• Skip to main content
  • Skip to primary sidebar

E-Home Recording Studio

Build a Studio. Record Your Music.

  • 6 adhyaye
    • 1. Aavshyaktayein
    • 2. Microphones
    • 3. Dhvani Vigyaan
    • 4. Design
    • 5. Recording 101
    • 6. Upgrade

Condenser Microphones ki Sarvottam Guide Home Recording ke liye

18c-condenser-microphonesJab aap home studio ki shuruaat kar rahe hain…

Aur aapko music recording ke baare mein kuch bhi nahi pata…

EK upkaran jo aap phir bhi pehchaan payenge woh beshaq hai…

Condenser microphone.

Aur isiliye ek cheez jo aap pehle poochenge, woh hai…

Mujhe kaunsa condenser mic khareedna chahiye?

Aur baad mein, jab yeh pehle ki samasya ka samadhaan ho jata hai…

Aap jald hi jaan jayenge, ki koi pharak nahi padta kitne microphones aapke paas abhi hai, aapko hamesha koi ek dusra chahiye, jo aapke paas nahi hai.  You soon discover that no matter how many microphones you own, there’s always the next one that you want, but don’t yet have.

Aur isiliye, aaj ki post mein…

Maine niche likhe hui 3 list ko ikattha kiya hai jo ki abhi bazaar mein uplabdh sabse behtereen condenser microphones ke baare mein batati hai:

  • Behtereen BADE Diaphragm ke Condenser Mics Rs. 30,000 ke niche
  • Behtereen CHHOTE Diaphragm ke Condenser Mics Rs. 30,000 ke niche
  • SABHI SAMAY ke Behtereen Condenser Microphones

Aur agar aap bikul naye hai audio recording ke liye, toh main aapko inhe issi kram mein dekhne ki salaah deta hoon, kyunki sambhavna hai aap inhe issi kram mein khareedenge.

Nahi toh, agar aapko pata hai aapko kya chahiye, inn links par click karke seedhe unn bhaagon par ja pahunchiye.

Taiyaar hain? Toh aayiye shuru karte hain.

Pehle hai….

Behtereen Bade Diaphragm ke Condenser Mics Rs. 30,000 ke niche

best large diaphragm condenser microphones

Jab ek aam aadmi studio mein recording karne ki soch raha hota hai…

Toh dimaag mein kisi pop star ki ek cliche tasveer aati hai …

  • Ek vocal booth mein
  • Headphones lagaye hue
  • Ek pop filter mein se gaate hue

Aur uss pop filter ke dusri taraf ek sundar bade diaphragm ka condenser mic hai jiski keemat aapki gaadi se bhi jyada hai.

Aur jabki yeh ek kalpanik drishya lag raha hoga kisi film ka…

Ek home studio ki vaastavikta isse kaafi milti-julti hai, sirf thodi kam aakarshak.

Kyunki, jahan tak hum jaise kai Rs. 3 lakh nahi kharach kar sakte ek vocal mic ke upar, yeh phir bhi aisi ek cheez hai jiski hum sab ko zaroorat hai…

Aur jyadatar naye studios ke liye, yeh pehla mic hota hai shopping list par.

Aur isiliye main aapko top ke 7 kiphayati bade diaphragm ke condenser mics ke baare mein batana chahta hoon, jo abhi market mein uplabdh hai, aur inki tulna kaise ki ja sakti hai.

Shuru karte hain…

1. Audio Technica AT2035

Audio Technica AT2035 Large Diaphragm Condenser MicrophoneShayad kisi bhi aur mic iss list mein se…

Audio Technica AT2035 bahut jaana maana pehla sampoorn mic hai unn logon ke liye jo chhote budget mein hai.

Aur aisa hai kyunki…

Dusre dehron bure mics iss price range mein se, AT2035 unn kuch mein se hai jo ki sach mein apna vada nibhaata hai.

Iss mic ki kuch khaas visheshtayon mein shaamil:

  • cardioid pattern
  • high pass filter
  • -10dB pad

Aur yeh inn accessories ke saath bhi aata hai:

  • ek custom shockmount
  • ek achha bag

Sab kuch mila ke, yeh ek badhiya sauda hai.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Sirf ek aur mic iss list mein se jo ki AT2035 se jyada kiphayati hai, woh hai humara agla mic…

2. Studio Projects B1

Studio Projects B1 Large Diaphragm Condenser MicYeh shayad AT2035 jitna jaana-maana nahi…

Par agar sasta hi aapko SACH MUCH chahiye, toh Studio Projects B1 se sasta koi nahi.

