Ek baar jab aapke paas recording gear ki ek basic collection ban gayi hai…
Agla bada kadam hai apne kamre ki designing karna.
Jabki jyadatar nausikhye iss kadam ko utna mahetva nahi dete, sach hai ki…
Ek achhi tarah se taiyaar kamra aage badhte hue kam sirdard aur pareshaani dega.
Toh aapko mahino ki pareshaani se bachane ke liye…
Iss post mein, hum SAHI TAREEKE se aapke recording kamre ko set up karne ke POORE process ke baare mein baat karenge.
Toh chaliye shuru karte hai. Pehle hai…
Pehla Kadam: Sabse Achha Kamra Chuniye
Ek sadhaaran ghar mein, apna studio set up karne ke liye aapke paas shayad 2-3 kamron ke vikalp honge.
Agar aapke paas sirf ek hi vikalp hai…toh bas uska istemaal kijiye.
Anyatha, aapko faisala karna padega…
Aur kyunki kuch kamre dusron se behter hote hain…
Sabse achha vikalp chunne ke liye, yahan dekhiye meri salah:
Inn 4 Cheezon se Bachiye
Jab aap kamra chunn rahe hai, buri cheezon se BACHNA jyada zaroori hai, achhi khubiyaan khojne se jyada, . Khaaskar, yeh 4:
1. Chhoti Jagah
Ek samaanya niyam hai: jitna bada kamra, utna behter.
Bade kamron mein:
- Jyada jagah hoti hai kai sangeetkaaron ke liye, aur…
- Aapke gear/upkaranon ki badhti collection ke liye jyada jagah hogi
Zikr karne ki zaroorat nahi ki…yeh achhi awaaz dete hai (iss vishay par aur baad mein).
Jabki nausikhye chhote kamron ki privacy aur aaraam pasand karte hai, mere salah hai ki…
Hoshiyaar baniye…aur bade kamre ko chuniye.
2. Shor
Har roz ki zindagi mein, aap bhul jaate hai kitni awaaz asal mein aapke aas-paas hai. Par jab aap unhe ek microphone ke zariye sunte hai, woh saari awaazien 100 guna badh jaati hai.
Aur yahan dekhiye shor ke aam kaaran hain, jo aapki recordings ko asaani se barbaad kar sakte hai:
- gaadiyaan
- padosi
- plumbing
- chidiyaan
- tiddiyaan
- hava
- baarish
Toh dhyaan dijiye, kaunse kamron mein jyada shor hai aur sabse shaant, kam padosiyon wale ko chunniye.
Bahari shor se bachne ke ilaava, yeh samjh lijiye, ki AAP nishchit roop se shor paida karenge DUSRON ke liye.
Aadarsh roop se, aapko ek poori maun jagah chahiye jahan:
- aap jitna chahe, utna shor kar sakte hai.
- din bhar, kissi bhi samay.
Par kyunki bahut kam kamre aise hote hai…
Apne liye ek upyogi kaam ki jagah banane ke liye, kuch soundproofing ki aavashyakta ho sakti hai, .
3. Kharaab Farsh
Aapke recording kamre ke liye, kathor farsh jaise ki cement, tile ya hardwood sabse badhiya hai.
Kaaleen farsh (carpeted floor) wale kamre aksar inn do kaaranon ki wajah se samasyaen paida karte hain:
- studios mein bahut aana-jaana hota hai, aur carpet bahut jaldi kharaab ho jaate hai
- carpet high frequencies ko sokh lete hain, par low frequiences ko nahi, jisse acoustics ko thhes pahunchti hai.
Agar aur jab aapko carpet ki zaroorat padegi, jaise ki drum kit ke liye, aap hamesha ek area rug daal sakte hai.
Dusri samasya jisse aapko dekhna padega woh hai, ki upar ke floors se atyadhik pairon ka shor. Agar ho sake toh ek neechi manzil ke kamre ko chunne.
Ab aage…
4. Kharaab Acoustics
Ek samaanya parivaar ke ghar mein bedrooms kuch aise dikhte hai:
- Woh chhote hote hain,
- Neechi ceilings ke saath,
- Parallel walls jo drywall se bani hoti hai.
Durbhagya se humare liye…
Aisa hai ki yeh sab visheshtayein acoustics ko HAANI pahunchati hain.
Aadarsh roop se, aapko ek bada kamra chahiye, unnchi ceilings ke saath, asymmetrical diwaalon aur bahut saare asamaan satahon ke saath. Jabki, aise kamre tak pahunchne ki sambhavna lagbhag SHUNYA hai.
