• Skip to main content
  • Skip to primary sidebar

E-Home Recording Studio

Build a Studio. Record Your Music.

  • 6 adhyaye
    • 1. Aavshyaktayein
    • 2. Microphones
    • 3. Dhvani Vigyaan
    • 4. Design
    • 5. Recording 101
    • 6. Upgrade

6 Sabse Behtereen Reflection Filters Vocals Recording ke liye

sabse-behtereen-reflection-filtersParamparik salah kehti hai…

Achhe vocals ki recording karne ke liye…aapko sahi acoustic treatment chahiye. Hai na?

Par aaj ki duniya mein, budget home studios ke chadhaav ke saath…

Jo “uchit” hota hai, hamesha upyogi nahi hota.

Paise aur jagah dono bachane ke liye…

Kai studios ab reflection filters ka istemaal karte hai…

Jo asal mein “chhote vocal booth” hote hai aur aapke vocal mic par lapete ja sakte hai.

Sawaal hai ki…

Kya yeh achhe hai?

Kai vibhinn models mein se, kaun se aage khade hote hai?

Kher aaj ki post mein, main inn sab aur dusre sawaalon ke jawaab dunga, meri list ke saath:

6 Sabse Behtereen Reflection Filters Vocals Recording ke liye

Pehle hai…

1. sE Electronics Reflexion Filter PRO

sE Electronics Reflexion Filter PROSabse pehle reflection filteron mein se ek jisse itni lokpriyata mili hai…

sE Reflexion Filter PRO ne rasta banaya unn dheron copycats ke liye jo baad mein aaye.

Jahanki samanya gyaan kehta hai ki absorption gaayak ke sir ke PEECHE jaati hai (jahan mic sabse jyada naazuk hota hai)…

Reflection Filter PRO iss se ulti disha ka upyog karta hai, absorption gaayak ke SAAMNE rakhkar, awaaz ke phailne se pehle hi usse sammillit kar.

Yeh tarqeeb istemaal karke, aapko ek aur munaafa milta hai jisse aap A/C ya phir computer pankhe se aane waale sambhavit shor ko rok sakte hai.

Kulmilakar, yeh ek shaandaar aavishkaar hai.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Aur inke dusre models ko bhi dekhen:

  • sasta sE Electronics Reflexion Filter X – (Amazon/Snapdeal)
  • keemati sE Electronics SPACE – (Amazon)

Ek sabse badi shikayat reflection filters ki hai ki yeh bhaari hain, aur saste mic stands par asthir hote hai.

Agar aapke paas ek achha stand nahi abhi tak, thode halke models ko dekhiye, jaise ki yeh…

2. Primacoustic VoxGuard

Primacoustic VoxGuardAbsorption ki dense layers kisi bhaari metal frame ke saath istemaal kiye bajay…

Vajan bachane ke liye…

Primacoustic VoxGuard halke acoustic foam aur ek high impact plastic frame ka mel istemaal karta hai.

Vajan par aur bachane ke liye, yeh mic mounting system ko poori tarah se tyaag deta hai…

Aur iski bajay, yeh aapke mic stand ki standard mounting istemaal karta hai.

Yeh sab visheshtayein judd kar VoxGuard ko uttam banate hain saste stands ke liye jo jyadatar home studios mein istemaal hote hai.

Aur sabse bada munaafa hai…iski keemat pichle model se 1/3 hai.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Ab aage, ek aur model aise hi design ke saath…

3. Auralex MudGuard

Auralex MudGuard

Acoustic treatment industry ka ek pramukh leader…

Auralex ne home studios ko behter banaya hai home recording ke shuru hone se pehle.

Aaj, Auralex ne saste gear ki nayi maangon ko poora karne ke liye kai saare high quality kiphayati utpaadan banaye hain.

Aur Auralex Mudguard kaiyon mein se sirf ek udhaaran hai.

sE Reflexion Filter Pro ki tarah, ismein ek mounting slide hai flexible positioning ke liye.

Aur Voxguard ki tarah, ismein ek halka frame hai, waise hi daam ke saath.