Lambe samay se jaana gaya bahut kam daamon ke achhe microphones banane ke liye…

Studio Projects ne phir ek baar apni nayi B Series microphones line ke saath dikha diya, jisme shaamil hai prabhavhsaali B1.

Aapko nahi lag raha hoga ki ek ITNE saste mic ke paas itne achhe positive reviews honge. Par aisa hi hai.

Iss mic ki prasidhh visheshtayon mein shaamil:

  • Pressure-Gradient Transducer
  • Hi-pass filter
  • 2 position pad

Agar aapko accessories pasand hain, iske saath yeh sab bhi aate hain:

  • ek foam wind screen
  • ek bag
  • ek custom shockmount 

Toh ek mic se kahin jyada, aap isse ek sampoorn vocal package keh sakte hain.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Ab jab humne 2 sabse saste vikalp dekh liye hai…

Toh chaliye 2 SABSE BEHTEREEN vikalp bhi dekhte hai. Pehla hai…

3. Rode NT1-A

Rode NT1A Large Diaphragm Condenser Mic

Kisi bhi dusre microphone utpadak se jyada…

RODE company ki ek lambi puraani pratishtha hai kiphayati daamon mein high-end mics banane ki.

Aur inke achhe mics ke BADE selection mein se…

Koi aur itna mushhoor, itna aadarneey aur itna kiphayati nahi, jitna ki Rode NT1A.

Rs. 30,000 se kam ki category ka, yeh bina koi shaq, sabse behtereen mic hai jo paise se khareeda ja sakta hai.

Aur kyunki iska daam bahut jyada nahi pichle do mics se, jinko humne abhi dekha hai, yeh sabse badhiya sauda hai iss list mein se.

Aur phir…inki accessories ko bhi dekhiye:

  • Shockmount
  • Pop filter
  • Dust cover
  • 20′ XLR cable
  • Instructional DVD

Sach mein…aur aapko kya chahiye?

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon/Flipkart)

Ab aage…

4. Blue Microphones Bluebird

Blue Microphones Bluebird Large Diaphragm Condenser Mic

Jyadatar logon ko Blue Microphones ke baare mein pata hai, inn 2 kaaron mein se kisi ek ki wajah se…

  • Inke ultra-high end mics ki vajah se, jaise ki Blue Microphones Bottle…
  • Ya phir inke bahut hi saste USB mics ki vajah se, jaise ki Blue Microphones Snowball.

Par jo aapko nahi pata woh hai ki…inke paas kuch achhe mid-range mics bhi hai.

Aur iska sabse behter udhaaran hai Blue Microphones Bluebird.

Inke mushhoor mics ke wohi hastyaakshar aakaar ke saath…Bluebird kisi bhi home studio mein ek achha centerpiece ban sakta hai.

Aur review ke baad review iski pushti karte hai…yeh mic SUNNE mein utna hi achha hai, jitna ki DEKHNE mein.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Aur phir itne hi daam ke Blue Microphones Baby Bottle – (Amazon) ko bhi dekhen.

Agla hai…

5. sE Electronics 2200a II

sE Electronics sE2200a II - microphone polar patternsKOI bhi aadarneey list bade diaphragm ke condenser mics ki SAMPOORN nahi hogi…

Kisi EK multi-pattern mic ke begair, hai ki nahi?

Kher, koi studio bhi nahi.

Samasya hai, ki jyadatar yeh Rs. 30,000 se KAHIN upar ke hain. Aur iske neeche, jyada achhe vikalp nahi hai.

Par aisa ek hai: sE Electronics 2200a II.

Yeh teenon standard polar patterns deta hai:

  • cardioid
  • omnidirectional
  • figure-8

Aur ismein yeh bhi shaamil hai:

  • custom shockmount
  • pop filter
  • hi-pass filter
  • 10 dB pad

Bina koi shaq, sE 2200a II sabse bahumukhi kalaakaar hai iss list mein se. Aur agar aapko ek aisa mic chahiye jo ki sab kuch kar sake, toh main inki bahut sifarish karta hoon.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Jab hum multi-pattern mics ke vishay par hai, iss purane classic ke remake ko bhi dekh lete hain…

6. AKG C214

AKG C214 large diaphragm condenser micKoi bhi recording engineer aapko bata sakta hai…

The AKG C414 sambhavta sabse bahumukhi multi-pattern mic hai jo kabhi banaya gaya tha.

Aur jabki har ek studio ke paas ek hona CHAHIYE, yeh bahut mehenge hai jyadatar logon ke liye.

Achhi khabar yeh hai ki…AKG ka ek aisa hi kiphayati vikalp bhi hai: AKG C214.

Yeh ek multi-pattern mic NAHI hai…

Par ismein wohi dual-capsule hai jaise ki C414 mein, ek cardioid only design mein jismein sirf ek diaphragm istemaal hota hai.

Aapke paas woh badalne yogya polar patterns nahi honge, par aapke paas HOGA wohi ek classic sound jo ki sabki pasandida awaaz hai mics ki recording history mein.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Aur aakhir mein, hum apne antim mic tak pahunch gaye…

7. Avantone Audio CV-12

Avantone Audio CV-12 Large Diaphragm Condenser Tube Mic

Kyunki tube mics kai logon dwara maane jaate hai sabse maananiye vocal mics mein …

Mujhe EK ko toh shaamil karna PADTA hi.

Par yeh kaafi mushkil tha, kyunki kayion ke bahut daam hai…kabhi kabaar 3 se 7 lakh rupaye ya phir vintage walon ke liye usse bhi jyada tak.

Phir bhi…ek vikalp hai jo khaaskar inn sab mein se hatkar hai…aur yeh humari price-range ki upari seema mein hai.

Aur woh mic hai…Avantone Audio CV-12.

Iski aakarshak visheshtaon mein se shaamil:

  • 9 Polar patterns
  • hi-pass filter
  • 10 dB pad

Jo ki ek standard hai sabhi tube mics ke saath, CV-12 ki apne khud ki  PS-12 power supply bhi hai.

Dusri accessories jo iss mic ke saath hai:

  • shockmount
  • padded wooden box
  • flight case

…Aur yeh sahi hai! Ek flight case. :))) Dusre shabdon mein…yeh mic ke saath aapko sach mein sab kuch milega.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Ab aage…

Behtereen Chhote Diaphragm ke Condenser Mics Rs. 30,000 ke niche

best small diaphragm condenser micsBade diaphragm ke condenser mics ko chhod ke, jinse ki kuch hadd tak lagbhag sabhi parichit hai…

Chhote diaphragm ke condenser mics itne mushhoor nahi jinn sangeetkaaron ne kabhi recording nahi ki hai ya phir kabhi live performance nahi di hai.

Jahanki…

Jyada der nahi lagti nausikhiyon ko inki upyogita aur bahumukhta samjhne mein.

Acoustic guitars, cymbals, stereo recordings par…

Ya phir jabhi bhi aapko woh ek high-end jhilmilahatt chahiye…

Chhote diaphragm ke condensers ek pasandida standard upkaran hai.

Kewal ek samasya hai ki…bade diaphragm ke condensers ki tarah, achhi quality ke chhote diaphragm condensers ki keemat bhi asaani se Rs. 60,000 aur upar ki ho sakti hai, jo ek saadhaaran home studio ke liye saste nahi.

Toh aage, main aapko sabse behtereen 6 vikalp dikhaunga Rs. 30,000 se kam ke…

1. Rode NT5 Matched Pair

Rode NT5 small diaphragm condenser matched pairSamaanya gyaan kehta hai ki…chhote diaphragm ke condensers ke saath…

Aapki sabse achhi shart hai ek milta hua joda.

Aur Rs. 30,000 ke niche, aisa koi joda nahi jo Rode NT5 ke nazdeek bhi aa sake.

Agar aap RODE se parichit hai, tab aapko inki pratishtha ke baare mein pata hoga, yeh high-end mics banaate hai mid-range daamon mein.

Aur NT5 inki kshamta ka behtereen udhaahran hai.

Asamaanya nahi inhe pro studios mein dhoond nikaalna, unn mics ke saath jinki keemat inse kai guna jyada hoti hai.

Ek aise kiphayati mics ka set jinse aap kabhi nahi ubb jayenge…main inhe dekhne ki bahut sifarish karta hoon.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Toh agar NT5 aapko pasand hai, par iska daam nahi…

Toh yahan dekhiye thoda aur sasta vikalp:

2. Samson C02 Matched Pair

Samson C02 Small Diaphragm Condenser Matched Pair

Kya aisa sach mein ho sakta hai ki aap Rs. 10,000 se kam ka ek achha mic khoj paye?

Aap aisa nahi soch rahe honge, hai na?

