• Skip to main content
  • Skip to primary sidebar

E-Home Recording Studio

Build a Studio. Record Your Music.

  • 6 adhyaye
    • 1. Aavshyaktayein
    • 2. Microphones
    • 3. Dhvani Vigyaan
    • 4. Design
    • 5. Recording 101
    • 6. Upgrade

Home Recording ke liye 7 Sabse Behtereen Headphone Amplifier

Headphone AmplifiersJab aakhirkar woh samay aata hai ki aap dusron ke saath record karne ke liye taiyaar hai…

Yeh ek BADA kadam hai…

Pehle, kyunki dusron ko apne studio mein pehli baar aamantran karna thoda daravana ho sakta hai…

Dusra, kyunki iska matlab hai ki aapko kuch upgrades ki zaroorat padegi.

Aur jyadatar log ek headphone amplifier ke saath shuru karte hai.

Agar aapne kuch research ki hai, toh aapko pehle se hi pata hoga…

Vikalp bahut alag ho sakte hai, DONO functionality aur daam mein.

Toh inn sab ka matlab nikaalne ke liye, aaj ki post mein main review aur tulna karunga 7 sabse behtereen headphone amplifiers ki jo abhi market mein upalabdh hain.

Lekin pehle…

Headphone Amplifiers ki 3 Shreniyaan

SABHI studio headphone amplifiers inn 3 mein se kisi 1 shreni mein fit hote hain:

  1. Desktop Amplifiers – (sabse sasta)
  2. Rackmounted Amplifier – (madhya-daam)
  3. Headphone Distribution Systems – (high-end)

Aur kyunki jyadatar log ek desktop model ke saath shuru karte hai, unhi se shuru karte hai…

Desktop Amplifiers

Desktop Headphone AmplifiersStudio headphone amplifier ka sabse saral version…

Desktop amps ek headphone out ko chaar mein baant sakte hai…

Taaki kai sangeetkar aapki mix ko ek baar mein monitor kar sake.

Aur kyunki yeh saste, chhote aur asaan hai istemaal karne ke liye, jyadatar project studios ke liye yeh ek achha vikalp hain.

Iss category ke top models jinki main sifarish karta hoon, woh hai:

  • ART HeadAmp 4
  • Behringer MicroAMP HA400
  • Presonus HP4

Yahan dekhiye inki tulna kaise ki ja sakti hai:

1. Behringer MicroAMP HA400

Behringer MicroAMP HA400

Market ke sabse saste, tikau vikalp ke liye…

Kisi aur ki tulna Behringer MicroAMP HA400 ke saath nahi ki ja sakti.

Iss price range ke jyadatar models ke saath samasya hai ki…

Yeh powered nahi hai, aur aap signal ko chaar bhaagon mein baantne se bahut bijli kho dete hain.

HA400 jahanki, active circuit istemaal karta hai, jiska matlab hai ismein ek samarpit power supply hai har ek channel ko uske original level par badhane ke liye.

Aur jabki aap sandeh karenge iss price range ke vikalpon par, HA400 ke sekdon positive reviews iss baat ki pushti karte hain ki yeh apne vaadon ko nibhata hai.

  • Naye daam ke liye yahan click karen – (Amazon)

Ab aage…

2. ART HeadAmp 4

ART HeadAmp 4Ek aam shikaayat jo aap HA400 ki sunte hai ki yeh kuch hadd tak shor daal sakta hai signal par…

Jo koi badi samasya NAHI, kyunki hi-fi awaaz waise bhi headphone monitoring ke saath ek kam praathamikta hai.

Haalanki…

Agar yeh aapko pareshaan karta hai, dusra vikalp hai ki aap thode aur paise kharach kare ek behter model par jaise ki ART HeadAmp 4…

Jo wohi basic functions deta hai, par ek jyada saaf signal ke saath.

HeadAmp4 ka ek achha feature hai ki yeh dono 1/4″ AUR 1/8″ headphone jacks ke saath aata hai, jo dono consumer aur pro headphones ke saath fit hote hain, adapter ki zaroorat bina.

  • Naye daam ke liye yahan click kare – (Amazon)

Ab aage…

3. Presonus HP4

Presonus HP4Jabki yeh pichle do vikalpon se jyada mehenga hai…

Kuch hi behas kar sakenge ki Presonus HP4 inn teenon mein se asaani se behtereen hai.

Aur yahan dekhiye kyun:

Sirf ek balanced stereo input istemaal karne ki bajay jaise ki pichle do models mein hai, HP4 do balanced mono inputs istemaal karta hai…

Jo ki jyada asaan hai, kyunki lagbhag sabhi audio interfaces do balanced mono OUTPUTS istemaal karte hai.

Toh iss model ke saath, aapko kisi ajeeb Y-adapter cable ki zaroorat NAHI padegi.

