• Skip to main content
  • Skip to primary sidebar

E-Home Recording Studio

Build a Studio. Record Your Music.

  • 6 adhyaye
    • 1. Aavshyaktayein
    • 2. Microphones
    • 3. Dhvani Vigyaan
    • 4. Design
    • 5. Recording 101
    • 6. Upgrade

6 Sabse Behtereen Studio Kursiyaan Home Recording ke liye

sabse behtereen studio chairs home recording ke liyeKya aapne kabhi socha hai ki…

Aap kitne ghante har hafte bitate hai, sirf apne studio mein baith kar?

Bahut, hai na?

Aur jabki aap iske baare mein pehle jyada parvaah nahi karenge, baad mein aapko ehsaas hota hai ki…

Woh sab ghante aap aaram se baithkar guzaar sakte hai…

ya NAHI.

Aur agar abhi, aapke kamre ke kursi vibhaag mein thodi kami hai…

Aaj ki post mein, main aapko dikhaunga jo meri raay mein 6 sabse behtereen baithne ke vikalp hai, home studios ke liye.

Pehle hai…

1. Ek High-End Office Chair

Herman Miller Aeron recording studio chair

Sambhavna hai ki, 90% ka aapka samay studio mein desk par bitaya jaata hai, hai na?

Toh matlab banta hai phir, ki aapka adhiktam “kursi budget” kisi aisi cheez par kharch kiya jaaye jiss par aap sabse jyada baithenge.

Toh pehli kursi jo main aapko dikhana chahta hoon, woh pichle 20 saalon ki sabse shaandaar, high-tech kursi hai: Herman Miller Aeron.

Agar aapko yeh pata nahi tha, yeh ek fad kursi thi jisse lokpriyata mili internet start-up companies ke “dot com” era se.

Par unn companies ke jaise jo bahut jald bankrupt ho gayi…Aeron ne tab se tarakki payi, aur apne “Sarvashreshth Office Chairs” ka title aur jama liya.

Yeh sirf achhi dikhti hi nahi yeh bahut aaraamdayak bhi hai…

Positioning ke kai vikalp hai, jiska matlab hai ki aap apne sir ko ek naram jagah par rakh sakte hai, uss “mitti jagah” par apne studio monitors ke beech.

Toh agar aapko sirf behtereen chahiye, toh Herman Miller Aeron ek spasht vikalp hai.

  • Naye daam ke liye yahan click karen.
  • Reviews padhne ke liye yahan click karen.

Aeron ke ilawa, Herman Miller kuch aur high-end chairs banate hai jo aap shayad pasand kare. Toh unhe bhi dekh lijiye:

  • Herman Miller MIRRA – (Amazon)
  • Herman Miller EMBODY – (Amazon)
  • Herman Miller SAYL – (Amazon)

Agar aapko kuch sasta chahiye, yahan dekhiye aapka agla behtereen vikalp:

2. Ek Budget Office Chair

Boss Black LeatherPlus Executive ChairMushkil hai iss baat se sehmat na hona ki Herman Miller bahut achhe product banate hai.

Par jab tak aap CHUNTE nahi…

Aapko Rs. 65,000 nahi kharach karne padenge ek achhi kursi ke liye.

Kai saare achhe vikalp hai Rs. 6,000-12,000 ki range mein jinse koi bhi studio khush ho sakta hai.

Par kai saare kharaab vikalp bhi hai iss range mein. Aur kyunki practical nahi inn sab ko pehle try karna…

Iss mamle mein, sabse hoshiyaar vikalp hai reviews par bharosa karna.

Hazaaron kursiyaan jo Amazon par uplabdh hai, inn chaaron ko sabse jyada positive reviews mili hai santusht grahakon se:

  • Boss Black LeatherPlus Executive – (Amazon)
  • High Back Executive PU Leather – (Amazon)
  • Office Star Space Professional – (Amazon)
  • Flash Furniture Mesh Chair – (Amazon)

Ek baar aapne ek suitable kursi khoj li hai APNE liye…AAPKE SANGEETKARON ke liye bhi kuch vikalpon ko dekhte hai.

Shuru karte hai…

3. Bar Stools

Zildjian Bar StoolTracking ke liye, ek achhi kursi woh hai jo aaraam ke liye kam ho aur functionality ke liye jyada.

Kyunki agar aapne kabhi koshish ki hai guitar recording karne ki ek office chair se…

Aapko pata hoga ki usse kaam nahi hota.

Arm rest tang karte hai, aur agar aap unhe hata bhi de, hinges aur padding kaafi awaaz karenge.

Aur isiliye, recording ke liye…

Sadhaaran kursiyaan jinmein moving parts NAHI hote, jaise ki bar stools jyada achha kaam karte hai.