Pro studios ke paas yeh hain, par aisa hai kyunki unhone bahut paise kharach kiye hai inhe DESIGN karne ke liye. Aur dusri taraf, aapko shayad samjhauta karna padega.
Uttammta ki apeksha mat kijiye, bas apna sarvashreshth vikalp chuniye.
Aap baad mein hamesha kamre ko sudhaar sakte hai aur acoustic treatment daal kar (aur iss bhaag par hum thodi der baad aayenge).
Par agar mumkin ho, aise kamre ka istemaal kare jismein naturally achhe acoustics ho, taaki aapko baad mein kam kaam karna pade.
Samajh gaye? Aage badhte hai…
STEP 2: Kamre ko Khaali Kare
Ek baar jab aapne kamra chunn liya hai, aage ki prayojana ki taiyaari karne ka samay hai.
Kamre MEIN aur cheezein daalne se pehle, jo cheezein hume nahi chahiye unhe BAHAR nikalte hain.
- Saare floor space ko khaali kijiye
- Diwaalon se sab kuch hata dijiye
- Jo bhi thartharata ho usse hatayen
Agar kamra bedroom ya living room ki tarah bhi istemaal hoga…aap shaayad sab kuch bahar nahi nikaal sakte, par jo sab nikaala ja SAKTA hai woh sab nikaala jaana CHAHIYE.
Ho gaya? Aage badhte hai…
STEP 3: Acoustic Treatment Jodiye
Pehle Adhyaay 3 mein, maine aapko dikhaaya kaise aap shaandaar acoustic treatment plan kar sakte hai, lagbhag kisi bhi budget mein.
Ab jab aapke paas kaam karne ke liye ek khaali kamra hai, uss saare gyaan ko kaam par lagana ka samay aa gaya hai.
Toh apna acoustic treatment daaliye, aur waapis aayiye jab aapne apna acoustic treatment daal liya hai.
Classic Udhaaran Package:
- Auralex Roominator – (Amazon)
Ho gaya? Theek hai. Ab aage…
STEP 4: Apne Karya Kendra ko Sangathit Kijiye
Ab jab aapke paas ek khaali kamra hai shaandaar acoustics ke saath, kuch gear daalne ka samay aa gaya hai.
Kyunki aapke desk/kursi hamesha kamre ke centerpiece rahenge…
Matlab banta hai ki aap inn dono se hi shuru kare.
Jabki shuruaat ke liye aapke ghar mein padi hui koi bhi desk/kursi istemaal ki ja sakte hai…
Aadarsh roop se aap chahenge ki aapka workstation thoda professional dikhe, agar aisa mumkin ho.
Aur isliye…yahan dekhiye main jinki salah deta hoon aur kyun, inn nichle do lekhon mein:
- 6 Sabse Behtereen Studio Mixing Desks Home Recording ke liye
- 6 Sabse Behtereen Studio Kursiyaan Home Recording ke liye
Classic Desk ka Udhaaran:
- Studio RTA Producer Station – (Amazon)
Classic Kursi ka Udhaaran:
- Herman Miller Aeron – (Amazon)
Ab aage…
STEP 6: Apne Recording Stations ko Sangathit kijiye
Jahanki pro studios mein kai kaamon ke liye kai kamro ka sukh hota hai…
Apne studio mein, aap shayad EK hi kamre ka istemaal karenge SABH KUCH ke liye.
Toh setup thoda alag hoga.
Samanya vichaar hai ki DO stations ho:
- engineer ke liye ek desk/mixing kshetra area (jo humne pehle se kar liya hai)
- sangeetkaaron ke liye ek recording area (jo hum abhi karenge)
Samasya hai ki…
Ek setup jo dusron ki recording ke liye achha kaam karta hai, aam taur par khud ki recording ke liye utna achha kaam nahi karta.
Par chinta mat kijiye, kyunki har paristithi ke liye ek mumkin samadhaan hota hai.
Chaliye isse shuru karte hain…
Standard SOLO Setup
Ek prabhaavshaali “ek-aadmi” ke set up ke liye…
Jyadatar log, apne saare gear ko apne aaspaas ek circle mein thoos dete hain…
Jisse woh ek jagah se DONO engineer aur musician ka kaam kar sakte hain.
Jabki aisa setup kaam kar SAKTA hai…
Iski kamiyaan hain:
- Apne aas paas bahut saara gear aur reflections badhata hai, jisse acoustics ko thhes pahunchti hai.
