• Skip to main content
  • Skip to primary sidebar

E-Home Recording Studio

Build a Studio. Record Your Music.

  • 6 adhyaye
    • 1. Aavshyaktayein
    • 2. Microphones
    • 3. Dhvani Vigyaan
    • 4. Design
    • 5. Recording 101
    • 6. Upgrade

2017 ke 8 Sabse Behtereen Electronic Drum Kits

Sabse Behtereen Electronic Drum Kits1980 ke dashak mein yaad hai…

Jab electronic drum kits ne apni pehli haajiri di sangeet ki duniya mein?

Bhayanak…hai na?

Kher, jo kuch logon ko nahi pata ki…

Dashkon mein, inmein BAHUT sudhaar hue hain.

Aaj ke kits itne shaandaar sunayi dete hai, ki unhe ASLI cheez se alag karna mushkil ho gaya hai.

Yeh sirf live settings ke liye hi achhe nahi, yeh khaaskar upyogi hai recording studio mein…

Kuch mein toh kai saari outputs bhi hoti hain har drum ko aapke audio interface ke saath connect karne ke liye!

Aur har kuch saalon mein, yeh kits AUR BHI BEHTER hote ja rahe hai.

Aapko yeh dikhaane ke liye yeh kitni dur aa gaye hai, iss lekh mein maine ek poori list taiyaar ki hai:

2017 ke 10 Sabse Behtereen Electronic Drum Kits (videos ke saath).

Sabse pehle, saste vikalp…

1. Roland TD-1KV

Roland TD-1KVKuch log behas kar sakte hai ki, abhi kuch saalon mein…

Roland V-Drums electronic drum industry ke VIJAYI ban gaye hai.

  • Unke mid-range models dusri companies ke flagship models ko chunauti dete hai…
  • Unke high-end models ka lagbhag koi pratiyogi nahi, aur…
  • Unke budget models behtereen vikalp hai unn logon ke liye jo pehli baar khareedaari kar rahe hain.

Aur isiliye…beshaq aaj ki humari pehli pasand hai Roland ka sabse naya entry-level kit: Roland TD 1KV.

Iss kit ki kuch mushhoor vishestayon mein shaamil hai:

  • 15 kits + percussion sounds
  • Built-in metronome
  • Asaan recording aur playback
  • Outputs headphones aur amplifiers ke liye
  • Smartphone/Mp3 connect play-along ke liye
  • USB connect computer recording ke liye

Iss kit ki ek achhi cheez hai iska upgraded mesh snare, jo saalon pehle, sirf unchhe-sire ke kits par hi upalabdh tha.

TD-1KV ko bajte hue dekhne ke liye, iss video ko dekhen:

Aur iske thode aur saste vikalp ko bhi dekhen TD-1K, jismein mesh snare nahi hai…aur thoda mehenga TD-4KP, jismein bhi mesh snare nahi hai, par jyada portable hai, aur ismein behter sound engine hai.

Har version ke links yahan hai:

  • Roland TD-1K – (Amazon)
  • Roland TD-1KV – (Amazon)
  • Roland TD-4KP – (Amazon)

Ab aage…

2. Alesis Nitro

Alesis Nitro

Iss post ke 3 top brands mein se dusre ke taur par…

Alesis Studio Electronics unmein se pehle electronic upkaran utpaadak the jinhone kiphayati products banaye samaanya home studio ke liye.

Aur aaj bhi weh yeh parampara kaayam rakhte hai…

Bahut hi saste Alesis Nitro ke saath.

Jabki yeh sabse sasta kit hai iss list mein, yeh yakeenan sabse sasta toh nahi dikhta (jaise ki aap tasveer se dekh sakte hain).

TD-1K ki tulna mein, aap mesh snare kho dete hai, jo ek badi cheez ho na ho, aapke bajane ke andaaz par nirbhar. Kyunki jyada jatil snare kaam ke liye, mesh snares bilkul theek hai.

Jahanki, Alesis Nitro ke saath, aapko behter hardware milta hai, jismein shaamil hai ek mazboot aluminium rack, aur upgraded kick pad.

Jyada jatil kick drum kaam ke liye, aapko ek asli pedal chahiye hoga jo pad ke saath juda ho, TD-1KV ke electronic pedal ki bajaay.

