Jahanki condenser microphones jyada khoobsurat dikhte honge nausikhiyon ko…
Koi bhi engineer aapko bata sakta hai…
Acche dynamic mics kisi bhi achhi mic collection ki buniyaad hai.
Par jitne bhi hazaaron models uplabdh hai…
Kuch hi aise vikalp hain…
- jo ki sabhi pro studios ke paas HAI
- aur har home studio mein yeh HONE CHAHIYE
Kyunki abhi kai dashkon se inhone apni keemat baar-baar saabit ki hai.
Aur issliye…
Aaj ki post mein main yeh dikhana chahunga ki kaunse Sabhi Samay ke 6 Sabse Behtereen Dynamic Mics hai.
Aur kyunki lagbhag KOI BHI kuch hazaar rupaiye se jyada ke nahi hai, koi wajah nahi ki ek saadhaaran aadmi inhe kyun nahi khareed sakta.
Toh pehle hai…
1. Shure SM57
Bahut samay se jaana gaya “Duniya ke Sabse Bahumukhe Mic” ke roop mein…
Shure SM57 kai saalon se ek aam upkaran ban gaya hai dono stage aur studio ke liye.
- Woh mic jo aapke pasandida drummer ke snare drum pe hai…woh shayad ek SM57 hai.
- Woh mic jo aapke pasandida guitar player ke amp par hai…woh bhi shayad SM57 hai.
Main bolta ja sakta hoon, par mujhe lagta hai ki aapko andaaza mil gaya hai.
Oh, kya maine inki mazbooti ka zikr kiya? Inhe giraiye, drumstick se maariye, jaise marzi istemaal kijiye. Yeh mics banaye gaye hai pitayi sehne ke liye.
Sach mein, aap inke bees saal purane versions ko bhi achhe daam pate hue dekh sakte hai eBay par.
Inn sab aur dusre anek kaaranon ke liye, har studio ke paas kai saare SM57 nahi, toh kam se kam ek SM57 hona chahiye.
Ab aage, ek aur Shure mic hai…
2. Shure SM58
Duniya ke sabhi sarvashreshth vocal mics mein se…
Koi Shure SM58 se jyada mushhoor nahi.
Aur yeh studio mein bhi utna hi achha kaam karta hai. Sawaal hai ki…
“Kyun YEH mic achha hai vocals ke liye SM57 se jyada?
Bahut saare siddhant hai jo inke beech ki samaanyata (ya phir antar) ke baare mein batate hain. Jyadatar log apne niji anubhav ke baare mein likhte hain, par woh kuch khaas zordaar nahi.
Toh iske bajay, yahan dekhiye ek pramaanik jawaab…
Shure ki Website ke Q&A page ke anusaar:
SM58 aur SM57 dono mein ek samaan ka mic element hai, Unidyne III. Inn do models ka eklauta antar hai inka grill design.
SM57 ke grill design mein jyada proximity effect hoti hai, kyunki mic diaphragm sound source ke jyada nazdeek baithaya ja sakta hai.
Aur koi antar jo aap sunte hai SM57 aur SM58 mein woh shayad niji hain (psycho-acoustic) ya phir mamooli utpaadan sambandhee asamaanta hai.
Toh yeh hua…aapke sawaal ka jawaab.
Abhi SM58 achha ho sakta hai studio vocals ke liye, par yeh nishchit roop se Sabka Raja nahi. Aur yeh taaj jata hai iss agle mic ko…
3. Shure SM7B
Shure SM7B ek cheez ke liye design kiya gaya hai…
Vocals ki recording ke liye. Vishesh roop se rock vocals ki.
Jab aap iski 3 pramukh visheshtayein jodte hain:
- ek bass rolloff
- ek mid-range presence boost
- aur ek built in pop filter
…aapke paas ek perfect bana hua microphone hai jo ki manushya ki awaaz acche se pakad sakta hai.
Jaisa ki kai log jaante hai, SM7B mushhoor ho gaya Michael Jackson ki prasidhh album Thriller ki recording ke liye.
Aur agar yeh MJ ke liye kaafi tha, toh humare liye bhi kaafi hai.
- Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)
Agla mic iss list mein itna hi mushhoor hai vocals ke liye, par sirf gaayan ke liye hi nahi…
4. Electrovoice RE20
Broadcasting ki duniya mein..
Electrovoice Re20 ek industry standard hai awaazon ki recording mein.
Sambhavna hai, ki aapne inhe filmon ya TV par bahut baar dekha hoga.
Toh yeh mic itna khaas kyun hai?
Jyadatar, inki yeh do anokhi visheshtayon ke kaaran:
- windscreen jo banayi gayi hai grill ke ANDAR, dono popping aur sibilance ko sambhaalti hai
- Inki exclusive “Variable-D” takneek inhe proximity effect se ‘immune’ banati hai, ek cardiod pattern hone ke bavajood
Aur kisi na kisi tarah, RE20 ek consistent frequency response banaye rakhta hai kisi bhi angle mein…
Aur ussi samay, anchahe shor ko bhi asvikaar karta hai.
Asaani se kahe to…yeh sunai achha deta hai, unn logon se bhi jinhe thoda ya koi bhi anubhav nahi microphone ke peeche. Recording studio mein yeh aapka sabse vishesh upkaran ban jayega.
- Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)
Ab jab hum aakhiri maanzil tak pahunch rahe hain, parichay karte hai uss mic se jisse log maante hain…
Sabhi Samay ka Sarvashreshth Sampoorn Dynamic Mic
5. Sennheiser MD421 II
Kisi bhi audio professional se poochiye…
“Agar aapke paas sirf EK hi dynamic mic ho sakta hai, toh aap kisse chunege?
Aur achhi sambhavna hai ki, Sennheiser MD421 II unki #1 pasand hogi.
Kyun? Kyunki jitne bhi mics hai iss list mein se, yeh sabse bahumukhi mic hai sab mein.
Yeh lagbhag sabhi mein se awaaz ki bahut achhi quality deta hai: vocals, guitar cabs, toms, percussion, aur kuch toh kehte hai bass upkaranon par bhi.
Yeh zaahir se sabse sundar mic nahi hai list mein…waise kaafi bhadda hai dikhne mein. Aur jahan tak iski khaas visheshtaon ka sawaal hai…iss mein lagbhag koi nahi.
Aur sach mein, iske 5 position bass rolloff ko choddkar, koi aur batane layak vaastavic visheshta nahi iss mic ki.
Aur phir bhi inn kamiyon ke bavajood…yeh Sennheiser mic sabhi dynamic mics ka Raja hai! Kyunki jab baat hoti hai AWAAZ ki toh yeh nishkalank hai.
- Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)
Aur aakhirkar, humare antim chunaav ke liye…
6. Sennheiser MD 441U
Bina koi shaq…
Sennheiser MD 441U sabse KAM mushhoor mic hai iss list mein se.
Par kyunki jitne bhi mics ki humne baat ki hai, woh sab classics the…
Main ek aise kam jaane-maane mic ko shaamil karna chahta tha, unn utsahik logon ke liye jo kuch naya aur alag chahte hai.
Aur ek achhi list sampoorn nahi hoti bina kisi ek ajeeb wale ke bina, hai na?
Aur mere MD 441U ko chunne ka kaaran tha…
Sabse badi prashansha industry professionals se milne ke bavajood, yeh mic phir bhi itna jaana-maana nahi, aur aksar ek saadhaaran admi se andekha hai.
Toh agar aap ek naye dynamic mic ko dhoond rahe hai apne locker mein jodne ke liye, toh main isse dekhne ki bahut sifarish karta hoon.
- Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)