Kher, aisa lagta hai ki Samson C02 ke saath, aapko yahi milta hai.

Toh main pehle svikaar kar leta hoon,  Samson ka naam microphone ke mushhoor utpadakon mein se nahi.

Aur phir bhi unhone kisi na kisi tarah inn mics ko bahut hi achha bana liya hai.

Lagbhag namumkin hai iss mic ke baare mein ek bhi kharaab review khoj nikaalna. Aur jab ki jyadatar mics jo inse 10 guna aur mehenge hai, aisa daava nahi kar sakte.

Ek budget studio ke liye jinko ek achhe tikau cardioid chhote diaphragm condensers ke jode ki zaroorat hai, Samson C02 inmein se ek bahut achha dekhne layak vikalp hai.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Toh ab jab humne kuch achhe jodon ko dekh liye hai, kuch singles ki oar dekhte hai.

Ab aage…

3. Shure SM81

Shure SM81Agar ek aisa mic hai iss list mein jisse classic kaha ja sakta hai, woh hai Shure SM81.

Kuch log behas kar sakte hai, ki hi-hats par, yeh Shure mic khaaskar industry mein ek standard mana jaata hai, manch aur studio dono ke liye.

Par sirf yahi nahi…

Inki bahumulya visheshtayon ke saath shaamil hai ek 3 position high pass filter aur ek 20dB pad…

Yeh kaafi bahumukhi hai kai tarah ke upkaranon ka anukoolan karne mein.

Sach mein, agar aap sirf ek hi chhote diaphragm ke condenser ko apni collection mein shaamil kar sakte hain toh woh yeh hi ho sakta.

SM81 industry ke top sujhaavon mein se ek hai.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Toh ab agar SM81 aapke liye bahut mehenga hai, yahan dekhiye ek kiphayati vikalp:

4. AKG Perception 170

AKG Perception 170 Small Diaphragm CondenserAap kabhi yakeen nahi karenge…

Ek sabhya, chhote diaphragm ka condenser mic Rs. 6,000 se niche ka khareeda ja sakta hai, hai na?

Aur aisa lagta hai ki, aap GALAT honge.

Kyunki AKG Perception 170, sirf achha hi nahi…yeh sach much prabhavshaali hai.

Sirf ek hi chhote diaphragm ka condenser AKG ki Perception Series mein se…Perception 170 asaani se puri line ka star hai.

Inke bahut hi shaandaar reviews ko chhodkar…

Yeh shayad ek hi mic hai iss daam ka jo puri tarah se kachra NAHI HAI.

Agar aap apne PEHLE chhote diaphragm ke mic ki talaash mein hai, toh isse achha sauda milna mushkil hai.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Toh abhi tak, humne jitne bhi mics dekhe hai, woh sab ek standard cardioid solar pattern ke hai.

Aage, hum ek omni mic par dhyaan dete hai..

5. Shure KSM141

Shure KSM141

Agar aapne kabhi kisi saste omni-directional chhote diaphragm mic ki khoj ki hai…

Tab aapko pehle se pata hi hoga…

Bahut hi mushkil hai ek achhe wale ko doond nikalana jiski keemat bahut jyada nahi ho.

Par aise kuch anoothe HAI. Jinmein se sabse prasiddh hai Shure KSM141.

2 interchangeable capsules ke saath, yeh kaam karta hai omnidirectional YA PHIR cardioid mic ki tarah, apki pasand par nirbhar.

Iss visheshta ko ek 3 position pad aur ek 3 position high-pass filter ke saath jodiye, aur zaahir si baat hai ki KSM141 sabse bahumukhi mics mein se hai iss list mein.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Aur ab, humari aakhri pasand ke liye…

6. Studio Projects C4 Matched Pair

Studio Projects C4 Small Diaphragm Condenser Matched Pair

Jyadatar logon ko aashcharya hoga…

Par jitne bhi mics hai list mein se, main Top SAMPOORN Puruskaar deta hoon Studio Projects C4 Matched Pair ko.

Aur yahan dekhiye kyun:

Inn sab mein wohi visheshtayein hai jo ki classic KSM 141 mein:

  • interchangeable cardioid/omni capsules
  • ek 3 position pad
  • ek 3 position high-pass filter

AUR…

Yeh joda becha jaata hai ek akele KSM141 se kam ka.

Agar aapko param sanyojan chahiye daam, awaaz, aur bahumukhta ka, toh aapko inse behter ek jodi chhote diaphragm ke condensers khojna mushkil ho jayega.

Main inhe dekhne ki bahut sifarish karta hoon.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Ab aage…

The Best Condenser Mics of ALL-TIME

Best Condenser Microphones

Ab jab aapne kai sabhya budget microphones ikathha kar liye hai…

Aur aap puri tarah se parichit ho gaye hain, ki yeh kaise chalte hain…

Toh svabhaavik si baat hai ki aap soch rahe hai…

Agla upgrade kaunsa hai?

Kisi kaaran, condenser mics ke saath khaaskar, hum sirf uss ek uttam mic ke baare mein soch rahe hain jisse ki sab kuch bahut hi achha sunai deta hai.

Toh ab tak humne jyada “vyahvaarik” vikalp chunne hain nausikhiye se madhya stharr recording studios ke liye…

Sirf maze ke liye…aapke bhavishya ke home recording studio ki taraf chalte hain…

Toh ab dekhte hain BEHTER SE BEHTER condenser microphones iss duniya ke.

Taiyaar hai? Toh chaliye…

1. Neumann U87

Neumann U87 condenser microphoneThe Neumann U87 bina koi shaq, sabse prasidhh mic hai saare sangeet ke itihaas mein.

Kisi bhi purani photo dekhiye rock stars ki unki iconic album record karte hue, aur sambhavna hai, ki woh kisi U87 ke paas khade hue dikhayi denge.

Yeh itna mushhoor kaise ho gaya?

Kher, 1928 mein, Georg Neumman ne ek original CMV3 “Neumann Bottle” ka nirmaan kiya, jo jald hi ek standard bann gaya kai kshetron mein.

Jaise waqt guzarta gaya, Neumann apne designs ko sudhaarte gaye jab tak U87 ne apni pehli upasthiti nahi banayi, 1960’s ke ant mein.

Sirf pratishtha ke jariye, yeh tab se jaana gaya hai apni company ke pramukh microphone se.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Ab agar aap isse sehmat nahi ki U87 ko sabse uncha darja mila hai iss list mein se…Toh aap shayad inhe pasand karte honge:

2. AKG C414

AKG C414 best condenser microphone

Kisi bhi recording engineer se poochiye, “Agar aapke paas sirf EK mic ho saka, toh woh kaunsa hoga?“

Sambhavna hai, AKG C414 pehle number par aayega.

Aur yahan dekhiye, woh kya hai jo inhe AKG ke sabhi microphones mein se itna mushhoor aur itna sammaanit microphone banata hai:

  1. Yeh har cheez mein bahut achhi awaaz deta hai.
  2. 9 polar patterns, 3 high pass filters aur 3 pad settings ke saath, yeh bahut hi bahumukhi hai.
  3. Iska daam U87 se 1/3 ka hai.

Ek aam aadmi ke liye, yeh sirf ek hi mic hai list mein se jo ki thoda bahut kiphayati hai.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Ek sabse behtereen condenser mics ki list, poori nahi hogi jab tak hum kuch chhote diaphargm ke condensers inmein shaamil nahi karenge, sehmat hain?

Toh humare agle do chunaavo ke liye, humare paas bilkul wohi hai.

Shuru karte hain…

3. Neumann KM184

Neumann KM184 condenser microphoneAchha kaaran hai ki  KM184 sirf ek hi Neumann nahi hai iss list mein…

Dashkon se, Neumann ne apni pratishtha banayi hai Duniya ke Sabse Behtereen Microphones ke nirmata ki.

Aur inn mics mein se, kuch hi itne mushhoor aur prasidhh ho gaye, jitne ki yeh.

Kai studios mein, KM184 aam mics hai kai alag tarah ke upkaranon ke liye, jinmein shaamil hai acoustic guitar, piano, aur cymbals.

Aur agar KM184 ka cardioid pattern fit nahi baithta hai, Neumann ke paas yeh bhi hai:

  1. KM183 – ek omnidirectional polar pattern ke saath
  2.  KM185 – hypercardioid polar pattern ke saath
  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Ab agla, humare paas hai…

4. Earthworks QTC50

Earthworks QTC50 omnidirectional condenser micsEarthworks company ke Mushhoor mics, QTC50 aapke saadhaaran omnidirectional condensers se kai jyada hai.

Inn mics ki 3 sabse aakarshit visheshtayein hain:

  1. asaamnya shaant sanchaalan– jo ki sampann hai komal (softer) awaazon ki recording ke liye
  2. bahut hi chapti (flat) frequency response – jo ki ek vaastavik, berang  recording pradaan karti hai
  3. 3Hz-50kHz ki frequency range – jo ki uttam hai digital recording high sample rates ke liye 192Hz tak.

Inn anokhi visheshtayon ke mel ne QTC50 ko khaas banaya hai badi acoustic stage performances ki recording ke liye, jaise ki orchestras, choirs, operas, ya phir grand pianos.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Toh chaliye ab ek dusre tarah ke mic ki oar dekhte hain, jo ki jaana gaya hai apni vintage awaaz ke liye, aur jo khaaskar pyaare hai vocals pe.

Aur beshaq mein baat kar raha hoon tube mics ki. Antim 3 chunaavon ke liye, main aapko samay ke sabse behtereen dikhaunga.

Shuru karte hain…

5. Telefunken U47

telefunken u47 tube mic

Ek search kijiye Google ya Pinterest par, classic vintage mics ki…

Aur sambhavna hai ki aap kuch sundar black and white tasveere dekhenge purane Telefunken U47 ki.

1950’s se lekar, yeh anginat mushhoor recordings ke liye istemaal kiya gaya hai.

Vidambana se, iske shuruaati dinon mein, bahut saare BADE NAAM industry mein se jyada prabhaavit nahi hue iss mic se. Ek prasidhh aadmi, Beatles producer George Martin ko choodkar, jinhone isse bahut pasand kiya.

Aur aaj, yeh wohi “vintage” awaaz hai jo iss mic ko itna khaas banati hai.

Koi aashcharya nahi, ki yeh ab tak ke sabse mehenge mic hai iss list mein se.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Agla hai, aise hi purane classic ka ek naya version hai…

6. Neumann M149 Tube

Neumann M149 tube microphoneSaari duniye ke pasandida M49 pe adhaarit, Neumann M149 ek classic awaaz aur aaj ki nayi takneek ka behtereen mel hai.

Dischasp baat hai ki yeh Neumann Company ka pehla tube mic hai jo ki design kiya gaya hai 30 se jyada saalon mein.

Kya aisa ho sakta hai ki aisa tha kyunki originals itne uttam the? Shayad.

Toh aap soch sakte hai ki yeh mic kitna achha ho sakta hai ki Neumann ne perfection se panga lene ka khatara uthaya.

Iss mic ki dhyaan dene layak visheshtayon mein shaamil:

  • 9 polar patterns
  • ek 7 setting high-pass filter
  • nimnatam self noise kisi bhi tube mic se

Inhe yahan dekhen:

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Aakhirkar, hum apne antim chunaav tak pahunch gaye…

7. Blue Microphones Bottle

Blue Microphones Bottle Tube Mic

Blue Microphones line ke sabse mushhoor model mein se…

Mujhe lagta hai ki Blue Microphones Bottle hi sabse jyada sawaal utthayega.

Jo ki samjha ja sakta hai, kyunki inhone aisi pratishtha iss list mein se dusre mics jaise nahi banayi.

Par yahan dekhiye ismein kya hai jo ki dusre mics mein NAHI:

Iss mic ke saath, jisse chaturta se Blue Microphones Bottle Caps ka naam diya gaya, aapke paas ek mic mein 8 mics hai.

Har ek “bottle cap”  ek interchangeable capsule hai ek anokhe diaphragm/polar pattern ke mel mein. Jinhe ki asaani se badla ja sakta hai, jab mic chaloo hai tab bhi!

Jahanki yeh puri tarah se ek classic nahi maana jaata hai ab tak, iss mic ki anokhi design isse zikr ke layak banati hai.

Toh yahan dekhiye, bottle aur bottle caps, jo ek saath bundle kiye gaye hai ek package mein:

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Toh chaliye doston, yahan khatam hui bahut hi lambi post. Aasha hai aapne iska aanand utthaya. Agli baar milte hain.

Primary Sidebar

Adhyaay 2: Microphones

1. Mics ke PRAKAAR
  • Condenser Mics
  • Dynamic Mics
  • Ribbon Mics
  • USB Mics
  • Stereo Mics
2. Mics PRAYOJAN se
  • Vocals ke liye Mics
  • Acoustic Guitar ke liye Mics
  • Electric Guitar ke liye Mics
  • Drums ke liye Mics
  • Bass/Kick ke liye Mics
  • <<  Chapters badale  >>

Copyright © 2021 · Parallax Pro on Genesis Framework · WordPress · Log in