Awaaz ko kya hota hai jab woh microphone mein pravesh karti hai?
Lambi kahani chhoti karne ke liye, yeh yatra karti hai equipment ki ek lambi chain se aur aakhirkar ubhar aati hai aapke studio monitors par.
Par iski poori kahani kya hai? Awaaz theek-theek kahan jaati hai? Aur KYUN?
Aaj ke article ka yahi vishay hai.
Mere banaye hue ek chhote diagram ke saath shuru karte hai.
Yahan dekhiye yeh kaise kaam karta hai: Guitar ke saath shuru kare, aur har arrow ko follow kijiye signal chain mein, jab tak aap beech mein kaan tak na pahunche.
Kya SABHI studios aise hain?
SABSE jatil studio setups mein, yeh wohi rasta hai jisse ek audio signal ko yatra karni padegi aapke kaanon tak pahunchne ke liye.
Thode sadhaaran studios mein, aap sochenge ki signal flow thoda aur saral hoga. Sach hai ki…aisa NAHI hai. Yeh aisa hi hota hai.
Iski wajah yahan dekhiye:
Udhaaran ke liye ek sadhaaran audio interface lete hain: Focusright Scarlett.
Ek laptop, mic aur kuch monitors ke saath, yeh ek box ek sampoorn studio ko shaamil kar sakta hai. Par iss box ke andar, pichle diagram mein ullikhit upkaranon ke behad buniyaadi versions hai.
Aapko ek alag mic preamp aur digital converter ki zaroorat nahi hai kyunki DONO hi Scarlett ke andar maujood hain.
Iska matlab nahi ki signal flow mein kam steps hai. Iska matlab hai ki kai saare kadam hote hai ek hi device mein.
Ab jab humne iss baat ko saaf kar liya hai, iss prakriya ke sabhi steps ko dekhte hai.
Diagram ka kadam dar kadam
1. Microphone->Mic Preamp
Microphone awaaz utthata hai, aur ek mic level signal bheja jaata hai microphone preamp par. Kyunki mic level signals khud kamzor hote hai, preamp ki zaroorat hoti hai unhe ek unche sthar par amplify karne ke liye. Amplified signal jaana jaata hai line level se.
2. Mic Preamp->Hardware Effects
Mic preamp line level signal ko bhejta hai kai analog signal processors ko, jinmein shaamil EQ aur compression. Yeh kadam optional hai, aur kam mehenge studios mein aksar isse skip kiya jaata hai DAW ke andar ki digital signal processing ke liye.
3. Hardware Effects->A/D Converter
Hardware effects unit uss processed analog signal ko A/D converter tak bhejta hai taaki usse digital audio signal mein translate kiya ja sake.
4. A/D Converter->Audio Interface->Computer
A/D converter digital signal bhejta hai audio interface ko, jahan woh bheja jaata hai computer mein taaki woh process kiya jaaye Digital Audio Workstation (DAW) dwara. DAW ke andar, signal process hota hai kai saare inserted plugins dwara, aur session ke kisi bhi tracks ke saath mix kar.
5. Computer->Audio Interface->D/A Converter
Jab saara DAW process khatam ho jaata hai, ek signal bheja jaata hai audio interface ko D/A converter ke zariye, jahan isse waapas analog signal mein revert kiya jaata hai.
6. D/A Converter->Headphone Amp, Monitor Management
D/A converter iss naye analog signal ko inn do mein se ek jagahon mein bhejta hai: headphone amp ya phir monitor management system. Aur yeh aakhri kadam hai signal ko awaaz mein waapas badalne se pehle.
7. Headphone Amp->Headphones
Jab analog signal headphone amp tak pahunchta hai, yeh phir headphones par bheja jaata hai, jahan isse performer dwara suna jaata hai.
8. Monitor Management System->Studio Monitors
Jab kabhi analog signal monitor management system tak pahunchta hai, isse phir studio monitors par bheja jaata hai jahan usse sound engineer dwara suna jaata hai.
Aur yeh hua doston, ek saral par sampoorn saraansh saare recording studio signal flow ka, shuru se antt tak.