Ek dusra achha feature hai balanced stereo outputs, jo aap apne studio monitors ke saath connect kar sakte hai, jisse HP4 ek saral monitor management system ki tarah bhi kaam kar sakta hai.

Kulmilakar, yeh iss category ka sabse badhiya vikalp hai.

  • Naye daam ke liye yahan click kare– (Amazon)

Ab aage…

Rackmounted Amplifier

Rackmounted Headphone AmplifiersSabhi home studios antt mein ek sirre tak pahunchte hain…

Jahan rackmounted gear thoda jyada badh jata hai…

Aur desktop gear ko eBay par becha jaata hai.

Agar aap uss sthar par hain, tab ek rackmounted headphone amplifier shayad woh hai jisse aap pasand karenge.

Desktop amplifier ki tulna mein, inmein jyada features aur jyada channels hote hai, aur yeh jyada mehenge bhi hote hai (Rs. 6,000 – Rs. 19,000).

Iss category ke top models jinki main sifarish karta hoon, woh hain:

  • Behringer Powerplay Pro-8 HA8000
  • ART HeadAmp6 Pro
  • Presonus HP60

Aur yahan dekhiye inki tulna kaise ki ja sakti hai:

4. Behringer Powerplay Pro-8 HA8000

Behringer Powerplay Pro-8 HA8000Teenon vikalpon mein se sabse sasta vikalp hone ke bavajood…

Behringer Powerplay Pro-8 HA8000 mein sabse jyada channels hain (8), aur kuch dusre achhe features bhi…

Pehle, ismein headphone outputs hai DONO saamne aur peeche ke panels par, jo bahut achha hai kyunki aap baar-baar istemaal kiye channels ko pichhe chhupaye rakh sakte hai…

Phir bhi, zaroorat anusaar temporary channels saamne daalna asaan hai.

Aur desktop amplifiers ke vipareet, HA8000 mein DO mukhya stereo inputs hai…aur har channel ke beech toggle karne ki kshamta ke saath.

  • Naye daam ke liye yahan click karen – (Amazon)

Ab aage…

5. ART HeadAmp6 Pro

ART HeadAmp6ProJahanki HA8000 ek badhiya headphone amplifier hai…yeh apni samasyon ke begair nahi.

Art HeadAmp6 Pro ki achhi cheez hai ki…

Daam ki ek chhoti chhalaang ke saath, yeh aapki unn jyadatar samasyon ko suljha sakta hai.

Yahan dekhiye mera kya matlab hai:

Headphone amplifiers aksar aux inputs feature karte hai har channel par taaki sangeetkaar apne aap ko jyada behter sunn sake tracking ke dauraan.

Samasya hai ki, HA8000 koi tareeka nahi deta aux input aur har channel ke stereo mix ke beech mix control karne ka…jisse yeh feature bekaar ho jaata hai.

HeadAmp6 Pro mein jahanki…yeh ek mukhya feature HAI, jiske kaaran abhi tak ke sabhi models jo humne dekhe hain, yeh unmein se aage khada hota hai.

Aur agar aap ek se jyada sangeetkaar ko record karna chahte hai ek samay par, yeh suvidha ek ZAROORAT hai.

  • Naye daam ke liye yahan click kare – (Amazon)

Ab aage…

6. Presonus HP60

Presonus HP60Jabki yeh teenon vikalpon mein se sabse mehenga vikalp hai…

Presonus HP60 ka daam iski kamal ki khoobiyon ke layak hai.

Yeh HeadAmp6 Pro ka “khud ko behter sunne” ke jaisi hi function deta hai, kuch extras ke saath…

Pehle, ismein DUAL stereo inputs hai ek mix knob ke saath har channel par, taaki aap click track set kar sake second input par…

Aur har ek channel uss click volume ko control kar sake alag-alag. Koi bhi dusre amplifiers, jinhe humne abhi tak dekha hai, yeh nahi kar sakte.

Dusra, comment jo aap baar-baar sunte hai HP60 ka ki yeh ZOR hai. Aur ek aam samasya kai saste headphone amplifiers ki hai inki volume ki kami alag-alag headphone pratibadhaon ki vajah se.

Saubhagya se HP60 mein extra power hai (150 mW har channel par) taaki aapke paas utni volume ho jitni aapko zaroorat ho.

Aur teesra, HP60 mein talkback kshamta bhi hai, jo achha hai agar aapke paas pehle se ek set up nahi hai.

HP60 ke saath sirf ek kami jo maine dekhi hai ki power switch peeche hai. Jo thoda pareshaan karti hai, par yeh ek chhoti asuvidha hai iski dusri shaandaar visheshtayon ki tulna mein.

  • Naye daam ke liye yahan click kare – (Amazon)

Ab aage…

Headphone Distribution Systems

Sabhi rackmounted headphone amplifiers ki ek PRAMUKH kami hai ki:

Yeh engineer ke haath mein saara control dete hai, sangeetkaar ke haath ki bajay jahan iski jyada zaroorat hai.

Kyunki jab engineer apni volume control karte hai, unko koi andaaza nahi hota:

  • kya dusre sangeetkaar sunn rahe hai, ya…
  • woh kya sunna chahte hai.

Natije se, ek antheen aage-peeche hoti hai:

Kaafi zor hai?

Nahi? Ab kaise?

Bahut zor hai? Ab kaise?

Aur bhi kharab hai ki…jab sangeetkaar apne khud ki volume control nahi kar sakte sahi tareeke se, weh aisa karne lagte hai galat tareekon se aapko bina bataye…jaise ki unke upkaran ke volume knob ko adjust kar…

Aur yeh khud mein hi dusri samasyein paida karte hain engineer ke liye.

Aadarsh roop se, har sangeetkaar ke paas apne khud ka personal mixer hona chahiye, taaki woh khud niyantran kar sake woh kya sunte hai apne headphones par, kisi ki madadd bina.

Iss tarah, sangeetkaaron ko bilkul wohi milta hai jo unhe chhahiye apni sabse achhi performance dene ke liye aur engineer dusri cheezon par dhyaan de sakte hain.

Sirf ek hi tareeka jiske saath yeh mumkin hai, woh hai ek headphone distribution system, jaisa ki yeh:

7. Behringer Powerplay P16-I

Behringer Powerplay 16 P16-IAdhiktam niyantran sthar ke liye…

Behringer Powerplay P16-I mein lagbhag woh sab hai jo aap ek headphone amplifier mein chahenge, aur jyada.

Powerplay Distribution System ka hub hai P16-I, jo 16 input channels deta hai:

  • 16 balanced TRS analog inputs, ya…
  • 2 (8 channel) digital ADAT inputs

Yeh 16 channels phir ethernet cable dwara bheje jaate hai 6 P16-M personal mixers par, jo alag-alag khareede ja sakte hai, agar aapko zaroorat ho.

P16-M sangeetkaaron ko apne khud ki custom headphone mix banane ki kshamta deta hai, bina kisi dusre ki suni gayi awaaz ko prabhaavit kiye.

Agar aapko 6 mixers se jyada chahiye, Behringer P16-D expander (jo alag khareeda ja sakta hai) aapko 8 aur jodne ki kshamta deta hai.

Aur kyunki yeh mixers ethernet dwara bhare jaate hai, aap unhe sekdon foot badha sakte hai, signal ke koi bhi dhyaan dene laayak ghataav begair.

Aap keh sakte hai ki, Behringer Powerplay Distribution System sarvottam samadhaan hai home recording ke liye headphone monitoring ka.

Yahan dekhiye har item ka daam:

  • P16-I hub – (Amazon)
  • P16-M mixer – (Amazon)
  • Mixer mount – (Amazon)
  • P16-D expansion – (Amazon)

Powerplay P16-I ke kuch achhe vikalpon mein shaamil:

  • Hear Technologies Hearback
  • Aviom AN-16/i v.2

Par main inki sifarish nahi karunga kyunki yeh bahut mehenge hain, kuch hi phayede ke saath.

Ab iss suchi to samaapt karne ke liye…

Ek Mananiya Ullekh

Behringer MicroMON MA400

Agar aapko personal mixers chahiye apne setup ke liye aur P16-I aapke liye bahut mehenga hai…

Ek sasta vikalp hai Behringer MicroMON MA400.

Yeh itna sasta hai kyunki yeh wohi “khud ko behter sunne” ka control deta hai ek poore alag tareeke se.

Aapke audio interface se kai outs receive karne se bajaay, MA400 ek akele stereo channel ko mix karta hai ek direct/thru input ke saath live microphone se.

Jisse aap iss list ke KISI bhi standard headphone amp ke saath jod kar sakte hai.

Haalanki…

Iss tareeke ka sabse bada nuksaan hai ki…”khud ko behter sunne” ke channel mein mix ke koi bhi effects nahi honge.

Toh yeh aadarsh nahi, par yeh kuch na hone se behter hai.

  • Naye daam ke liye yahan click kare – (Amazon)

Primary Sidebar

Adhyaay 6: Upgrades

  • 1. Studio Rack Mounts
  • 2. Power Conditioners
  • 3. Microphone Preamps
  • 4. Headphone Amps
  • 5. Monitor Management
  • 6. MIDI Controllers
  • 7. Electronic Drum Kits
  • 8. Control Surfaces
  • 9. Software/Plugins
  • 10. Snake Cables
  • 11. Abaadhit Vidyut Aapoorti
  • 12. Direct Boxes
  • <<  Adhyaay Badalein  >>

Copyright © 2021 · Parallax Pro on Genesis Framework · WordPress · Log in