Alesis Nitro ko bajte hue dekhne ke liye, iss video ko dekhen:

  • Alesis Nitro – (Amazon)

Ab aage…

3. Yamaha DTX400K

Yamaha DTX400KAb jab humne Roland aur Alesis ke entry level kits dekh liye hain…

Teesra number aur iss post ke antim brand ko dekhte hai: Yamaha.

Iske bavajood ki Yamaha Corporation ek bahut chaudi range of products dete hain kai udyogon mein…

Koi shaq nahi ki drums inki top khaasiyaton mein se ek hai.

Aur yeh phir se saabit kar dete hai apne entry-level electronic kit ke saath: Yamaha DTX400K.

Ab main pehla honga kehne wala…sirf dikhavat se hi, yeh kaafi bhadda dikhta hai (jaisa ki aap tasveer se dekh sakte hai).

Magar…

Ek baar jab aap dekhenge ki yeh kaise perform karta hai, aap samajh jayenge yeh kyun sabse behetereen aur mushhoor electronic drum kit hai apni shreni mein.

Iski kai shikshaatmak visheshtayon ke saath, yeh shayad sabse behtereen vikalp hai kai yuva khiladiyon ke liye jo iss upkaran ko seekhna chaahate hain.

Jabki ismein mesh snare ya kick pad nahi hai, ismein gum rubber pads, aur ek kick pedal ka anokha mel hai jo iss daam ke dusre models ke electronic pedals se kahin jyada behter hai.

Dilchasp baat: yeh asal mein sabse shaant drum kit hai Yamaha line ka. Jo bilkul theek rahega agar aapko fikr thi der raat ke abhyaas mein jyada shor karne ki.

Toh yeh bajta kaise hai, aap pooch rahe hain?

Iss video ko dekhen aur khud jaaniye:

  • Yamaha DTX400K – (Amazon)

Ab jab aapne video dekh li hai, aap DTX 400 app ek baare mein soch rahe honge.

Bas aap free app yahan download karen apne tablet (ya phone) par aur usse ek DTX400 module ke saath connect kare. Yeh dono devices khud-b-khud sync ho jayenge aur aap dono mein se kisi ke saath kit settings control kar sakte hain.

Iss app ka mukhya munafa hai iska advanced user interface jo khud module se jyada user-friendly hai.

Yahan hai ek aur video jo dikhati hai yeh kaise kaam karta hai:

DTX400K ke updated version ko bhi zaroor dekhen: Yamaha DTX450K – (Amazon) jismein hai:

  • rimshots ke liye ek 3-zone snare
  • ek bass drum pad jo ek double kick pedal ki ijaazat deta hai, ek ASLI kick pedal ke saath shaamil
  • jyada advanced HH65 Remote hi-hat controller

Ab aage…

4. Alesis Command

Alesis CommandAb jab humne top ke entry-level kits ko poori tarah se cover kar liya hai…

Iss post ko jaari rakhte hai kuch aur advanced models ke saath…

Shuruaat karenge Alesis Command kit ke saath.

Ek kaafi bada upgrade Alesis Nitro se, jisse humne pehle dekha…

Command ek behter sound module ko daalta hai jismein 50 presets aur 20 kits hai, Nitro ke 25 presets aur 15 kits ki tulna mein.

Hardware mein, Command ek jyada mazboot aluminium rack jodta hai, aur ek advanced mesh pad dono snare aur kick drum par.

Jabki mesh snare pads bahut aam hai aaj kal…mesh kick pads jyadatar unn bahut hi mehenge kits par paaye jaate hai jinka daam isse kai guna jyada hai.

Ab jab aapne visheshtayon ke baare mein padh liya hai, iss nichli video mein dekhiye yeh kaise sunayi deta hai:

  • Alesis Command – (Amazon)

Ab agar aapko upgraded rack aur sound module pasand hai, par aap mesh snare aur kick ke bina kaam chala sakte hai, aap paise bacha sakte hai iss kit ke ek saste version ke saath:

  • Alesis Forge – (Amazon)

Ab aage…

5. Roland TD-11K

Roland TD-11K

High-end kits aur budget kits ke theek beech mein…

Humare paas hai Roland TD-11K.

Aur main kinn logon ke liye iski sifarish karta hoon?

Agar aap apne aap ko sochte hue payenge ki…

Main utna kharach karna chaahata hoon jitni zaroorat hai, par usse jyada nahi.

Phir TD-11K aapke liye ek badhiya vikalp hai.