- Computer ke mics ke nazdeek hone ki wajah se, pankhe ka shor recording mein aa sakta hai.
Iss setup ki sabse badi samasya hai ki…
Yeh kai logon ke liye kaam nahi karta. Dusron ko record karne ke liye aapko apna studio rearrange karna padega…
Kuch iss tarah se:
Standard DUAL Setup
Do ya jyada logon ko apne studio mein record karne ke liye…
Ek standard strategy hai ki aap kamre ko do stations mein baatiye.
Ek taraf, ek station rahega engineer ke liye…
Jismein shaamil unka mixing desk, aur saara standard gear jaise ki audio interface, studio monitors, ityaadi.
Uske ulti taraf rahega ek station sangeetkaar ke liye…
Jismein microphones, aur dusre upkaran/MIDI controllers shaamil honge, jinhe weh istemaal kar sakte hain.
Iss setup ke saath samasya hai ki…
Jabki yeh kaam karta hai kai logon ke liye, yeh BILKUL bhi kaam nahi karta jab aap iske saath khud recording karna chahe.
Kyunki dono engineer aur sangeetkar banne ke liye aapko dono stations ke beech baar baar aage-peeche jaana padega…jo bas practical nahi.
Toh aage…yahan hai ek teesra vikalp:
Hybrid Setup
Antt mein, aapko chahiye…
Ek setup jo achha kaam kare dono solo AUR group recordings ke saath.
Toh meri salah hai, ek hybrid setup, jo ek ‘dual’ setup ki tarah dikhta hai…
Ek MUKHYA addition ke saath:
Station 2 par, aapko kam se kam ek remote ki zaroorat padegi… .
Jisse aap record, play aur stop kar sakte hain jab aap apne desk se dur ho.
Pichle kuch saalon mein, logon ne aisa karne ke kai tareekon ki koshish ki hai…aur sab NAKAAMIYAAB hue.
Sabse pehle versions the stand-alone hardware devices jaise ki Frontier Tranzport jo mushkil the program karne ke liye aur pareshaani hoti thi unhe istemaal karne mein.
Baad mein jab wireless keyboards aur wireless mouse aur sudhar gaye, kuch log unka istemaal karne lage…
Jahanki yeh thoda bahut kaam kar lete, bahut kuch hai jo yeh nahi kar sakte. Aur kai saalon baad aakhirkar kisi ne kuch ACHHA aavishkaar kiya…
“DAW Remote”
Ek sadhaaran transport remote se kahin jyada badhiya…
Ek app ko banaya Eumlab company ne, jo DAW Remote ke naam se jaana jaata hai…
Jo functionality ka ek atulniya level deta hai, lagbhag ek asli control surface ki tarah.
Jabki aise dusre apps upalabdh hai, yeh ABHI TAK ka sabse behtereen hai.
Iske 2 alag versions hain:
- DAW Remote – iPhone aur dusre smartphones ke liye.
- DAW Remote HD – iPads aur dusre tablets ke liye.
Iss ek upkaran ke saath, aap apne sessions ko chala sakte hai aur apne upkaranon ki recording kar sakte hai, kamre ki kisi bhi kone se, apne aap.
Mounting ke liye, ek achha upkaran hai IK Multimedia iKlip Expand.
Isse asaani se apne mic stand par jodkar, aap apne iPad ko theek wahan position kar sakte hai, jahan aap chahe.
Aur yeh extra stands ki zaroorat ko eliminate karta hai ek pehle se bheed bhare studio mein.
iPhone ke liye, iKilp Expand Mini ko dekhen:
Ab aage…
3 Bahut Upyogi Accessories
Apne studio ko solo recording aur jyada user-friendly banane ke liye…main inn sabki sifarish karta hoon:
1. Ek Headphone Extension Cable
Jab aap akele kaam karte hai, aap bahut saara samay kamre mein ghumte hue guzaarte hai…
Aur iss poore samay, aap headphones pehente hai.
Samasya hai ki…
Average headphone cables bahut chhoti hoti hai itna hilne-dulne ke liye.
Isiliye main sifarish karta hoon aise headphone extension cable ki jo kam se kam 20 ft lambi ho, jaise ki yeh.
DHYAAN DE: Jab aap headphone cable ko chunn rahe hai khaas iss kaam ke liye, sasti waliyon se bachen, kyunki yeh ‘crackling’ awaaz deti hai lagataar hilne-dulne se.