Inn sab ko milayiye Auralex acoustic foam ki prasidhh acoustic properties ke saath, aur aapke paas ke bahut badhiya product hai.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Ab aage…

4. CAD Audio AS32

CAD Audio AS32Sambhavna hai ki aapne pehle kabhi CAD Audio ke baare mein nahi suna hoga, hai na?

Kher ab tab, maine bhi nahi.

Par hairaani se, jab aap reflection filters par online search karte hai…

Aap dekhenge ki CAD Audio AS32 Amazon ki market par poora raaj karta hai…

Sales aur positive reviews DONO mein.

Ek kareebi nazar daalne ke baad, yeh dekhna mushkil nahi aisa kyun hai.

Ek mazboot metal frame aur Reflexion Filter Pro jaise ek tikau mounting system ke saath…

Aur keemat jo VoxGuard ya Mudguard se tulniya hai…

Aisa lagta hai ki AS32 dono ki behtereen khubiyaan pradaan karta hai.

Aur ek foam absorption layer jo dikhne mein dusre models se jyada moti hai, aap sochenge ki yeh behter low-end absorption bhi deta hai.

Sabhi bahari dikhawat se, yeh kulmilakar sabse achha vikalp hai list mein se.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon/eBay)

Ab aage…

5. Porta-Booth Pro

Porta Booth ProEk standard “hard-shell backing” design se hattkar…

Porta-Booth Pro ek krantikaari badlaav laata hai ki ek reflection filter asal mein kya ho sakta hai.

Velcro straps aur ek semi-soft backing ka jod istemaal karke, Porta-Booth Pro ke design mein ek anokhi visheshta hai, jo…

  • poori tarah se fold kiya ja sakta hai
  • vajan sirf 3kgs ke aaspaas hai

Aur jab yeh poori tarah se fold kiya jaata hai, yeh aaraam se kisi carrying case mein fit ho sakta hai.

Dusre models ke vipareet, iska rear slot istemaal hota hai boom stands ke saath. Aur andar ki foam banayi gayi hai prasidhh Auralex dwara.

Voice-over kaam ke liye, neeche ki padding ek suvidhajanak jagah deti hai script ko pakadne ke liye.

Khaaskar mobile studios ke liye, Porta-Booth Pro ek spasht vikalp hai.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)

Ab aage…

6. Post Audio ARF-42

Post Audio ARF-42

Paramparik reflection filter design se aur dur hattkar…

Humare aakhri vikalp ke liye humare paas hai Post Audio ARF-42.

Dusre models ki tulna mein, yeh sabse chhota, sabse halka, sabse sasta aur asaani se unn sabse achha dikhne wala hai.

Samasya hai ki…general reviews ki aam sehmati hai ki ARF-42 shielding reflections karne mein kaafi KAM prabhaavshaali hai.

Aur yakeenan yeh koi aashcharya nahi, aapne isse dekh kar hi yeh andaaza laga liya hoga.

Yeh kehkar, main iski salah vocals ke liye nahi dunga, par isse main upkaraon ke liye istemaal kar sakta hoon…

Kyunki jaise tasveer mein dikhaya gaya hai, chhota halka ARF-42 kai angles aur spots mein position kiya ja sakta hai jo dusre reflection filters ke saath asambhav hoga.

Khaaskar ribbon mics ke liye, yeh upyogi ho sakta hai figure-8 pattern ki rear senstivity ko block karne ke liye.

  • Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon/Shopclues/eBay)

Bas yahi…

Yeh hua doston…

Agar aapko ek reflection filter chahiye, toh aapke liye sahi vikalp zaroor kahin na kahin hai iss list par.

Primary Sidebar

Adhyaay 3: Acoustics

  • 1. Soundproofing
  • 2. Bass Traps
  • 3. Acoustic Panels
  • 4. Reflection Filters
  • 5. Monitor Isolation Pads
  • <<  Chapters Badale  >>

Copyright © 2021 · Parallax Pro on Genesis Framework · WordPress · Log in