Kyunki agar sach kahun, electronic drum kits ke saath, aap aakhirkar ek aise sthar par pahunchte hai, jahan achha bahut achha ho jaata hai.

Agar aap kaam ke taur par drummer hai, toh iss mukaam tak aap nahi pahunchenge jab tak aapke paas sabse behter se behter na ho (jo iss list ke neeche paaya ja sakta hai).

Magar…

Agar drums aapke mukhya upkaran nahi, aur aap inhe apne home studio ke liye istemaal kar rahe hai, ya phir aap sirf kisi shauk ke liye bajana chahte hai…

Roland TD-11K uppari seema mein hai jisse mein jyadatar khareeddaaron ko sifarish karta hoon…

Kyunki ismein woh saare “aavashyak” visheshtayein hai jo aap sach mein chahte hai, jaise ki:

  • ek mesh snare,
  • ek cloth kick pad,
  • ek mazboot rack…

AUR…jyada advanced TD-11 sound engine jismein wohi Behaviour Modeling aur Super NATURAL Sound Engine Technologies hai jo Roland ke unnche-sire ke models mein istemaal hoti hai.

TD-11K ko bajte hue dekhne ke liye, iss video ko dekhen: 

  • Roland TD-11K – (Amazon)

Upgraded Roland TD-11KV – (Amazon) ko bhi dekhen, jismein yeh nichli do upgrades hai:

  1. Multiple trigger cymbals – jo saste trigger pads se jyada behter mehsoos aur vaastavikta dete hain.
  2. Mesh pads toms par – TD-11k ke rubber pads ki tulna mein.

Aur jab hum iss vishay par hai…

Toms ke upar mesh pads ek achha udhaaran hai uss feature ka ‘jo achha hai hone mein’…par jyadatar anaavashyak hai agar aap iske baare mein sach mein sochen.

Aur iss post ke baaki hisse ke liye, high-end kits jinhe main aapko abhi dikhaunga JYADA uss “hone ke liye achha hai” category mein hai.

Aur ab agla humare paas hai…

6. Yamaha DTX532K

Yamaha DTX532KJab aap Yamaha DTX532K ki tulna karte hai TD-11K ke saath…

Pehli nazar mein, aap sochenge ki yeh ek samaan dikhte hai.

Aur aisa hai. Sivaaye iske ki…

DTX532K mein do BADE upgrades hai jo TD-11K mein nahi.

Pehle, 3-trigger zone snare aur 3-trigger zone cymbals hain, jo behter mehsoos aur bajane ki kshamta dete hai…

Jab aap TD-11K ke snare aur cymbals ke saath tulna karte hai, jismein sirf dual-trigger zones hai.

Dusra, hai vertical motion hi-hats jo unn remote pedals se KAHIN jyada asli dikhte aur mehsoos hote hai, jinhe humne abhi pehle ke kits par dekha hai. Yeh ek hi-hat ke saath bhi aata hai, phir bhi aap apne khud ka istemaal kar sakte hai agar aapke paas ek pehle se hai.

Aapke bajane ke andaaz par nirbhar, yeh hi-hats ek “hone ke liye achhi” cheez ho sakte hai agar aap ek classic rock-n-roll tarah ke drummer hai…

Ya phir yeh ek bilkul “zaroorat” ho sakte hain, agar aap jyada jazz, reggae ya kuch dusra bajate hain.

Ab neeche ki video dekhiye DTX532K ko bajte hue dekhne ke liye:

  • Yamaha DTX532K – (Amazon)

Aur Yamaha 502 series mein aise hi do aur versions ko dekhiye:

  1. Sasta DTX522K – (Amazon) ek remote hi-hat ke saath.
  2. Daami DTX562K – (Amazon) behter hi-hats, aur behter XP70 mesh toms ke saath.

Ab aage…

7. Roland TD-25 KV

Roland TD-25 KVAbhi tak ke jitne bhi kits humne dekhe hain…

Roland TD-25KV sabse pehla electronic set hai jo beshaq ek “professional” ki tarah hai.

Ismein woh sab top vishestayein hai jo humne pehle ke kits mein dekhi…

Sirf BEHTER!

Pehle hai, hardware, jo TD-11K ki tulna mein kit ke lagbhag har bhaag mein upgraded hai.

