste hai, kyunki achhe wale saste NAHI.
Par studio monitors aur ek achhe kamre ki tulna mein…
Headphones ek jeet hai, har baar.
5. Details par Jyada Dhyaan
Sound quality ke maamale mein, studio monitors headphones ko hara sakte hai LAGBHAG har tareeke se.
Par EK tarah se headphones behter hai…
Kyunki yeh aapke kaanon ke itne nazdeek hai…aap apni mixes ke maahin bhaagon ko sunn sakte hai.
Jisse aap clicks, pops, chair squeaks jaisi awaazein ko sunn sakte hai. Aur aap unn komal background effects ko daal sakte hai, jo speakers par halke sunayi dete hai.
Beshaq, yeh sirf ek ACHHE headphones ke jode se ke saath ho sakta hai.
Toh aage hai…
Ek Achha Joda Chuniye
Headphone mixing ki kai aam samasyayon se bacha ja sakta hai, ya unhe kam se kam kiya ja sakta hai…
Sirf ek ASLI achhe jode ke saath.
Pro audio circles mein, iska matlab hai ek mid-to-high end joda open back headphones ka.
Aur aisa hai kyunki, jab baat hoti hai sound quality ki, inse behter kuch nahi.
Sirf ek aur samay jab aapko kisi dusri cheez ki zaroorat padegi, woh hai…
Tracking Ke Dauraan Mixing
Commercial studios mein, jahan live aur control kamre alag hote hai…
Engineers rough mixes perform kar sakte hai studio monitors par jaise sangeetkaar dusre kamre mein record kar rahe ho.
Home studios mein, jahan musician aur engineer ek kamra share karte hai, DONO logon ko headphones ki zaroorat hoti hai.
Par ek kamre mein jahan live mics hote hai, open back headphones kaam nahi karenge kyunki woh awaaz ko isolate nahi karte.
Iss kaam ke liye, closed back headphones bahut achha kaam karte hai.
Apne liye ek achha joda open ya closed back headphones ka khojne ke liye, iss lekh ko padhiye:
Ab aage…
Teen Chunautiyaan Headphone Mixing ki
Inki khoobiyon ke bavajood, headphone mixing ki #1 samasya hai ki…
Ek mix jo ki jaati hai sirf headphones par, hamesha studio monitors par achhi sunayi nahi deti. Aur iska ulta bhi sach ho sakta hai.
Aisa hota hai kyunki har system se awaaz kaise sunayi deti hai, alag hoti hai.
3 MUKHYA antar hai:
- Stereo Imaging
- Frequency response
- Crossfeed
Yahan dekhiye har ek ka saraansh:
1. Stereo Imaging
Ek chaudi stereo image se behter kuch nahi apni mixes ko sudhaarne ke liye…hai na?
Samasya hai ki, stereo images kaafi hadd tak chaudi sunayi deti hai aapke headphones par aapke monitors ki tulna mein.
Aur koi aashcharya nahi ki kyunki studio monitors aapke saamne baithte hai…aur headphones aapke kaanon ke upar.
Aur, center-panned upkaranon ki bhi samasya hai. Monitors par, yeh sunayi dete hai jaise ki woh aapke saamne the. Headphones par, yeh sunayi dete hai jaise yeh aapke kaanon ke beech mein hain.
Yeh DONO cheezein hi chunautiyaan de sakti hai jab aap ek mix par kaam kar rahe hai.
Anumaan lagane ke ilaava, yeh jaanne ka ekmatra tareeka hai ki aap khud inki jaanch kare ki yeh kaise sunayi denge.
2. Frequency response
Agar aapne kabhi headphones ke frequency response chart ki taraf dekha hai…
Aapne shaayad dhyaan diya hoga ki yeh BILKUL bhi flat nahi, hai na?
Aisa nahi ki yeh kharaab hai. Jyadatar headphones iss tarah se design kiye gaye hai.
Yahan dekhiye kyun:
- Kyunki headphones aapke kaanon ke itne nazdeek baithte hai, high frequencies jyada unchi sunayi deti hai jitni ki yeh asal mein hai. Isse balance karne ke liye, headphones utpadak ek high-frequency roll-off daalte hain.
- Kyunki aap woh bass thumping MEHSOOS nahi karte, jaise ki monitors ke saath…kuch headphones ek thode bass boost ke saath iski kami poori karte hai.
- Kyunki headphones sangharsh karte hai bass frequencies ke LOWEST OCTAVE ko dobara banane mein…kuch kami poori karte hai bass frequencies ke higher octaves par ek additional boost ke saath.
Jabki yeh sabhi tweaks aapki madadd kar SAKTE hai kuch hadd tak, yeh ek nishkalank system nahi. Aur isiliye EQ jaisa kaam mushkil ho sakta hai, khaaskar jab aap bass levels tay kar rahe ho.
Monitors par cross-referencing karne ke atirikt…
AGLI sabse achhi cheez jo aap kar sakte hai ki apne kaam ko milte-julte genres ki achhi albums ke saath tulna kare.
3. Crossfeed
Aam taur par, jab aap studio monitors par music sunte hai…
- aapka baayan kaan baayan monitor sunta hai
- aapka dahina kaan dahina monitor sunta hai
Aur ek hi kshand baad, kyunki yatra ka samay lamba hota hai…
Har kaan sunta ha ulte monitor se awaaz thodi kam volume mein. Awaaz ka yeh hissa jaana jaata hai crossfeed se.
Aur yahan hai diagram jo iske baare mein samjhaata hai:
Yeh kudarti tareeka hai jisse ki humare kaan aas paas ki duniya ko sunn paate hai. Sirf ek samasya hai…headphones par, crossfeed maujood nahi hoti.
- baayan kaan baayan channel sunta hai…
- aur dahina kaan daahina channel sunta hai…
Lekin itna hi.
Aur jab aapka dimaag yeh laapata jaankaari ko pehechaanta hai…kudarti usse pasand nahi woh kya sun raha hai.
Iss samasya ko suljhaane ke liye, yahan dekhiye 3 cheezein jo aap kar sakte hai:
- Hard panning se bache – Jab aapka track hard-panned hai, awaaz ek channel mein bilkul nahi hai, toh wahan ZERO crossfeed hai. Iss practice se bachkar, aapki mix ki har awaaz DONO channels mein rahegi kuch hadd tak.
- Open back headphones ka istemaal kare – Kyunki inmein isolation nahi hota, thoda sa natural crossfeed har channel se ulte taraf ke kaan tak pahunchega.
- Ek crossfeed plugin ka istemaal kare – Headphones mein crossfeed ko simulate karne ke liye, bahut saare tools hai jisse aap thode se signal ko opposite channel mein daal sakte hai artifically.
Yeh strategies perfect nahi hai, par inn sab ko ek saath istemaal kar…
Aap samasya ko ek manageable level par la sakte hai.
Antim Vichaar?
Ab jab hum aakhir tak pahunch gaye hai, main sochta hoon ki hum sab sehmat ho sakte hai ki…
- Headphones kuch cheezon ke liye kaam karte hai
- Aur studio monitors DUSRI cheezon ke liye achha kaam karte hai
Toh kaunsa behter hai iske baare mein behas karne se achha hai ki…
Kyun na DONO ka istemaal kare?
Aap apne monitors istemaal kare jab aap aisa kar SAKE…aur jab NAHI kar sakte…apne headphones ka istemaal kare backup ke liye.
Aur yahi jyadatar engineers bhi karte hai, aur aakhirkar, main bhi aapko isi ki salah deta hoon.