2. Ek Secondary Computer Monitor
Ek DAW remote ke saath session chalaane ki kathhin baat hai ki…
Aapko woh visual feedback nahi milta jo aapko computer ke saamne baithkar milti hai.
Par aapki diwaal par tangayi gayi ek badi flat screen ke saath…
Aap saaf dekh sakte hai kya ho raha hai aapke sessions ke andar, apne kamre ke kisi bhi kone se, aur yeh ek achha visual aid hai dusron ke liye bhi.
Iski ek kami hai ki, yeh mehenge hai, kyunki ek monitor/TV ke saath, aapko ek desktop computer bhi chahiye hoga multiple video cuts ke saath, jaise ki Mac Pro.
Classic Udhaaran:
3. Virtual Instruments/MIDI controllers
Main sochta hoon ki hum sab sehmat ho sakte hai ki, sangeet khud record karne ke liye…
Aapko multi-intrumentalist hona ZAROORI hai.
Par kyunki hum mein se kuch hi logon ke paas utne asli upkaran hai ek poore gaane ko cover karne ke liye…
Ek standard samadhaan hai ek virtual instrument/MIDI controller combo istemaal karna.
Dono paisa aur jagah bachane ke saath-saath…
Jyadatar virtual instruments ke editing features ek shaandaar tareeka hai aparichit upkaranon ko bajaane ka.
Classic Udhaaran:
- Spectrasonics Keyscape – (Amazon)
STEP 7: Apne Gear ko Connect Kijiye
Ab jab aapne apne studio ke layout ko poora kar liya hai…
Agla kadam hai apne equipment ko connect karna.
Agar aapke paas jyada gear nahi hai abhi, tab setup karna kaafi asaan hoga.
Magar…
Samay ke saath jaise aapki zarooratein badhti jayengi, aur aapki routing ki jatilta bhi badhti jaayegi.
Usse kaam karne ke liye…
Yeh sab ek saath kaise fit hote hai ek akele working system mein, aapko iski thhos samajh honi zaroori hai.
Recording mandalon mein, yeh concept jaana jaata hai signal flow ki tarah, jiska matlab hai:
Woh rasta jo ek audio signal leta hai aapke gear mein yatra karne ke liye, shuru se antt tak.
Yeh sab kaise kaam karta hai yeh jaanne ke liye, iss post ko dekhiye:
Jab ek baar aapne yeh samajh liya hai, aapko phir bhi yeh jaanna hoga ki kaunsi cables ka istemaal karna hoga unn connections ko banane ke liye.
Toh iss lekh ko bhi dekhiye:
Aage badhte hue…
STEP 8: Apne Studio Monitors ko Position Kijiye
Ab jab sab kuch set up ho gaya hai aur achha dikh raha hai…
Apne monitors ki position ko theek karna iss project ka aakhri kadam hai.
Bahut logon ko lagta hai ki kyunki unke paas mehenge studio monitors hai…
Unhone “achhi monitoring” ki samasya ka samadhaan hamesha ke liye kar liya hai.
Par sach hai ki…isko isse KAHIN jyada chahiye.
Aur bahut saara cheezein, jinke baare mein hum abhi baat nahi karenge…
ACHHI MONITORING ki shuruaat hoti hai ACHHI POSITIONING se.
Aur achhi positioning nirbhar karti hai kai factors ke mel par, jinmein shaamil:
- Aapke sir ka position
- Diwaalon ki position
- Acoustic treatment “spot” ka position
Kehne ki zaroorat nahi…yeh vishay aapki kalpana se jyada jatil hai.
Apne monitors ko theek se position karne ki saari details dekhne ke liye, iss post ko padhiye:
Jaise ki aap iss post mein dekhenge, monitors rakhne ki sabse achhi jagah ko sahi positioning chahiye, jisse aap shaayad nahi pa sakte sirf apne desk par rakhkar.
Toh ek aakhri item jiske baare mein aapko vichaar karna chahiye woh hain studio monitor stands.
Ek poori tarah se adjustable height, angle aur width, apne monitors ko kahin bhi position karna mumkin banata hai.
Main jinki sifarish karta hoon, iss post mein dekhiye:
Classic Udhaaran:
- Ultimate Support MS-100 – (Amazon)
Aur Bas
Badhaai ho, aapka kaam ho gaya. 🙂
Par sach mein, aap bas shuruaat hi kar rahe hai. Kyunki aage, samay aa gaya hai apne naye studio mein music record karne ka.
Aur yeh sab hum agle chapter mein cover karenge: