Inki sundar saadagee ke bavajood…
Koi shaq nahi ki acoustic guitar ek chunautipoorn upkaran hai record karne ke liye.
Aur aisa jyadatar hai kyunki…inko full-detail mein pakadne ke liye kisi tarah ke stereo recording ki zaroorat padti hai.
Samasya hai ki…
Inn takneekon ka istemaal karne ke liye, aapko phir bhi kai saare achhe condenser microphones ki zaroorat padegi.
…jo ki bahut kam studios mein hote hain.
Aur agar aapke paas bahut saara paise haath mein nahi hai…
Toh aapke paas dusra tareeka hai unn anoothe studio ratanon ko khoj nikalne ka jo ki high-end awaaz dete hain, ek low-end price mein.
Isliye…aapko research se bachane ke liye, maine aaj ki post mein ikattha kiya hai:
Acoustic Guitar ki Recording ke liye Top 7 Microphones: Rs. 35,000 se kam
Pehle hai…
Ek shopping list banayiye
Acoustic guitar ko record karne ke liye HAR EK samaanya stereo takhneeko ke saath (A/B, X/Y, Blumlein, etc.)…
Aapko kam se kam inn sab cheezon ki zaroorat padegi…:
- ek CARDIOID joda chhote diaphragm condensers ka
- ek OMNI joda chhote diaphragm condensers ka
- ek MULTI-PATTERN bade diaphragm ka condenser
Toh iss list ke niche likhe gaye 7 anshon mein, main aapko har ek ke kai vikalp dikhaunga.
Shuru karte hain…
1. Shure SM81
Apni tarah ka sabse prasidhh aur sabse jyada istemaal kiya gaya mic…
Shure SM81 dashkon se ek industry standard bana hua hai…
Aur yeh anginat baar hit-albums mein acoustic guitar, hi-hats, aur kai dusre upkaranon ke liye istemaal kiya gaya hai.
Ek kaaran ki yeh Shure mic itna mushhoor hai:
Iske cardioid pattern hone ke bavajood, yeh ek anokhi eksamaan frequency response deta hai sides mein se, yaani ki iska off-axis coloration minimal hai.
Khaaskar acoustic guitars ke liye, iski 3-position bass roll-off close-miking se hone wale natural proximity effect ko compensate karne ka ek sadhaaran tareeka deti hai.
Sadhaaran studio recording ke liye, SM81 kaam karta hai:
- ek joda X/Y recording ke liye
- ek joda ORTF recording ke liye
- “mid” Mid/Side recording ke liye
Kulmilakar, yeh ek behtereen vikalp hai aapke locker ke liye, aap acoustic guitar record karna chahte hai ya nahi.
- Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)
Agar SM81 bahut mehenga hai, toh yahan dikhye ek dusra achha vikalp:
2. AKG Perception 170
Aam taur par, jab aap condenser mics dekhna shuru karte hai Rs. 6,000 se kam ki range mein…
Svabhaavik hai ki aap quality par shak karenge…kyunki inmein se jyadatar kabaad hote hain.
Par kuch exceptions hain, aur AKG Perception 170 iska behtereen udhaaran hai.
Unginat positive reviews ke baad, yeh baat pakki ho jaati hai ji AKG utna hi achha hai jitna ki bataya gaya hai…
Aur kaafi sambhavatah iss list ke kisi bhi dusre mic ki tulna mein, iske jyada santusht grahak hain.
Iske cardioid pattern ke saath, Perception 170 waise hi kaam karta hai jaise ki SM81, jismein shaamil:
- X/Y recording (ek jode ke roop mein)
- ORTF recording (ek jode ke roop mein)
- Mid/Side recording (ek akele ke roop mein)
Jo home studios sabse sasta raasta khojne ki koshish kar rahe hain stereo acoustic guitar ki recording ke liye, main unhe inn Perception 170 ke jode ki bahut sifarish karta hoon:
- Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)
Ab aage…
3. Shure KSM141
Stereo recording ke sabse zaroori upkaranon mein se…
Kam hi itne zaroori hai jitne ki omnidirectional chhote diagram ke condenser.
Samasya hai ki…jyadatar “sache omni” high-end reference microphones hote hain, jo lakhon rupaye tak ke ho sakte hai.
Saste daamon ke, aapko aksar hybrid mic milenge 2 interchangeble omni/cardioid capsules ek akele body mein.
Par aam shikayat iss design ki hai…yeh capsules asaani se tode ya khoye ja sakte hai.
Shure KSM141 dusri taraf, ek bahut hoshiyaar design istemaal karta hai jo polar patterns ko switch kar sakta hai, gale par ek asaan rotating collar se.
Acoustic guitar recording ke liye, KSM141 kaam karta hai:
- Mono recording (omni single)
- A/B recording (omni pair)
- X/Y recording (cardioid pair)
- ORTF recording (cardioid pair)
- Mid/Side Recording (cardioid “mid”)
SM81 ke nazdeek, KSM141 ek dusra sabse adarneeya mic hai iss list mein.
Aur sirf thode hi aur daam ke liye, aapko ek-mein-do-auzaar milte hain.
- Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)
Aage badhte hue…
4. Rode NT2A
Ab jab humne chhote diaphragm vikalpon ko dekh liya hai…
Aage dekhte hai bade walon ko.
Acoustic guitar recording ke liye…
Multi-pattern bade diaphragm ke condenser bahut achha kaam karte hai kyunki yeh bahut saare kaam kar sakte hain, jinmein shaamil:
- A/B (omni pair)
- X/Y (cardioid pair)
- ORTF (cardioid pair)
- Mid for M/S (cardioid single)
- Side for M/S (figure-8 single)
- Blumlein (figure-8 pair)
Aur humare iss category ke target price range mein, koi aur mic Rode NT2A ka muqabala nahi kar sakta.
Asli NT2 par adhaarit, aur mushhoor NT1A ka multi-pattern bhai, NT2A sabse bahumukhi mic hai iss list mein.
Ek sangeetkaar/sangeet lekhak ke liye, yeh vishesh roop se upyogi hai kyunki yeh asaani se ek vocal mic ki tarah bhi istemaal kiya ja sakta hai .
Ek achhe bonus ke roop mein, NT2A accessories ka ek pura suite pradaan karta hai, jismein shaamil shockmount, pop filter, mic cable, aur bag.
Ab aage…
5. Studio Projects B3
Jahanki yeh NT2A jitna mushhoor nahi…
Studio Projects B3 ke paas ek pramukh vibhaag mein badhat hai, jiski hum mein se kai log bahut parvaah karte hai:
Daam.
Jahanki yeh woh sab standard visheshtayein deta hai NT2A ki, yeh uske aadhe se kam daam ka hai.
Toh agar aapko ek tikaau, aur bahut sasta vikalp chahiye multi-pattern condenser mic ka…
Aur koi mic B3 ke nazdeek bhi nahi pahunch pata.
- Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)
Ab aage…
6. Rode NT4
Aksar, nausikhiye stereo recording se BACHNA chahte hain…
Kyunki inhe vibhinn mics ke set up aur positioning ki “spasht” pareshaniyon se darr lagta hai.
Aur jabki yeh itna mushkil nahi hai…yeh aparichit kshetra kuch logon ko darra bhagata hai.
Toh agar aap unmein se kuch log hai, toh yahan hai ek aisa mic jisse aap bahut pasand karenge:
Rode NT4.
Ek “stereo microphone” ke naam se jaana jaata hai, NT4 ne do mic capsules ko joda hai ek akeli body mein…jo ki stereo recording ke kaam ko kam khatarnaak banata hai.
Aur jabki yeh thoda upar hai humari Rs. 35,000 ke price cap se…yeh ek achha vikalp hai nausikhiyon ke liye, toh maine isse list mein waise hi daal diya.
Aur kyunki NT4 1-mein-do-mic hai, yeh phir bhi sasta hai issi price range mein ek matched-joda mics khareedne se.
- Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)
Ab aage…
7. Blue Microphones Yeti Pro
Jahanki USB mics sadhaaran bedroom studios ke liye achhe ho sakte hain…
Yeh woh nahi jo jyadatar log samjhte hai sache “studio microphones“.
Aur sach mein, inke avishkaar ke baad se, USB mics jyadatar “shaukiye” ke roop mein khaarij kar diye gaye hain.
Lekin aur nahi…
Kyunki naye Blue Microphones Yeti PRO ke saath…USB takhneek aur pro studio quality ab aakhirkaar ek akele package mein jodi jaa chuki hai.
Apne asli Yeti ko sudhaar kar (jo ki bahut lokpriya hai)…
Blue Microphones ne USB connection, aur ek 5-pin stereo XLR balanced output ko ek hi microphone mein jod diya hai.
Ek anokhe tri-capsule design ka istemaal karke, Yeti PRO 3 standard pick-up patterns deta hai:
- cardioid
- omni
- figure-8
PLUS…sabse achha: yeh ek dual-channel setting jo record karta hai stereo mein, ussi tarah jaise ki aap Rode NT4 ke saath karenge.
Aur jahanki stereo microphones aksar mehenge hote hai, Yeti PRO ek aisa vikalp hai jo koi bhi studio khareed sakta hai.
- Naye daam ke liye yahan click karen– (Amazon)