• Skip to main content
  • Skip to primary sidebar

E-Home Recording Studio

Build a Studio. Record Your Music.

  • 6 adhyaye
    • 1. Aavshyaktayein
    • 2. Microphones
    • 3. Dhvani Vigyaan
    • 4. Design
    • 5. Recording 101
    • 6. Upgrade

Fletcher Munson Curve ka SPASHTIKARAN

Fletcher Munson CurvePadhakoo, aur phir bhi music recording ke zaroori vishayon mein se ek, humare paas hai Fletcher Munson Curve.

Agar aapko mushkil ho rahi hai iss concept ko pakadne mein, mujhpar bharosa kijiye, main iss ehsaas ko jaanta hoon.

Iss diagram par ek nazar daaliye aur aapka sir ghum jaayega.

Par…

Agar aapko apni mixing sudhaarni hai, aapko isse samajhna ZAROORI hai. Toh aaj ke lekh mein, main isse samjhaane ki koshish karunga. 

Iski buniyaadi paribhasha ke saath shuru karte hai.

Yeh kya hai?

Fletcher Munson Curve ek aisa graph hai jo manushya ki sunne ki kshamta ke ek dilchasp phenomenon ke baare mein batata hai.

Jab aap sangeet sunte hai studio monitors ya headphones dwara…

Jaise ki asli loudness badalti hai, perceived loudness jo aapka dimaag sunta hai woh ek alag rate par badalti hai, frequency par nirbhar.

Yahan dekhiye iska kya matlab hai:

  • Dheeme sunne ki matra par – mid-range frequencies jyada prominent sunayi deti hai, jabki low aur high frequency ranges background mein chali jaati hai.
  • Unncha sunne ki matra par – lows aur highs jyada vishisht sunayi deti hai, jabki mid range inki tulna mein thoda halka sunayi deta hai.

Phir bhi vaastav mein, awaaz ka tonal balance kulmilakar waisa hi rehta hai, sunne ki volume ki parwaah kiye begair.

Fletcher Munson Curve ka graph seedhe taur par hume dikhata hai yeh concept kuch khaas visual data ke saath. Mixing ke liye, aapko asal graph ko samajhne ki zaroorat nahi, aapko sirf concept ko pakadne ki zaroorat hai.

Aur yahan dekhiye kyun…

Iss phenomenon ke saath SAMASYA:

Jaisa ki aapne samajh liya hoga, Fletcher Munson Curve ek BADI samasya laata hai jab aap ek gaana mix kar rahe hai.

Sunnewale ke liye frequencies ka sabse priya balance laana, ek achhi mix ki sabse buniyaadi visheshtayon mein se ek hai ki.

Par aap aisa kaise kar sakte hai jab percieved balance of frequencies badalti hai jaise volume badalti hai?

Yahan dekhiye ek udhaaran mere iss point ko samjhane ke liye: 

Maan lete hai ki aap ek mix ke EQ par kaam kar rahe hai, aur aap isse dobara sunte hai low volume par, aur aapko lagta hai ki lows aur highs ko ek boost milna chahiye. Toh aap unhe boost karte hai…aur woh achha sunayi dete hain.

Agle din…

Aap unhe phir se ek unnchi volume par sunte hai. Ab aapko lagta hai ki lows aur highs bahut jyada hai, toh aap unhe kam kar dete hain. Aur aap wahin aa gaye jahan aapne shuru kiya tha.

Kya aap dekh sakte hai ki yeh kaise pareshaan kar sakta hai?

Ab, iska samadhaan:

Main koi audio engineering expert nahi, aur kuch sotr iss vishay ke baare mein kuch alag raay de rahe honge…par yahan dekhiye meri raay:

Ek music consumer ke jaise, main jab kisi gaane ko AADHI-volume par sunta hoon, main uss par sirf aadha dhyaan de raha hoon. Jab main usse FULL-volume par sunta hoon, iska matlab hai ki main uss par apna poora dhyaan de raha hoon.

Ek music producer ki tarah, main chahta hoon ki apni mixes sabse badhiya sunayi de jab sunnewale unhe apna POORA dhyaan de rahe ho.

Iss jaane pehchaani scenario ki kalpana kijiye:

Aap gaadi chala rahe hai, radio par ek naye gaane ko sun rahe hai jisse aapne pehle kabhi nahi suna.

Pehle volume kam hai, par jaise yeh gaana aapke kaanon ko pakadta hai, aap usse sahaj hi badha dete hai. Aur phir usse aap thoda aur badhate hai, aur phir thoda aur, aur awaaz behter hoti jaati hai.

Ab aapko yeh bahut pasand hai…toh aap usse ZOR kar dete hai aur yeh shaandaar sunayi de raha hai. Yeh kuch aisa hi kaam karta, hai na?

Ab kalpana kijiye yeh jab hota hai ek dusre nazariye se. 

Gaana achha sunayi deta hai low volume par, aur aap usse aur behter sunna chahte hai. Toh aap volume badhate hain.

Par har baar aap usse badhate hai, woh thoda aur kathor aur pareshaan karta hai. Jab tak aap usse full volume par daalte hai, yeh bilkul hi achha sunayi nahi deta. Aur aap usse neeche kar dete hai aur usse kabhi nahi sunte.

Kya aap chahte hai ki aapki mixes ke saath bhi aisa ho? Shayad nahi.

Iska matlab hai ki…

Aap chahte hai aapki mixes sabse achhi sunayi de high volumes par, kyunki wahan hi VAASTAV mein log dhyaan de rahe hai. Aur aisa karne ke liye, aapko inhe EQ karna padega unnchi volume par.

Yeh bilkul bhi zor nahi hoona chahiye…yeh utna ki uncha hona chahiye jitna ki aap isse vaastav mein sunn sakte hai.

Agar aapke lows aur highs thode se bhi drop off hote hai jab aap volume kam karte hai, yeh utna achha sunayi nahi dega, aur yeh utna kharaab bhi nahi sunaayi dega. Isse aap chahenge ki aap volume ko sirf thoda sa aur upar karen.

Samajh mein aaya? Bahut achha. Ab isse khud istemaal kijiye.

Primary Sidebar

Adhyaay 5: Apne Studio ka Istemaal Karna

  • 1. Gaana Kaise Record Kare
  • 2. Vocals ki Recording
  • 3. Upkaranon ki Recording
  • 4. Microphone Polar Patterns
  • 5. Stereo Recording
  • 6. Headphones par Mixing
  • 7. Binaural Hearing
  • 8. Decibels
  • 9. Fletcher Munson Curve
  • 10. Digital Audio
  • <<  Chapters Badale  >>

Copyright © 2021 · Parallax Pro on Genesis Framework · WordPress · Log in