Aur jahanki koi bhi purana stool theek kaam kar lega, yahan dekhiye main jin sab ki sifarish karta hoon agar aapko sach mein kuch achha chahiye:

  • Fender stool – (Amazon)
  • Gibson stool – (Amazon)
  • Gretsch stool – (Amazon)
  • Zildjian stool – (Amazon)

Ab aage…

4. Drum Thrones

Roc n soc nitro throne redSirf drummers ke liye hi nahi…

Drum thrones kulmilakar recording ke liye ek upyogi kursi ho sakte hai.

  • Yeh chhote hai 
  • Yeh collapsable hai
  • Yeh bahut tikau hai 
  • Yeh adjust karne ke liye asaan hai
  • Yeh ghum sakte hai 
  • Yeh achhe posture ko badhava dete hai

Kuch multi-instruments inhe recording ke liye ideal chair maante hai. Sirf ek BADI samasya hai…

Saste waale bahut squeaky ho sakte hai.

  • Acoustic drums par farak nahi padta, kyunki squeaks sunayi nahi deti drum kit ki awaaz ke upar.
  • Electronic drums par bhi farak nahi padta, kyunki microphones nahi hote.

Par shaant upkaranon ke liye, jaise ki acoustic guitar, har awaaz zor aur saaf sunayi deti hai.

Saubhagya se humare liye…SACH mein achhe wale kaafi shaant rehte hain, jab tak aap neeche ke bolts kabhi kabhaar tight karte rahe.

Top models mein se, yahan dekhiye 4 jinki main sifarish karta hoon:

  • Roc N Soc – (Amazon)
  • Pork Pie – (Amazon)
  • Tama Ergo Rider – (Amazon)
  • DW Heavy Duty Air Lift – (Amazon)

Ab aage…

5. Pick n Glider Musician’s Chair

Pick n Glider Musicians ChairAsaani se sabse anokhi kursi hai iss list mein se…

Pick n Glider Musicians’ Chair ek aisi kursi hai jo KHAASKAR guitar bajane ke liye banayi gayi hai.

Iske solid back support ke saath, armrest ki kami aur dheeme rocking mechanism ke saath…

Yeh chair jald hi ek pasandida ban gayi hai kai home recording musicians ke saath.

Main isse tracking ke liye istemaal nahi karunga, kyunki iske rocker ke saath aapki savdhaani se ki gayi mic positioning kharaab ho jayegi…

Par practicing, songwriting ya phir ek kathhin session ke baad araam karne ke liye…yeh kursi ek badhiya addition ban sakti hai aapke studio mein.

Yahan dekhiye iske dusre colour options:

  • SAND Fabric
  • GREEN Fabric
  • BROWN Leather
  • BLACK Leather

User reviews padhne ke liye yahan click karen.

Ab aage…

6. Giant Bean Bag Kursiyaan

Comfort Research Bean Bag Chair

Ab aakhri pick ke liye, main kuch alag dikhana chahta hoon…

Aur ek aisi kursi ki salah deta hoon jo jyadatar studios ne kabhi istemaal nahi ki…

Aur shayad iske baare mein socha bhi nahi.

Kya aapne kabhi LoveSac ka naam suna hai? Yeh ek badi bean bag kursi hai jo sambhavatah sabse aaraamdayak cheez hai jo kabhi banayi gayi thi.

Par unn plastic “beans” ka istemaal karne ki bajay, yeh acoustic foam jaise ghane material se bani hui hai.

Studios ke liye, iska matlab hai ki kursi asaani se ek bade bass trap ki tarah bhi istemaal ho sakti hai. Agar aapke gaayak aaraam karna chahte hai kursi mein unke pasandida condenser mic ke saath, woh aisa kar sakte hain, aur aapko sirf 2-3 feet absorption chahiye hogi unke sir ke peeche.

Yeh maante hue ki aapko yeh idea pasand hai, yahan dekhiye meri sifarish:

Jabki LoveSac top brand hai, yeh jyadatar retail stores mein bikte hai aur BAHUT mehenge hai.

Toh iski bajay, yahan dekhiye kuch saste vikalp jinki main salah deta hoon, jo utne hi achhe hai:

  • Comfort Research 4 FT LRG – (Amazon)
  • Comfort Research 6 FT XL – (Amazon)
  • Comfort Research 7 FT XXL – (Amazon)

Aapko kuch pasand aaya?

Toh yeh hua doston. Ek chhota sa recap, maine aapko dikhaya:

  • MIXING ke liye kursiyaan
  • TRACKING ke liye kursiyaan
  • RELAXING ke liye kursiyaan

Inn sab ke beech, kam se kam EK aisa vikalp toh zaroor hai jo khaaskar AAPKE set up ke liye kaam kare.

Primary Sidebar

Adhyaay 4: Design/Setup

  • 1. Mixing Desks
  • 2. Studio Kursiyaan
  • 3. Signal Flow
  • 4. Audio Cables
  • 5. Monitor Placement
  • 6. Studio Monitor ke Stands
  • <<  Chapters Badale  >>

Copyright © 2019 · Parallax Pro on Genesis Framework · WordPress · Log in