• Skip to main content
  • Skip to primary sidebar

E-Home Recording Studio

Build a Studio. Record Your Music.

  • 6 adhyaye
    • 1. Aavshyaktayein
    • 2. Microphones
    • 3. Dhvani Vigyaan
    • 4. Design
    • 5. Recording 101
    • 6. Upgrade

6 Sabse Behtereen Studio Mixing Desks Home Recording ke liye

studio desks recording ke liyeEk samay aata hai ki, jab woh jugaadu karyashtal jiske saath aapne shuruaat ki thi…

Aapke studio ki badhti hui maangon ko aur nahi sambhaal sakta…

Aur samay aa gaya hai ek yogya desk mein nivesh karne ka.

Samasya hai ki, APNE studio ke liye sahi desk khoj nikaalna koi asaan kaam nahi…

Kyunki ek studio ke liye perfect vikalp dusre studio ke liye kharaab ho sakta hai.

Aur isiliye, aaj ki post mein, main aapke saath share karna chahta hoon…

6 sabse badhiya home studio desks…

Har ek kisi VISHESH tarah ke setup ke liye.

Pehle hai…

1. On-Stage Stands WS7500

On-Stage Stands WS7500Chhote kamron aur kam se kam gear ke liye…

Ek bade fancy desk ka kuch khaas matlab nahi banta, hai na?

Iss maamle mein, hoshiyaari hogi kisi sadhaaran vikalp ko chunna, jaise ki On Stage Stands WS7500.

Ismein kisi bhi recording desk ki 3 aavashyak visheshtayein hain:

  • ek chhota upper shelf studio monitors ke liye
  • bada main shelf desktop USB mics, interfaces, ityaadi ke liye
  • ek slide out tray keyboard/mouse ke liye 

Aur iske chhote frame ke bavajood, yeh phir bhi lagbhag 80kgs tak sambhaalne ke kaabil hai.

Iss category ke dusre desks ki tulna mein, WS7500 dono sales and positive reviews mein top karta hai.

  • Naye daam ke liye yahan click karen – (Amazon)

Ab aage…

2. Z-Line Cyrus Workstation

Z-Line Designs Cyrus WorkstationUnn logon ke liye jo kuch aur style aur elegance chaahte hai…

Agla desk jiski main sifarish karta hoon woh hai Z-Line Designs Cyrus Workstation.

Ismein woh sab visheshtayein hai WS7500 ki, do aur khaasiyaton ke saath:

  1. neeche ke rollers asaani se hilaane ke liye
  2. ek bada neeche ka shelf computer towers/external hard drives ke liye

Unn logon ke liye jo soch rahe hai ki sheeshe (glass) ke desks suitable honge recording ke liye ya nahi, yahan hai aapka jawaab:

Yeh desk istemaal karta hai ek khaas material jisse “tempered glass” kehte hai, jo 4 se 5 guna jyada mazboot hota hai aam glass se, jiske kaaran yeh studio istemaal ke liye bilkul theek hai.

Niji taur par, abhi tak iss list ka yeh mera pasandida vikalp hai.

  • Naye daam ke liye yahan click karen – (Amazon)

Ab aage…

3. Z-Line Claremont Desk

Z Line Claremont Desk

Agar aap studio monitor stands istemaal karte hai…

Toh aapne shayad dhyaan diya hoga ki jyadatar desks ka upari hissa sirf bekaar hi nahi…

Yeh ek samasya bhi hai.

Yeh sirf bekaar surface area badhata hai…

Jo aur reflections banakar aapki monitoring ki accuracy kharaab karta hai.

Iss samasya ka samadhaan hai ki ek aisa desk chuniye jo upper ke shelf ke BEGAIR ho: jaise ki Z-Line Claremont.

Agar aapke paas jyada gear nahi, aur aap unn sound reflections ko kam se kam rakhna chahte hai, yeh desk aapke liye ek achha vikalp hai.

  • Naye daam ke liye yahan click karen – (Amazon)

Ab aage…

4. Walker Edison 3-Piece Contemporary Desk

Walker Edison 3-Piece Contemporary Desk

Paramparik recording salah kehti hai ki…

Studio desks kone mein NAHI baithne chahiye, hai na?

Par phir bhi kai home studios mein, sirf yahi ek vikalp hota hai.

Samasya hai ki, kyunki recording studio desk ke nirmata jyadatar corner desks nahi banate hai…inhe khoj nikaalne mushkil hai.

Par yahan dekhiye ek jisse aap bahut pasand karenge: Walker Edison 3 Piece Contemporary Desk.

Iske kam daam, shaandaar reviews aur compact design ke saath yeh tang-se-tang jagahon mein bhi theek baithta hai…

Yeh ek behtereen corner desk hai chhote bedroom studios mein.

  • Naye daam ke liye yahan click karen – (Amazon)

Ab aage…

5. Omnirax Presto

Omnirax PrestoJaise home studios samay ke saath aage badh rahe hain…

Rack spaces ek pehle se jyada zaroori cheez ban jaati hain.

Aur jabki kuch log stand-alone rack units pasand karte hai…

Dusre pasand karte hai ki woh rack spaces unke desk par banayi jaaye, jaise ki Omnirax Presto.

Sabse bada desk jisse humne abhi tak dekha hai, Omnirax Presto kulmilakar 6 rack spaces deta hai bilkul aapke saamne…

Ek main surface area jo kaafi bada hai ek poore keyboard ya control surface ko sambhaalne ke liye.

Agar aapke paas bahut saara gear hai, aapko usse daalne ki liye bhi jagah chahiye hogi…aur yeh desk bilkul wohi hai jiski aap talaash kar rahe hai.

  • Naye daam ke liye yahan click karen – (Amazon)

Ab aage…

6. Studio RTA Producer Station

Studio RTA Producer StationAgar Omnirax Presto aapke liye kaafi bada nahi tha…

Yeh agla desk zaroor hoga: Studio RTA Producer Station.

Ismein lagbhag sabhi visheshtayein hai jinki aapko zaroorat ho sakti hai, jinmein shaamil:

  • Ek main surface area jo ek full keyboard ke liye kaafi hai
  • Do sliding trays keyboards ke liye
  • Cable organizers peeche 
  • Base par rollers
  • Do 8-space CD holders
  • 8 rackspaces upar
  • 20 rackspaces HAR EK side par neeche

Kulmilkar ismein 48 rackspaces hai! Aur jabki aap utne saare istemaal nahi karenge, iss desk ki achhi cheez hai ki…

Neeche ke rack bays achhe hai computer towers ke liye bhi.

Jabki iss tarah ke jyadatar desks Rs. 1 lakh se upar ke bikte hai, aapko aashcharya hoga sun kar ki RTA Producer Station itna mehenga nahi…

  • Naye daam ke liye yahan click karen – (Amazon)

Aur aakhirkar…

Custom Desk Makers Jinhe Aapko Jaankar Rakhna Chahiye

Malone Design Works MC Desk - home recording studio ke liye furnitureAgar aap itni dur tak aa gaye hai, aur KOI bhi desk aapki maango ko poora nahi karta…

Yahan hai 3 custom desk makers jinki main sifarsih karta hoon:

  • Sound Construction
  • Malone Design Works
  • Argosy

Inn teenon mein se kisse bhi sampark kijiye aur aap jaisa chahein, yeh lagbhag waisa hi aapko banakar de sakte hain.

Primary Sidebar

Adhyaay 4: Design/Setup

  • 1. Mixing Desks
  • 2. Studio Kursiyaan
  • 3. Signal Flow
  • 4. Audio Cables
  • 5. Monitor Placement
  • 6. Studio Monitor ke Stands
  • <<  Chapters Badale  >>

Copyright © 2021 · Parallax Pro on Genesis Framework · WordPress · Log in