  • Snare aur toms jyada advanced PDX-100 aur PD-85BK istemaal karte hain 
  • Cymbals upgraded CY-12C crash aur CY13R ride istemaal karte hain use 
  • Hi-hat mein ultra realistic VH-11 hai

Aur sabse jyada prabhaavshaali hai ek aisa snare jismein multi-position sensoring hai jo poore drum head par alag sunayi deta hai, nirbhar karta hai aap usse kahan aur kitni zor se maarte hain.

Aur aakhir mein hai sound engine, jo sacha kaaran hai kyun TD-25K itna shaandaar sunayi deta hai.

TD-25KV ko bajte dekhiye iss niche ki video mein:

  • Roland TD-25KV – (Amazon)

Iss kit ke thode aur saste version ko bhi dekhiye, Roland TD-25K – (Amazon), jismein shaamil thode saste PDX-8/PDX-6 drum heads aur FD-8 hi-hat controller.

Ab aage…

8. Yamaha DTX 760K

Yamaha DTX 760KInn pichle kuch saalon ke electronic drum kits ki tarakiyon ke bavajood…

Number ek samasya jo drummers ko electronic drums ke saath jhelni padti hai, woh hai mehsoos/bajane ki kshamta ki kami.

Kyunki bavajood iske ki yeh shaandaar awaaz dete hai (aksar asli cheez se bhi behter)…

Koi tulna nahi asli acoustic drum heads aur cymbals ka mehsoos mesh heads aur rubber cymbals ke saath.

Phir bhi…

Bahut unche daamon par (Rs. 2 lakh ke kareeb)…

Electronic drum kits quality ke ek aise sthar par pahunch gaye hai jahan “mehsoos” sirf svikarya hi nahi, kaafi sukhad bhi hai.

Aur Yamaha DTX760K pehla model hai jisse humne list mein dekha hai jo iss category mein fit hota hai.

Aur yahan dekhiye kuch udhaaran ki aisa kyun hai:

Pehle…snare aur toms ke beech mein ek dhyaan dene laayak tension hai, jo kuch aisa hai jo sabhi drumers kadr kar sakte hai.

Agla…ek asli hi-hat stand hone ke saath-saath, ismein ek asli snare stand bhi hai, jo aapki hilne-dulne ki kshamta ko kaafi hadd tak kam kar deta hai jo aap aam rackmounted snares ke saath paate hain.

Phir…hai prabhaavshaali KB-100 kick pad. Sirf ek nazar daaliye iss par aur aap saaf dekh sakte hai ki yeh sarvottam, sabse vaastavic pad hai abhi tak jo humne dekha hai. Aur yeh ek double bass pedal ko fit karne ke liye bhi bada hai.

Aur phir hai…bahut vaastavic hi-hat sensors, jo asal mein aapke closed position mein lagaye gaye pairon ke dabaav ko monitor karte hain, jisse awaaz/pitch mein variation hoti hai.

Aakhirkar…vaikalpik DTX760HWK hardware hai jisse standard electronic drum rack design nikal jaata hai, aur acoutic kits mein jo hardware hai woh istemaal hota hai.

DTX760K ke baare mein aur jaane ke liye, iss video ko dekhen:

  • Yamaha DTX760K – (Amazon)

DTX700 series ke saste version ko bhi dekhen, Yamaha DTX720K – (Amazon).

DHYAAN DE: Yamaha ka flagship kit asal mein hai DTX920K, par maine isse list mein nahi shaamil kiya kyunki kai online retailers isse nahi bechte. Par isse dobara check karne ke liye yahan click karen. 

Ab aage…

9. Roland TD-30KV

Roland TD-30KVAbhi pichle kuch dashkon se, yeh baat drumming sangathonon mein sehmat ho gayi hai ki…

Roland TD-30KV bina koi shaq, Sabse Behtereen Electronic Drum Kit hai iss Duniya mein!

Aur iske bavajood ki kai naye models nikaale gaye hai dusri companies dwara tab se…

Woh sabhi phir bhi kulmilkar TD-30kV ki mahanta ki tulna nahi kar sakte.

Pichle kits ke sabhi behtereen features hone ke saath-saath, iss kit ka an anokha feature hai ki yeh drum pads istemaal NAHI karta…

Par asli drums, shell ke saath, aur tensioned head jo sirf acoustic drums ke MEHSOOS ko hi nahi, balki uski dikhavat ko bhi match karta hai…(aur uss saare shor ke bina).

TD-30KV drums iss list ke kisi bhi kit mein se sabse badi satah dete hain.

Aur aakhirkar, mera pasandida feature hai: TD-30 sound module OUTPUTS.

Har drum aur cymbal ke liye alag-alag analog outputs ke saath, yeh recording studio ke liye UTTAM hai kyunki yeh har drum ko ek alag track par record karne deta hai…

Jaisa ki aap acoustic drum kit ko asli microphones ke saath record karte.

Aur jaane ke liye, iss video ko dekhen:

  • Roland TD-30KV – (Amazon)

Aur iss kit ke kuch kam mehenge version ko bhi dekhen, Roland TD-30K – (Amazon).

DHYAAN DE: Abhi ek achha samay hai inn kits mein se kisi ko khareedne ka, kyunki dono hi kaafi saste hai pehle se.  

Iska kaaran? Iss list ka aakhri kit…

10. Roland TD-50KV

Roland TD-50KVBavajood iske ki unke paas pehle se hi sabse behtereen electronic drum kit tha market mein…

Roland ne nirnay kiya cheezon ko ek dusre sthal par le jaane ka…

Apne lineup mein sabse naye flagship model ke saath: Roland TD-50KV.

TD-30KV ki tulna mein ismein kaafi saare prabhaavshaali upgrades hai, jinmein se sabse mushhoor hain:

Ride ab ek bada 18″ model hai, jiska wajan aur balance asli cheez ke bahut kareeb hai.

Snare ab 14″ hai ek standard acoustic snare ki tarah, aur ismein shaamil ek 3-ply mesh head jo jyada behter rebound dete hai 2-ply heads se jo istemaal hote hai toms par, aur pichle snare models par.

Yeh ek mute sensor bhi daalta hai asaan cross-stick playing ke liye.

Ride aur snare DONO ki sabse badi tarakki hai, DIGITAL triggering ka parichay, jo poori industry mein apne tarah ka pehla hai.

Abhi tak, electronic drums ne analog triggers par bharosa kiya tha. Digital triggering ke saath, BAHUT jyada jaankaari sound module tak bheji ja sakti hai, jisse ek aur jyada vaastavic response milta hai.

Jahanki kick drum phir bhi uss KD-140 ke saath aate hai jo TD-30KV mein istemaal hote hain, ek naya upgraded vikalp jisse KD-A22 ke naam se jaane jaata hai abhi upalabdh hai…

Jo aapko ijaazat deta hai apne asli 22″ kick drum shell ko trigger compatible banane ki baaki kit ke saath. Toh yeh dikhta aur sunta hai ek asli kick drum ki tarah…kyunki yeh ek asli kick drum HAI.

TD-50 module ke saath, poori sound library dobaara banayi gayi hai shuruaat se, bina TD-30 ya kissi dusre module ke samples ka istemaal kar.

Module ke peeche 2 balanced XLR outputs daale gaye hai jo beshaq kaam aayenge live performances ke liye…

Aur studio ke liye, inhone ek akela USB output daala hai jo aapko poore kit ko multitrack record karne deta hai apne DAW par.

Toh iske bavajood ki TD-30 ke 8 analog outputs maujood hai TD-50 par, ab aapko chahiye…sirf ek akeli USB cable.

Kaafi achha hai, hai na? Iss video ko dekhiye aur jaanne ke liye:

  • Roland TD-50KV – (Thomann)

Thode aur saste Roland TD-50K – (Thomann) ko bhi dekhen, jo lagbhag TD-50KV ke jaisa hi hai, par chhote kick, toms aur cymbals ke saath. Snare, ride aur sound module ek jaise hi hai.

DHYAAN DE: Yeh dono kits Amazon mein upalabdh nahi the iss post ke banane tak. Par aap yahan click kar dekh sakte hai agar ab yeh upalabdh hai. 

Primary Sidebar

Adhyaay 6: Upgrades

  • 1. Studio Rack Mounts
  • 2. Power Conditioners
  • 3. Microphone Preamps
  • 4. Headphone Amps
  • 5. Monitor Management
  • 6. MIDI Controllers
  • 7. Electronic Drum Kits
  • 8. Control Surfaces
  • 9. Software/Plugins
  • 10. Snake Cables
  • 11. Abaadhit Vidyut Aapoorti
  • 12. Direct Boxes
  • <<  Adhyaay Badalein  >>

Copyright © 2021 · Parallax Pro on Genesis Framework · WordPress · Log in